Sawaal az : mohtaram janaab Gulzar Ahmad sb (Kashmir Srinagar)
Asalam Alaikum w Rahmatullha
Sawal : qaleel pani se istenja kar ne douraan Jo chenten uthti hain aur badan par Lagti hain chahe pakhana ka istenja ho raha ho ya peshab (urine) ka istenja ho raha ho kya woh chenten najis hain ya paak ?
yeh chenten kabhi badan ke us hise par Lagti hai jahan par nazar nahein jati hai taki insaan in chentoon main yeh dekhe ki in main najasat hai ki nahein hai
aur agar in chentoon par nazar jati bhi hai toe in main aeni najasat ka pana ya dikh,na kafi mushkil hota hai kyun ki ye chenten pani ke rang ki si hoti hain
Sawal yeh hai ki Kamod ek sakht cheez hai us,se chenten yaqeenan uthti hain aur badan par Lagti hain
Agha Main yeh sawal aap se kayi saiel ke kehne pe bhej ra,ha hoon in main se kuch agha khamnai ke muqalid hain aur kuch agha sistani ke muqalid hain.
Isliye jawab hamain donon maraje ke futwa ke mutabiq chahiye ki kya in chentoon ko paak mana jata hai ya najis mana jata hai ???
Aap ka mashkoor
Gulzar Ahmad
Kashmir
Srinagar
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aabe qalil se peshaab aur paakhaana ke maqaam ko dhote huae commode / کموڈ (western toilet) ke andar se oud kar jo chhinten badan ya kapde par padti hain ye chhinten najis hain lehaaza is se ijtenaab wa aehteraaz karen
chhiten zaahir aur nomaayaan hon ya lagne par yaqin ho lehaaza ghair nomaayaan aur mashkuk chhinton ka aetebaar nahi hai yaani agar chhinton ke lagne par yaqin ho tab hi badan ya kapda najis hai lekin agar yaqin na ho balke shak ho to paak hai
chhinton ke ta'alluq se was'wasa na ho
bahar kaif badan ya kapdon par agar chhinton ke aa jaane par yaqin ho to istinja karne ke baad badan ya kapdon par jahaan chhinte lage hon ouse paak kar len parishaan hone ki koei zarurat nahi hai
sawaal ke peshe nazar jo hukm commode ke mota'aliq bayaan kiya gaya hai wahi hukm asian toilet (rewaayati ya indian baitul khala) ka hai
Tabserah :
- dhone me aehteyaat se kaam len taake chhinten na auden masalan Aahista Aahista, thahar thahar kar paani daalen
- aiyse sawaalaat is se pahle bhi aap ne kiae the, oun ke jawaabaat niche di gaei link me molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
12 / جمادی الثانی / 1444 ھ.ق
No comments:
Comment