Aabe qalil se peshaab ya paakhaana ke maqaam ko dhote huae padne waali chhinton ka hukm | dhone ka tariqa | tahaarat ke liae mitti ke dhele ya tissue paper waghairah ka istemaal - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, January 5, 2023

Aabe qalil se peshaab ya paakhaana ke maqaam ko dhote huae padne waali chhinton ka hukm | dhone ka tariqa | tahaarat ke liae mitti ke dhele ya tissue paper waghairah ka istemaal

Sawaal az : mohtaram janaab Gulzar Ahmad sb. (Srinagar, kashmir)


asalam alaikum
Syed Shamshad sahib umeed hai aap bakhair honge


Aap ne jawab main likha tha aabe qaleel se istinja karte waqt jo chhinten uth kar badan par lagti hain woh najis hain chaahe un me najasat ke zaraat ho ya na ho, pakhana ke zaraat to dikhai de te hain peshaab ke zaraat hum kaise pehchane mere is sawaal ke saath jitne log jude hain sabhi qaleel pani se istinja karte hain yaani woh surahi istemaal karte hain jab unhon ne suna qaleel pani se istinja karte waqt jo chhinten kamood se uth kar badan par lagti hain woh najis hain woh ghabra sa gaye aur kehne lage ab kya kiya jaye chhinten to zaroor uthti hain jo badan par lagti hain agar peshaab karne ke bad kamood par pehle pani dala jaye jis se us par se najasat hat jaye aur us ke baad istinja kiya jaye khas kar agar sirif peshaab ka istinja kiya jaye aur chhinten ouchhal kar badan par lagen kya woh bhi najis hain ?


ek eham sawaal : kya istenja ke waqt peshaab ke makharaj ko (naki pakhana ke makharaj ko) malna zaroori hai agar sirif do baar pani dala jaye kya peshaab ka makharaj paak ho jaye ga ?


Main yeh sawaal is liye maloom kana chahata hoon kyon ki jab bunyaadi cheezain theek hongi tabhi hamara wuzu hamari namaaz sahi hongi
Shukriya wasalaam


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


ham ne likha hai najaasat ke zar'raat hon ya na hon chhinten najis hain lehaaza zar'raat dekhaa'ei den ya na den hukm par farq nahi pade ga dono surat me chhinten najis hain is liae ke Aayatullah Sistaani aur baaz dusre maraaje keraam ke nazdik istinja ke ghosaalah (غساله = jo paani, dhone wa paak karne me peshaab ya paakhaana khaarij hone ki jagah se gire ya khaarij ho) ka hukm wahi hai jo tamaam najis chiz ke ghosaale ka hai


(minhaajus'saalehin - fasl 3 - hukme maa'ae qalil)


aabe qalil se dhone se jo paani (غساله) gire wo najis hai lehaaza agar commode / کموڈ (western toilet) par girne ke baad ouchhal kar badan ya lebaas par lage to najis ho jaa'ae gaa, peshaab karne ke baad cammode dho len tab bhi farq nahi hoga


ghabraane ki keya baat hai najaasat ka yaqin hai to najis jagah paak kar len


(aabe kur ke ta'alluq se jo likha tha ous ke peshe nazar peshaab ke zar'raat ki tashkhis yaani pahchaan mushkil hai, ye baat sahih hai is liae ke peshaab wa paani moshaabeh hain lekin zar'raat ki tashkhis imkaan ki surat me hai, jab tashkhis nahi de sakte to shak hai yaani yaqin nahi hai, jab najaasat ka yaqin nahi hai to paak hai)


Istinja :


istinja (peshaab wa paakhane ki jagah paak karna) khud ba khud waajib nahi hai balke mustahab hai lekin jin chizon me badan wa lebaas ki tahaarat shart hai oun me zaruri hai jaiyse namaaz.


peshaab ki jagah sirf paani se paak hoti hai dusri chiz se paak karna kaafi nahi hai


peshaab ke maqaam ko aek martaba dhona kaafi hai lekin aabe qalil (jaiyse lote ka paani) se dhone me aehteyaate mustahab ye hai ke 2 martaba dho'aen aur 3 martaba dhona afzal wa behtar hai


agar peshaab ke maqaam par sirf peshaab hai dusri najaasat jaiyse mani waghairah chipki na ho to malna zaruri nahi hai


Note :


Paakhaane ka maqaam, paak aur khushk, mitti ke dhele, kapde ke tukde (چیتھڑا), pat'thar (پتھر), kaaghaz ya is ke maanind jaiyse tissue paper waghairah se ach'chhi tarah pochhne (پوچھنے) ke baad paak ho jaata hai, paani se dhona zaruri nahi hai albatta paani se dhona behtar hai


(insaan ko ekhteyaar hai ke in dono yaani paani ya sang wa mitti waghairah me se kisi aek ke zariae tat'hir kare)


albatta 3 surat me paakhaane ke maqaam ko sirf paani se dhona zaruri hai, dusri chiz se paak nahi hoga


  1. paakhaane ke saath dusri najaasat jaiyse khun waghairah baahar aa'ae

  2. baahar se koei najaasat jaiyse peshaab waghairah paakhaane ke maqaam par lag gaei ho

  3. lekin khawaatin ke maqaame paakhaane par peshaab lag jaa'ae to koei haraj nahi hai ye juda hai


  4. maqaame paakhaana ke aas paas (atraaf) maamul se zeyaadah aaluda ho gaya ho, yaani paakhaana phail gaya ho

  5. (tafsil tauzihul masaa'ael, masla No 61 - 66 me hai)


    jo hukm commode ke mota'aliq bayaan kiya gaya hai wahi hukm asian toilet (rewaayati ya indian baitul khala) ka hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


15 / جمادى الثانى / 1439 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen