Alawi | Faatemi kise kahte hain ? | ghair saiy'yid ka apne naam ke shaath Alawi ya Faatemi lagaane ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, December 9, 2022

Alawi | Faatemi kise kahte hain ? | ghair saiy'yid ka apne naam ke shaath Alawi ya Faatemi lagaane ka hukm

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Qamar Abbaas sb. (Jaunpur)


Salamun Alaikum


Kya gair Sayyed alavi ya Fatemi likh sakta hai
Mai Fatemi likhta hu Takhallus ke bina pe


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Sab se pahle to hamaare liae ye jaanna zaruri hai ke lafz "Alawi" aur "Faatemi" keya hai ? is ka eitlaaq kis par hota hai ? "Alawi" aur "Faatemi" lafz se keya moraad hai ?


"Alawi" ka eitlaaq chand geroh par hota hai, ba'alfaaze digar "Alawi" se moraad chand geroh hain :


  1. Alawi ounhen kaha jaata hai jo Hazrat Mohammad Hanafiya Bin Ali ya Hazrat Abul Fazlil Abbaas Bin Ali (صلوات الله و سلامه عليهم) waghairah ki aulaad se hain

  2. waazeh rahe ke Hazrat Mohammad Hanafiya ki maa "Hazrat Khaulah Binte Jaafar Bin Qais" hain
    aur Hazrat Abbaas ki waaleda "Oummul Banin" (سلام الله عليهم) hain


    ye dono Hazrat Faatema Zahra (سلام الله علیها) ke batn se nahi hain


    Jo Hazrat Faatema (سلام الله علیها) ke batn se hain, jaise Imaam Hasan aur Imaam Husain (عليهم السلام) in ki aulaad ko "Saadaate Hasani" aur "Saadaate Husaini" kaha jaata hai


    mokhtasar ye ke Hazrat Faatema Zahra (سلام الله عليها) ke aelaawah Hazrat Ali (سلام اللہ علیه) ki dusri azvaaj ke batn se paida hone waali aulaad ki aulaad wa nasl, "Saadaate Alawi" kah'laati hain


    is maani ke aetebaar se Alawi aur Say'yid ek hi hain, yaani "Alawi Say'yid" hain


  3. Alawi oun ko kaha jaata hai jo Rasule Akram (صلى الله عليه و آله) ke baad Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ko aap ka belaa fasl khalifa maante hain aur aap ki pairawi karte hain agarche Hazrat Ali aur Hazrat Faatema (سلام اللہ علیهما) ki aulaad se na hon

  4. is maani ke aetebaar se alawi aur shia aek hi hain
    waazeh hai is ke peshe nazar alawi ka har fard say'yid nahi hai


  5. ounhen kaha jaata hai jinhon ne kaz'zaabin ki tarah Ousmaan ke qatl ka eilzaam Hazrat Ali (عليه السلام) par nahi lagaaya aur jab Mo'aawiya aur Aa'aesha ki taraf se khune Ousmaan ke qesaas ka motaalaba hua to oun ka saath nahi diya agarche Hazrat Amirul Momenin (عليه السلام) aur Mo'aawiya wa Aa'aesha ko na dekha ho

  6. is aetebaar ae "Alawi" ous shia ko kaha jaata hai jis ka ta'alluq seyaasi aur gumraah firqa "Ousmaaniyah" se nahi hai


    yahaan is baat wa nokta ka zikr bhi monaasib hoga ke dalaa'ael, qaraa'aen aur taarikhi shawaahid se ye baat saabit hai ke karbala ki jang ke waaqe hone me Ousmaani, Amawi aur Rumi afkaar ka role bahot aham raha hai


    jinhon ne Imaam Husain (عليه السلام) ka saath nahi diya wo Abu Sufiyaani aur Ousmaani shia the, Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke shia nahi the


  7. Alawi ka lafz oun logo ke liae bola jaata hai jo Amirul Momenin Ali aur Aeimma'ae At'haar (سلام اللہ علیهم) ki shaan me gholu karte hain

  8. is maani ke aetebaar se Alawi, Nosairi hain albatta Nosairiyon ke baaz akaaberin ne tasrih wa tashrih ki hai ke hamaara aqida wahi hai jo 12 imaami shi'on ka hai


    pahli taarif ke motaabiq alawi ka eitlaaq sirf say'yid par hota hai lehaaza alawi ka lafz faqat say'yid ke liae mukhtas hai, ghair say'yid apne naam ke saath alawi nahi laga sakta


    dusri aur teesri taarif ke motaabiq alawi ka eitlaaq har ous shakhs par hoga jo Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ki imaamat par eimaan rakhta ho chaahe wo say'yid ho ya say'yid na ho jaiyse eisnaa ashari shia, Kaisaaniyah, Eismaa'eiliyah, Zaidiyah, Waaqefiyah waghairah


    is aetebaar se alawi ki eistelaah aam hai yaani ghaaleban har wo shakhs alawi hai jo Hazrat Ali (عليه السلام) par eimaan rakhta ho agarche say'yid na ho


    waazeh rahe ke pahli, dusri aur teesri taarif ke motaabiq aur ous ko madde nazar rakhte huae alawi aam hai aur say'yid khaas hai yaani har shia alawi hai magar alawi aur shia ka har fard say'yid nahi hai


    dusri aur teesari taarif ke motaabiq ghair say'yid apne liae "Alawi" ka lafz eistemaal kar sakta hai, apne naam ke saath "Alawi" likh sakta hai
    lekin agar aap ke yahaan ourfe aam me "Alawi" ki eistelaah "Say'yid" ke liae mash'hur ho chuki hai, "Alawi" lafz bataure khaas "Say'yid" ke liae bola jaata hai to apne naam ke saath "Alawi" lagaana aur likhna jaa'aez nahi hai khosusan jahaan eishtebaah ho


Apni baat ko waazeh karne ke liae misaal de dun :


Iran waghairah me hari topi lagaana aur hari shaal gale me latkaana aam saadaat ki neshaani wa alaamat hai, is se pahchaane jaate hain, ye in se mukhtas hai lehaaza Iran waghairah me ghair say'yid hari topi ya shaal ko eistemaal nahi kar sakte hain is liae ke yahaan ke ourf ke motaabiq koei aisa fard hari topi nahi pahan sakta ya hari shaal gale me nahi latka sakta jo say'yid nahi hai


lekin barre saghir me aisa nahi hai yahaan ka ourf is se hat kar hai lehaaza yahaan eistemaal kar sakte hain


aur asre haazir me har jagah say'yid olama ke liae kaala aur ghair say'yid olama ke liae safed amaama makhsus hai, kaala amaama saadaat ke saath khaas ho gaya lehaaza ghair say'yid olama kaala amaama nahi pahan sakte


Iran waghairah me agar keoi ghair say'yid hari topi ya shaal ya kaala amaama eistemaal kare to ye jhut hai keyon ke ye khud ko say'yid kahna aur zaahir karna huaa aur jhut haraam hai


dusre ye ke apne asl baap ke bajaa'ae kisi dusre shakhs ki taraf mansub karna huaa, apne haqiqi baap ke sewa kisi aur ke saath apna nasab jod dena huaa is ka matlab keya hai ? bahot waazeh hai


isi tarah agar aap ke aelaaqe aur ourf me "Alawi" saadaat se makhsus hai to digar ke liae apne naam ke saath "Alawi" lagaana takhsise ourfi ki bunyaad par jaa'aez nahi hai


Faatemi lafz ka eitlaaq aur is se moraad :


Faatemi ounhen kaha jaata hai jo Hasnaine Karimain aur tamaam Aeimma'ae At'haar (سلام الله عليهم) ki aulaad aur nasl se hain lehaaza ghair say'yid ke liae apne naam ke saath "Faatemi" lagaana sahih wa dorust nahi hai


lekin agar aap ke aelaaqe aur ourf me "Faatemi" lafz Imaam Hasan aur Husain ya tamaam imaamo (صلوات الله و سلامه عليهم) ki aulaad ke liae mukhtas nahi hai balke aam hai yaani is ka eitlaaq Aeimma'ae At'haar (سلام الله عليهم) ki aulaad samet dusron par bhi kiya jaata hai to is surat me ghair say'yid apne naam ke saath "Faatemi" lagaa sakte hain ba'sharte ke eishtebaah na ho
(is ke baare me oupar misaal de kar waazeh kiya gaya hai)


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. keya ghair syed khud ko jaafari likh sakte hain ?

  2. Keya ghair syed apne naam ke saath razavi | naqavi waghairah likh sakte hain ?

  3. Naw muslim aurat ka apne naam ke saath naqawi lagaana | kafan aur talqin me kaun sa naam istemaal kare ? keya nazro neyaaz ka tabarruk bana wa khaa sakti hai ? ach'chhe naam ke faa'aede


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / Iran


12 / جمادی الاول / 1444ھ.ق

subscribe us on youtube


Shabe shahaadate Sid'diqa'ae Kubra wa Shahida, Hazrat Faatema Zahra (عليها السلام) || (75 roz ki rewaayat ke motaabiq)

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen