sawaal az : khaahare geraami Munni sb / mumbai
Salamun alaikum
Apse mujhe kuchh sawal karna hai
Abu sufiyab ki biwi se kya maula Ali ka nikaah hua tha ?
Kya yeh rasam thi maula Ali ke daur me ke jab koi kabile ka sardar mar jaye to uski bewa se maula Ali ka nikkah hota tha maula Ali ke khalifa banne ke baad
Jawaab :
باسمه تعالى
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
- Abu Sufyaan (لعنةالله عليه) ki biwi se Maula Ali (عليه السلام) ka nekaah huaa tha ye baat naa durust hai, sahih nahi hai
- naa paak maqaasid
- ghalat fahmi
- (mus'tadrakul wasaa'ael jild 2 safha 360 taalif mohaddis noori)
- (muntahal aamaal jild 1 p 188 fasl 3 taalif seqatul mohaddesin shaikh abbaas qomi saahebe mafaatihul jenaan)
- Sardaar ki bewaa'on se Maula Ali (عليه السلام) ka nekaah hona :
jo log is tarah ki baat kahte hain shaayad ous ki 2 waj'hen hon :
baaz taarikhi ketaabon ke motaabiq Abu Sufyaan (لعنةالله عليه) ki aek biwi ka naam "Omaamah = اُمَامَه" hai aur Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ki aek biwi ka naam bhi "Omaamah" hai
lekin dono "Omaamah" aek hi fard (aurat) ka naam nahi hai
Abu Sufyaan ki biwi (Omaamah) "Sufyaan Bin Wahab ki ladki hai aur Hazrat Ali (عليه السلام) ki zaujah (Omaamah) "Abul Aas Bin Rabi" ki ladki hain
Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ki aek beti (Zainab) ki shaadi "Abul Aas" se huei thi
mokhtasar ye ke "Omaamah" Rasule khoda aur janaabe khadijah ki nawaasi aur hazrate Zahra (سلام الله عليهم) ki bhaanji hain
lehaaza jis ne bhi ye baat kahi hai ke Abu sufyaan (لعنةالله عليه) ki biwi se maula Ali (عليه السلام) ka nekaah huaa tha ous ko shaayad "Abul Aas" ki ladki "Omaamah" aur Abu Sufyaan ki biwi "Omaamah" ke darmeyaan eishtebaah aur ghalat fahmi ho gaei ho
zaruri wazaahat :
shahaadat ke waqt Hazrat Faatema Zahra ne Amirul Momenin Ali (صلوات الله عليهم) ko mokhaatab kar ke farmaaya :
" ... وَ أَنَا أُوصِیکَ أَنْ تَتَزَوَّجَ أُمَامَةَ بِنْتَ أُخْتِی زَینَبَ تَکونُ لِوُلْدِی مِثْلِی ... "
"...main aap se wasiyat karti hun ke sab se pahle mere baad meri bahan Zainab ki beti (bhaanji) Omaamah se shaadi karen. keyon ke wo meri tarah mere bach'chon ke liae ho gi (yaani wo maa ki tarah ho gi)..."
waazeh rahe ke mohaddis Noori ne is hadis ko ketaab "solaim bin qais helaali" se naql Kiya hai
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki saaheb zaadiyon ki taadaad me aekhtelaaf hai baaz mowarrekhin aur mohaddesin ka kahna hai ke chaar saaheb zaadiyaan hain :
Zainab, Roqaiy'yah, Oumme Kulsum, aur Hazrat Faatema Zahra (سلام الله عليها)
lekin baaz mowarrekhin, mohaddesin aur mohaqqe'qin ka maanna hai ke sirf aek beti hain, yaani Hazrat Faatema Zahra Rasule khoda (سلام الله عليهم) ki aek'lauti beti hain
mazkura baala rewaayat ke ta'alluq se pahle ye arz kar dun ke is rewaayat ki sanad qawi nahi hai
dusre ye ke is rewaayat ka matlab (Hazrat Ali عليه السلام ka "Omaamah" se nekaah karna) baaz mohaqqeqin ki tahqiq ke peshe nazar naa'durust hai is liae ke baaz mohaqqeqin ne tahqiq kar ke saabit kiya hai ke Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ki pahli aur aakheri beti sirf Hazrate faatemah (سلام الله عليها) hain yaani maa baap ki aek lauti beti hain. aap ke aelaawah koei dusri beti nahi thi, 4 ladkiyaan nahi thin lehaaza "Zainab" Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ki beti nahi hain balke Janaabe Khadijah (سلام الله عليها) ki bhaanji hain, aap ki bahen "Haalah" ki beti hain
baaz ye bhi kahte hain ke Zainab Rabiba / ربیبہ (biwi ki wo ladki jo pichhle shauhar se ho) thi'n
ye bhi bilkul ghalat hai, keyon ke tahqiq ke motaabiq Hazrat Khadija (سلام الله عليها) shaadi shuda nahi thi'n. yaani Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se qabl dusre ki sharike hayaat nahi thi'n. lehaaza aap ke pahle aur aakhiri shauhar Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) hi the. niz ye kahna ke Rasule akram (صلى الله عليه وآله) se nekaah ke waqt Oummul Momenin Hazrat Khadija (سلام الله عليها) ki Oumr 40 ya 45 saal thi ye bhi bilkul ghalat hai
aap ki oumr 40 ya 45 saal bataane aur shaadi shuda hone par zor dene ka maqsad ye hai ke apni peyaari ammi Aa'aesha ki fazilat ko saabit kiya jaa'ae is liae ke sunni bhaaei'yon ki motabar ketaabon me likha hai ke jis waqt Aa'aesha ne Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se nekaah kiya ous waqt Aa'aesha ki oumr 6 baras thi
mokhtasar ye ke mokhtalif dunyaawi aur seyaasi maqaasid ke liae sunni aur wahaabi is par zeyaadah zor dete hain ke Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ki 4 betiyaan hain aur is baat par bhi zor dete hain ke Hazrat Faatema Zahra (سلام الله عليها) ki shahaadat ke chand roz baad hi Hazrat Ali (علیه السلام) ne Omaamah se shaadi ki
is ke peshe nazar apne aek, Shum (شوم) maqsad Ka eizhaar is trah karte hain ke Hazrat Ali (علیه السلام) ne to Hazrat Faatema Zahra (سلام الله عليها) ki shahaadat ke baad bela faasela (Omaamah se) shaadi kar li, phir shi'aa Faatemiya aw'wal aur faatemiya dow'wum keyon manaate hain ?
in mo'aane deen ke is aeteraaz ka bhi jawaab hamaare olama aur mohaqqe'qin ne diya hai, jin ka tazkera aekhtesaar ke peshe nazar kisi aur qalamkaar ke liae chhod raha hun
ham is baat se inkaar nahi karte ke baaz shia ketaabon me 4 betiyon ka zikr maujud hai lekin sirf aek beti thin is ke baare me mota'addid tahqiqi ketaaben aur maqaale likhe ga'ae hain. ahle eilm oun kotub aur maqaalon se roju kar sakte hain
farz kar len ke ye saabit ho bhi jaa'ae ke Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ki chaar betiyaan thi'n lekin yaqinan Hazrat Faatema Zahra (سلام الله عليها) ke aelaawa sab betiyon aur beton ka einteqaal Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se pahle hi ho gaya tha. yaani aap ki zindagi me hi einteqaal ho gaya tha. lehaaza is me koaei shak nahi ke aap ki nasl sirf Janaabe Faatema Zahra (سلام الله عليها) se chali
is tarah ki baat bhi bilkul naa'durust, ghalat, jhut aur naa'insaafi hai. jis tarah Rasule Khoda aur aap ke farzand Imaame Hasan ko dushman badnaam karte hain ke kasrat se nekaah karte the ousi tarah hazrat Ali (سلام الله عليهم) ko bhi badnaam karte hain
ye aeteraaz aur shubhah mokhtalif aghraaz se eijaad kiya jaata hai
pahle ye ke taarikh ki motabar ketaabon me Maulaa'ae Kaa'aenaat Ali (عليه السلام) ki maj'muan 9 ya 10 shaadiyon ka zikr hai
dusre ye ke aap maasum hain, chand shaadiyaan ma'aazallaah khaaheshaate nafsaani ki wajah se nahi kin balke mokhtalif maqaasid, hikmaton aur maslehaton ki wajah se kin, ous me bahot si hikmaten poshidah thin
zaaheri aetebaar se baaz maslehaten darj zail hain :
ma'aashi aur mo'aasharati sahaara dena wa madad faraaham karna, shaadi kar ke aazaad karna, tahaffuz faraaham karna, shaadi karne ki wajah se bahot si qabaa'aeli dushmaniyaan aap ke khelaaf sard pad gaein is liae ke arabon me dastur tha ke jo shakhs oun ka daamaad ban jaata tha ous se jang nahi karte the, islaam ki taqwiyat ke liae mokhtalif khaandaanon ka seyaasi ... ta'aawun haasil karna, qabaa'ael ke log qarib aa saken aur aap ke akhlaaq se mota'assir ho kar hedaayat haasil kar len aur tarwije islaam
aek mohim sabab ye bhi ho sakta hai ke is waqt ki tarah ous waqt dusri ya mota'addid shaadiyaan karne me koei aib nahi tha, dusri shaadi karna raa'aej tha
bahar kaif meri zaati raa'ae ye hai ke agar is waqt Rasule Khoda aur Amirul Momenin Ali ... (صلوات الله عليهم) hote to baa'wafa sharike hayaat hone ki surat me dusri ya mota'addid shaadiyaan na karte
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
22 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment