اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Tanvir Ali sb / Delhi
Salam,
Kya 5th Shabaan Imam Sajjad a.s aur Janabe Ali Akbar a.s ke wiladat ki taareekh hai ?
Kya Imam Sajjad a.s ki wiladat 15th Jamad e Awwal bhi hai ?
Kya Janab e Ali Akbar a.s ki wiladat 11th Shabaan bhi hai ?
Khulasa ye ki ismein confusion q hai ?
Aur sahi mayno mein kaun si taarekh hai Maula Hussain a.s ke dono beton ka ?
Aap ke jawab ka muntazir.
Shukran.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
Imaam Sajjaad (علیه السلام) ki taarikhe welaadat ke hawaale se aap ke sawaal ka jawaab de diya gaya hai
Niche diae ga'ae jawaab me molaaheza farmaa len
Hazrat Ali Akbar (علیه السلام) ki taarikhe welaadat baa sa'aadat ke mota'alliq eijmaalan arz kar dun ke qadim maraaje wa masaadir aur taarikh ke asl wa bunyaadi maakhaz me aap ki taarikhe welaadat ka koei zikr nahi milta
Albatta mota'akh'kherin me se maaruf ketaab "Maqtalul Husain علیه السلام" aur "Ali Akbar علیه السلام" jo Moqarram saaheb ki taalif hai, oun me taarikhe welaadat 11 Shaabaan likhi hai
Lehaaza bena'bar qaul-e-Moqarram, 11 Shaabaan ko Hazrat Ali Akbar (علیه السلام) ki welaadat baa sa'aadat huei
- Maqtalul Husain (علیه السلام) - safha 255 - taalif Saiy'yid Abdur Razzaaq Musawi Moqarram
- Ali Akbar (علیه السلام) - safha 12 - taalif Saiy'yid Abdur Razzaaq Musawi Moqarram - matbu'aah Haidariyah Najaf-e-ashraf
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
11 / shaabaan / 1444 H.Q
No comments:
Comment