Sawaal az :...
Salamunaleykum
Mai covid patient hu
Kuch sawal hai mere
phone charger aur alag chizo ko kaise paak karen
Plz ans jaldi de
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسین
Mobile ya electronic aalaat wa chizen agar waterproof hain to paak karne me koei mushkil nahi hai asl najaasat bar taraf wa dur karne ke baad najis jagah ko paani se paak kar len
ya mobile ka frame ya cover nikaal kar paak kar len our khushk kar ke laga len ya dusra kharid len
agar paani se mobile waghirah kharaab hone ka andesha ho to ous par nylon waghirah chadha (چڑھا) len taake ous ki najaasat badan ya lebaas par na lage
ya aehteyaat karen taake ous ki najaasat badan ya lebaas par na lage
Note :
- in chizon ko paak karna zaruri nahi hai
namaaz ke liae badan wa lebaas ka paak hona zaruri wa shart hai lehaaza aehteyaat karen namaaz padhte waqt ous ki najaasat badan ya lebaas tak saraayat nakare
zaahir hai agar mobile... our badan wa lebaas khushk hon to najaasat saraayat nahi kare gi - ye chizen sirf paani se hi paak hon gi, tar kapda waghairah ya suraj se nahi
- agar najis mobile se badan wa lebaas najis na ho to ous ke saath (masalan jeb me rakh kar) namaaz padh sakte hain koei haraj nahi hai our namaaz baatil nahi hai
- agar najis badan ya lebaas ke saath namaaz padhne par majbur wa laa chaar hain to padh sakte hain is surat me paak hona zaruri nahi hai
خدا بحق محمد و آل محمد و شہدائے کربلا (سلام الله عليهم ) شفاء کاملہ و عاجلہ عطا فرمائے
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
16 / محرم الحرام / 1442ھ.ق
No comments:
Comment