Keya haj ya oumre ke kaffaare ka gosht paka kar momenin ko khilaaya jaa sakta hai ? Aur khud bhi khaa sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 23, 2023

Keya haj ya oumre ke kaffaare ka gosht paka kar momenin ko khilaaya jaa sakta hai ? Aur khud bhi khaa sakte hain ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Syed Naasir Abbaas Jaafari sb (Kolkata)


Salamun alikum


Kya hajj ke kaffare, qurbani ke bakre ki neyaz (khana kar ke) Momeneen ko khilaya ja sakta hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


haj ka kaffaarah ho ya oumre ka, bakre ko zabh karne ke baad ous ka pura gosht foqara aur masaakin me taqsim karna zaruri wa laazim hai


waazeh rahe ke kaffaare ki qurbaani sirf mohtaajon ka haq hai, na khud khaa sakte hain aur na ghani ko khila sakte hain


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


2 / shaaban / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen