اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Shaadaab sb / lucknow
Salamun Alaikum
Allah kare Ap aur Apki Family khairyat se rahe
Janab, Aap se sawal hai ki Islaam ya shari-at me picture dekhna jaaiz hai ya na jaiz hai
Aj kal Lucknow me sharokh Khan ki picture jisme ladki ke jism per lebaas naa ke barabar hai,
Gande naach gaana bhi hai
Kaafi Shia hazraat bhi jaa rahe hi,
Heroine ke jism pe suna hai besharm,behooda dress hai
Jaiz hai ya najaiz
Isi no pe jawab de
Khuda haafiz
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
shukriyah
agar picture se aap ki moraad "motion picture" hai yaani film jo cinema waghairah me dekhaaei jaati hai to is hawaale se arz kar dun ke :
film ach'chi bhi hoti hai aur buri bhi, kisi film ko dekhna jaa'aez hai ya naa jaa'aez, is ka inhesaar ous me maujud mawaad par hai, ous ke mauzu aur maqsad ke ach'che ya bure hone par munhasir hai
agar be'hudah, ghair akhlaaqi, bad kirdaari, haya soz, nangi aur shahwaani mauzu'aat par banaaei gaei ho aur ous me ouryaaniyat, be'hudgi, fah'haashi, raqs, haraam gaana bajaana wa music aur be lagaam eishqo mohabbat ki nomaa'ish ho to aysi film dekhna haraam hai, jaa'aez nahi hai
keyon ke aysi filmon ko dekhna qur'aan, hadis aur islaami taalimaat ke monaafi hai
alaawah azin aek tarah se aeshaa'ate fahsha hai aur aysi filmen hamaari tahzib, saqaafat aur akhlaaqiyaat ko buri tarah mota'assir karti hain
aur maaherin ke motaabiq aysi filmon ko dekhne ke khauf'naak aur kaei manfi nataa'aej bhi hain
niche diae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad /patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
18 / shaabaan / 1444 H.Q
No comments:
Comment