Imaam Sajjaad (a.s) ki welaadat kis taarikh ko huei ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, February 28, 2023

Imaam Sajjaad (a.s) ki welaadat kis taarikh ko huei ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab tanvir ali sb (delhi)


Salam,


Kya 5th Shabaan Imam Sajjad a.s aur Janab e Ali Akbar a.s ke wiladat ki taareekh hai ?


Kya Imam Sajjad a.s ki wiladat 15th Jamad e Awwal bhi hai ?


Kya Janab e Ali Akbar a.s ki wiladat 11th Shabaan bhi hai ?


Khulasa ye ki is mein confusion q hai ?


Aur sahi mayno mein kaun si taarekh hai Maula Hussain a.s ke dono beton ka ?


Aap ke jawab ka muntazir.
Shukran.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته


Mokhtasar jawaab :


Imaam Ali Bin Husain yaani Imaam Sajjaad (عليهما السلام) ki taarikhe welaadat me aqwaal mokhtalif hain, lekin zeyaadah mash'hur yahi hai ke aap ki welaadat baa sa'aadat 5 shaabaan ko huei


Qadre tafsili jawaab :

Imaam Sajjaad (علیه السلام) ki welaadat baa sa'aadat ke hawaale se mowarrekhin aur sirat negaaron ki aaraa wa aqwaal mokhtalif wa mota'addid hain


Mowarrekhin aur Olama ke aqwaal ki chhaan been aur tatab'bo kiya to mujhe 6 aqwaal mile, oun tamaam aqwaal ka maa'hasal darj zail hai :


  1. 15 Jomaadiyul Oulaa taarikhe paidaa'eish hai :

  2. Shaikh Mofid likhte hain :


    Jomaadiyul Oulaa ke nisf (wasat, darmeyaan yaani 15 Jomaadiyul Oulaa) sana 38 hijri ko Say'yedonaa Abu Mohammad Ali Bin Husain Zaiynul Aabedin (عليه و آبائه السلام) ki welaadat huei


    "وهو يوم شريف، يستحب فيه الصيام والتطوع باالخيرات"


    "ye aek moqaddas wa baa sharaf din hai, is din rozah rakhna aur apni khushi se nek kaam karna mustahab hai"


    1. Masaar'rush shiah fi mokhtasar tawaarikhish shari'ah - p 53 - taalif Shaikh Mofid

    2. "jun'natul amaanil waaqeyah wa jan'natul eimaanil baaqeyah" maaruf ba misbaahe kaf'ami - p 511 - taalif Ibraahim Bin Ali Kaf'ami

  3. 15 jomaadiyus saani ko welaadat huei

    1. aelaamul wara be aalaamil hoda - jild 1 - p 480 - taalif Shaikh Tabrasi - naashir al-hadisa

    2. behaarul anwaar - jild 46 - p 12 - naashir moas'sasah al-wafa

  4. 5 shaabaan ko huei :

  5. Shahide aw'wal likhte hain :


    Imaam Abu Mohammad Zainul Aabedin Ali Bin Husain (علیهما السلام) 5 shaabaan ko paiyda hu'ae


    1. Ad'dorusush shar'eiyah fi fiq'hil imaamiyah - jild 2 - p 12 - taalif Shahide Aw'wal

    2. Al-fosulul mohimmah fi maarefatil a'eimmah - jild 2 - p 853 wa 854 - taalif Ali Bin Mohammad Bin Ahmad Maaleki Makki - naashir Darul hadis

  6. 7 shaabaan ko huei :

  7. Behaarul anwaar - jild 46 - p 15 - naashir Moas'sasa al-wafa


  8. 8 shaabaan ko huei :

  9. Behaarul anwaar - jild 46 - p 15 - naashir Moas'sasa al-wafa


  10. 9 shaabaan ko welaadat baa sa'aadat huei :

  11. Abu Ali Fat'taal Nayshaaburi likhte hain :


    "كَانَ مَوْلِدُ عَلِيِّ بْنِ الْحُسَيْنِ ع ... لِتِسْعٍ خَلَوْنَ مِنْ شَعْبَانَ ..."


    "9 shaabaan ka din khatm hone ke baad Imaam Sajjaad (علیه السلام) ... ki welaadat huei ..."


    1. Rauzatul waa'aezin wa basiratul mut'ta'aezin - jild 1 - p 201 - taalif Abu Ali Mohammad Bin Ahmad Fat'taal Nayshaaburi - naashir Al-qadimah

    2. Manaaqibe Aale Abi Taalib - jild 4 - p 175 - taalif Abu Jaafar Mohammad Bin Ali Bin Shahr Aashub Maazandaraani - naashir Daarul Azwaa

Aap ne molaaheza farmaaya ke Imaam Sajjaad (علیه السلام) ki taarikhe welaadat ke hawaale se aqwaal mokhtalif hain :


15 Jomaadiyul Oulaa, 15 Jomaadiyus Saani, 5 Shaabaan, 7 Shaabaan, 8 Shaabaan aur 9 Shaabaan


6 qaul hain, jis me asah (اصح) yaani zeyaadah sahih wa motabar qaul, 15 jomaadiyul oula aur 5 shaabaan hai is liae ke in dono qaul ki sehat ke zeyaadah se zeyaadah taarikhi qaraa'aen paa'ae jaate hain magar Imaamiyah (Shi'on) ke nazdik mash'hur ye hai ke 5 Shaabaan ko paiydaa'eish huei


Raajeh qaul yahi hai keyon ke masaadir wa maraaje me aksar wa maakhuz yahi hai ke aap ki welaadat baa sa'aadat 5 Shaabaane mokarram ko huei


Note :


Hazrat Ali Akbar (علیه السلام) ki taarikhe welaadat ke hawaale se jawaab molaaheza farmaane ke liae niche di gaei headline par click karen


  • Hazrat Ali Akbar (a.s) ki welaadat kis taarikh ko huei ?

  • Confusion ke ta'alluq se jawaab, niche recommend kiae ga'ae sawaal-jawaab me molaaheza farmaa len


    1. Rasule khoda | maasumin ki taarikhe welaadat | shahaadat me aekhtelaaf ke aham asbaab keya hain ?

    2. Imaam Ali ka naam Ali kisne rakha | kaise ?

    والسلام

    Syed Shamshad Ali Katokhari
    Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


    6 / shaabaan / 1444 H.Q

    subscribe us on youtube

    No comments:

    Comment

    .
    WhatsAppWhatsApp par sawaal karen