اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Syed Naasir Abbaas Jaafari sb (Kolkata)
Salamun alikum
Kya mannat puri hone par, qurbani ke bakre ki neyaz (khana karke) Momeneen ko khilaya ja sakta hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
mannat ke 2 tariqe hain, ourfi mannat aur shar'ei mannat
- Ourfi mannat :
- Shar'ei mannat :
ourfi mannat ye hai ke aap ki nazr wa mannat agar sirf aek zehni niyat thi yaani zehn me niyat ki thi (zabaan se nazr nahi maani, sirf dil me aeraadah kiya) ke agar folaan kaam ho jaa'ae to qurbaani karunga
hamaare haan mannat ka yahi tariqa raa'aej hai
is tarah mannat maanne ki surat me agar wo kaam ho jaa'ae to nazro mannat ka pura karna waajib wa laazim nahi balke behtar hai
keyon ke ye nazro mannat shar'ei nahi hai
shar'ei mannat wa nazr me nazro mannat ka segha (kalemaat) padhna waajib hai
yaani nazro mannat maanne me zaruri hai ke jis kaam ke hone par nazro mannat maani hai wo khoda ke naam ke saath zabaan se kahen (zabaan par jaari karen)
masalan zabaan se is tarah kahen :
"khoda ke liae mujh par waajib hai ke agar mera folaan kaam ho jaa'ae to aek bakra qurbaan karunga"
pas is surat me aap ki haajat puri ho gaei to ab aap ke liae qurbaani karna zaruri hai yaani mannat ko pura karna waajib hai
agar aap ne shar'ei mannat maani hai to sawaal ke peshe nazar ous ki 2 surat hai :
- Nazre moqaiy'yad :
- Nazre mutlaq :
qaido shart ke saath maani hai masalan mannat maani hai ke qurbaani ka gosht kach'cha ya pakaa kar foqaraa wa masaakin me taqsim karunga to is surat me zaruri hai ke foqaraa wa masaakin me kach'cha ya pakaa kar hi gosht taqsim karen, yaani nazr ke motaabiq amal karne ke paaband hain keyon ke foqara wa masaakin me kach'cha ya pakaa kar hi taqsim karne ki qaid lagaaei hai
kisi qaid aur ta'ay'yun ke be'ghair maani huei nazr
aap ne bataure mutlaq yaani be qaid wa ghair mashrut maani hai masalan maani hai ke qurbaani karunga lekin foqara wa masaakin me kach'cha gosht ya pakaa kar taqsim karne ki koei qaid wa shart nahi to is surat me pakaa kar momenin me taqsim kar sakte hain ya oun ko bolaa kar khila sakte hain
albatta agar mohtaaj wa zarurat'mand momenin me taqsim karen ya oun ki daawat kar ke khilaa'aen to behtar hai
waazeh rahe ke dusri surat ke peshe nazar, nazr maanne waale shakhs aur ous ke bach'chon ke liae nazro mannat ke bakre me se khaana haraam nahi hai
Niche diae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
12 / shaaban / 1444 H.Q
No comments:
Comment