Sawaal az : mohtaram janaab Gulzar Ahmad sb. (Srinagar, kashmir)
asalam alaikum
Syed Shamshad sahab mera sawal aap ne nazar andaaz kyun kiya
ho sake to mere is sawal ka jawab dijiye ga peshaab (urine) ka istenja karte waqt kamood se jo chentain uthti hain jin main koi najasat nahein dikhai deti hai kya woh paak hain
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mohtaram wa mokarram nazar andaaz nahi kiya hai, haqir ne guzaarish ki thi ke roman urdu me sawaal karen lekin aap ne taakhir ki
Islaam, mazhabe shia aur qaumo millat ki khidmat karna mere liae baa'aese sa'aadat, iftekhaar aur bahot badi taufiq hai
Aap ke sawaal ka jawaab ye hai :
aabe kur se dhone (tat'hir) ke darmeyaan is ka paani najaasat (peshaab, paakhaana) par ya commode / کموڈ (western toilet) ke andar girne ke baad ouchhal kar lebaas ya badan par pade to agar is paani me najaasat ke zar'raat nahi hain aur najaasat ki wajah se bu'baas, rang ya maza nahi badla hai to is ki chhinten (qatre) paak hain
istinja karte waqt commode / کموڈ (western toilet) ki chhinton me agar najaasat ke zarraat hone ka yaqin nahi hai to ye chhinten paak hain
zeyaadah chhaan'bin ki zarurat nahi hai
aur agar aabe qalil jayse lote waghairah se dhone ke darmeyaan is ka paani najaasat ya commode / کموڈ (western toilet) par girne ke baad ouchhal kar lebaas ya badan par pade to is ki chhinten najis hain, is me najaasat ke zarraat hon ya na hon
jo hukm commode ke mota'aliq bayaan kiya gaya hai wahi hukm asian toilet (rewaayati ya indian baitul khala) ka hai
Note:
- supply ka paani (urban water plumbing) misle aabe kur hai
- agar tanky (tank) hai to is ke paani ka wazn taqriban 384 litre ho to aabe kur hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
12 / جمادى الثانى / 1439ھ.ق
No comments:
Comment