اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
◾ بسم الله الرحمن الرحیم ◾
Qaasim Solaiymaani aur Abu Mahdi ko shahid kar diya gaya lekin inka jurm keya tha ?
aek hafta qabl aaj hi yaani roze jum'ah dono mojaahedin ko aek mujremaana hamle me mazlumaana shahid kar diya gaya
isi monaasebat se mazkurah ounwaan ke peshe nazar kuchh haqaa'aeq bayaan karne ki koshish ki gaei hai
Dushmanon ki nazar me mandarjah zail gunaah wa jurm ki wajah se dono mojaahedin ko inke saathiyon samet shahid kiya gaya :
- Sach'cha aur haqiqi musalmaan hona
- Momin hona
- Mohibbe Mohammad wa Aale Mohammad (صلوات الله علیهم) hona
- Aekhlaas-e-niyat
- Shojaa hona (maiydaan chhod kar bhaagte nahi the)
- Basirat, seyaasi sho'our aur daanish'mandi
- Dushman shanaasi
- Awaami hona (ye sab ke the aur sab in ke the)
- Qaumo millat ko bedaar karna
- Islaam wa muslemin ke saath kheyaanat na karna
- Mazlumin ki hemaayat
- Musalmaanon ko mut'tahid karna
- Musalmaanon ko zillat wa khaari se bachaana
- Dictator Sad'daam ... ki taraf se Iran par mosallat kardah 8 saala jang me zabar'dast mojaahedat
- America, Israel aur tamaam dushmanaane islaam ko lalkaarna
- Qibla'ae awwal "Quds Sharif" ko ghaasib Israel ke qabze se aazaad karaane ke liae an'thak wa sakht koshish wa talaash karna
- Iraq, Syria ... me mazaaraat aur digar moqaddas maqaamaat ki hefaazat
- Iraq me Hindustaani nurson (nurses) ko Daa'eish ke changul se reha karwaana ...
- Sunni tanzim "Hamaas" ko is tarah mazbut karna ke Hamaas ke naw'jawaanon ne 36 roza jang me Israeli forces ke naakon chane chabwa diae
- Mazlum Yemen par tamaam aalame kufro nefaaq khosusan Aale Yahud wa Aale Abu Sufyaan ... ki mosallat kardah jang me "Ansaarullah" ki madad karna
- Ghaasib aur dushmane islaamo muslemin, Israeli hokumat ke khelaaf 33 roza jang me "Hizbullaah" ki is tarah madad ki ke Hizbullaah ke sepaahiyon ne Israel ko lohe ke chane chabwa diae
- Khunkhaar aur jaanwaron se bad'tar yaani dahshat'gard geroh Daa'eish ... se Iraqo Syria ... ko bachaana
- Daa'eish, America wa Israel aur Saudiya ... ki aulaad hai, is ka asl hadaf khud'saakhta khelaafate islaami ka qeyaam tha aur is islaami khelaafat ke zari'ae aelaaqe par America aur Israel ... apna tasallut qaa'aem rakhna chaahte the, har mulk Africa, Saudiya, Barre saghir makhsusan Hindo Paak, Iran hatta Europe wa London ... ke liae in ka alag alag nehaayat khatarnaak aur tabaah'kun mansubah wa naqsha tha, is haqiqat ko inke banaa'ae huae mulkon ke naqshon me ba'wozuh dekh sakte hain
- Ghair muslim jaiyse Masihi wa Yahudi makhsusan Ezidi firqe ko Daa'eish ke shar se bachaana
- Shia wa Sunni ke darmeyaan dushman ki saamraaji saazish ko naa'kaam karna aur daa'eish ki darindagi se beraadaraane sunni ko bachaana
- Dono azim mojaahedin Qaasim Solaiymaani aur Abu Mahdi (رضوان الله علیهم) ke khun ki barkat se jadid technology aur wasaa'ael wa aslahe se lais Americi adda "Aiynul Asad" ko "Aiynul Jasad" bana diya gaya
(dubte jahaaz wa safina ko bachaana intehaaei mushkil kaam hai, kabhi kabhi bachaane waala khud bhi is ke saath dub jaata hai
mulk Iraqo Syria ... ka safina dubta huaa nazar aa raha tha, is liae ke saari dunya in dahshat'gardon ki madad kar rahi thi, is dubte huae safine ko Qaasim Solaiymaani aur Abu Mahdi ... رضوان الله تعالی علیهم jaise naa'khoda ne bachaaya)
in tamaam mulkon aur dunya ko daa'eish jaiyse wahshi wa dahshat'gard geroh ke bahot bade khataraat se bacha liya, is khud saakhta khelaafat (Daa'eish : Daulat, Islaami, Iraqi, shaamaat = shaam) ke sar'ghana Abu Bakr Baghdaadi ki jo baiy'at nahi karta tha ous ki gardan oudaa di jaati thi yaa nazre aatish kar diya jaata tha ...
(daa'eish ke haathon Ezidi firqe ki nasl'kushi ki jaa rahi thi. takfiri, dahshat'gard geroh daa'eish qatle aam, jinsi zeyaadti aur digar jaraa'aem ka irtekaab kar ke Ezidi firqe ko puri tarah naabud kar dene ki koshish kar raha tha
is firqe ki khawaatin, bach'chon aur mardon ke khelaaf intehaa'ei ghinaa'oune jaraa'aem ka irtekaab kar raha tha
in ki aur dusre mazaahib wa adyaan ke maan'ne waalon hatta sunni khawaatin aur ladkiyon ko be'tahaasha eijtemaa'ei jinsi zeyaadti ka neshaana bana kar Israeliyon ... ke haathon farokht kar dete the)
misaal ke taur par sirf aek maurid par eiktefa kiya jaa raha hai; Syria me shahr "Halab" ki aksariyati aabaadi sunni musalmaan ki hai, is par takfiriyon ka qabza tha, yahaan jahaan tak mumkin tha wo sunniyon ka qatle aam kar rahe the aur yahaan ke logon ki izzato aabru ko neshaana bana rahe the
jo kaam Ezidi auraton aur ladkiyon ... ke saath kiya wahi sunni ladkiyon aur auraton ke saath kar rahe the, hatta dusre mulkon makhsusan baaz Arab mulkon se in ke liae sunni ladkiyon ki supply wa faraahami ki jaa rahi thi ... is ka natija ye huaa ke in mulkon me in ki aulaad ke ta'alluq se aek bohraan hai, bahot saare bach'chon ke baap ka pata hi nahi, yahi haal Iraq ke baaz sunni aelaaqon ka hai
Shahr "Halab" shaam ka dusra bada shahr hai, yahaan ki aabaadi "Damascus" ke baad badi aabaadi aur puri tarah sunni aabaadi thi, yahaan ki san'aton ki wajah se aek khush'haal aabaadi thi aur in ki ye khush'haali takfiriyon ne lut li. Nuqsaan sunniyon ka huaa lekin dusre mulk ke sunni ye samjh rahe the ke ye sab shi'on ke saath ho raha hai
jab ye shahr aazaad kara kar sunniyon ko waapas kar diya gaya to America, Europe aur Arabi wa Eibri propaganda machinery ne Halab shahr ki aazaadi ke ladne waale mojaahedine buzurg ki jang ko shia sunni jang ka rang dene ki bhar'pur koshish ki, haalaanke yahaan ladi jaane waali jang is shahr ki sunni aabaadi ki aazaadi ki jang thi. mojaahedine islaam ne is jang ko shia sunni wa mazhabi rang dene se bachaa liya
jab baaz sunni Olamaa se in ki darindagi dekhi nahi gaei aur oun ke zamir ne jhinjhoda to fatwa diya ke daa'eish ke khelaaf jang karna waajib hai, be'rahmi se oun Olamaa ki bhi gardan oudha di gaei ...
mokhtasar ye ke in ki darindagi par insaaniyat sharm'saar thi aur hai
Inki darindagi wa haul'naaki ko zabaan bayaan karne se aajiz hai aur qalam likhne se qaasir. Lekin yahan bayaan karne ke laa'aeq sirf aek waaqe'ah bayaan kiya jaa raha hai :
wahshi geroh daa'eish ne Ezidi khaatun ko asir banaaya aur ous ko mosalsal jinsi zeyaad'ti wa tashad'dud ka neshaana banaaya aur 3 din tak bhuka peyaasa rakha phir aek plate chaawal ke andar kabaab rakh kar ous ke saamne rakh diya, ye be'chaari bhuki thi chaawal aur kabaab khaa liya, is ke baad ous se bataaya gaya ke jo kabaab tumne khaaya hai wo tumhaare aek saala bach'che ke gosht ke bane the ...
is tarah ke waaqe'aat be'shumaar huae hain, kabaab khilaane ke baad maa'on ko aiysi video dekhaa'ei jaati thi jis me oun ke kam'sin bach'chon ko zabh aur tukde tukde karne ke baad oun ke gosht ka kabaab banaane ka manzar hota tha
zulm ki intehaa ho gaei, aiyse dil'kharaash waaqe'aat aur larza khez waardaat par insaaniyat karaah rahi hai
Lebanon ke Hizbullah, Afghanistan ke Faatemi'yun, Pakistan ke Zainabi'yun, Iraq ke Hashdush'shaabi (razaakaar sepaah) wa badriyun, syria ke razaakaar sepaahi, modaafe'eine haram aur Qaasim Solaiymaani wa Abu Mahdi jaiyse mojaahedin ka moqaabala wa saamna daa'eish aur in jaiyse bhediyaa sefat geroh se tha
(Khoda aiyse shajara'ae khabisa wa mal'ounah ko bilkul se naabud wa khatm kar de)
nehaayat afsos ki baat ye hai ke shuru me taqriban 98% sunniyon ne daa'eish waghairah ki hemaayat ki thi yahaan tak ke baaz Olamaa ne Abu Bakr Baghdaadi ko mobaarak'baadi ka khat bhi likha aur aiyse dahshat'gard wa faasiqo faajir ki baiy'at ka aelaan bhi kiya
Ye sab Ahle Baite Ismato Tahaarat (صلوات الله علیهم) ke aastaane se duri ka natija hai
jis mulk ko shikast dena naa'qaabile yaqin baat lagti thi ous ko zillat aamez shikast huei
is waqt America dunya ke saamne ruswa ho chuka hai, apni ruswaa'ei par parda daalne ke liae ahmaq Trump ne kaha wahaan kuchh bhi nahi huaa
ajib jhut hai agar kisi jagah aek capsule phat jaata hai to chand meter tak kharaabi nazar aati hai lekin wahaan 13 missile phatne se koei nuqsaan nahi huaa ? !!!
dunya waale is shakhs ki hemaaqat dekhen
yaqinan in ki shahaadat sahyuni hokumat ke zawaal aur America ki daada'giri ke khaateme ka aaghaaz hai
Isi bena par dushman kah raha hai :
"Murda (shahid) Qaasim solaiymaani, zinda se zeyaadah khatarnaak hai"
tawajjoh farmaa'aen Imaam Husain (علیه السلام) ke adna sepaahi ke khun ka aetna asar hai aur oun ki shahaadat ka aetna khauf hai to jo "Saiy'yedush Shohada" (Imaam Husain علیه السلام) hai, dushman ke dilon me in ka khauf kitna hoga ? aur inke khun ki taasir ketni hogi ?
albatta is par tawajjoh rahe ke America aaj kal zakhmi saanp ki tarah hai, is se hoshiyaar rahna bahot zaruri hai
Shahid Solaiymaani aur Abu Mahdi ne jawaanon ko moqaawamat aur mojaahadat ki tarbiyat de kar hazaaron afraad ko moqaawamat ke maiydaan me apna waaris bana kar chale ga'ae, is waqt taqriban har jawaan Qaasim Solaiymaani wa Abu Mahdi hai, dono moqaawamat ka darakhshaan setaara hain
dushmanon aur Aale Abu Sufyaan wa Aale Banu Omaiy'yah ki nazar me dono mojaahedine islaam ke ye baaz zaaheri gunaah hain Jis ki wajah se aap ko dahshat'gard kaha jaa raha hai
aap ki shahaadat ko halaakat se taabir kiya jaa raha hai, jabke sunni tanzim "Hamaas" ke rahnuma wa sar'baraah "Janaab Ismaaeil Haniya" ne aap ko Shahide Quds kaha hai
aur aap ki shabih bigaad kar pesh karne ki naa'kaam koshish ki jaa rahi hai
Shabih ko bigaad kar bad'naam karne ka beda Aale Saud ke wazifa'khaar kath mulla aur is ke paaltu kutton ne outhaaya hai
Aale Saud ... America ke ghulaam aur wafaadaar kutte hain aur ye kath mulla Aale Saud ke ghulaam wa kutte hain, jab ye kahte hain folaan jagah na jaao to dum hilaate huae nahi jaate hain, jab kahte hain mojaahide islaam ko shahid na kaho to nahi kahte hain ... zillato khaari ki had ho gaei
"لَقَد کَانَ فِی قَصَصِهِم عِبرَةً لِاُولِی الاَلبَاب ..."
"ba'tahqiq oun ke qisson me aql rakhne waalon ke liae ibrat hai ..."
(Yusuf 111)
والسلام
Syed Shamshad Ali katokhari
14 / جمادی الاولی / 1441 ھ.ق
Recommended
shahid zinda hotey hain aur un ki koshish ko log bahaduri kehtey hain.
ReplyDelete