Kaafir ke haath ka khaana haraam hai is par dalil keya hai ? | shakhsiyat ke aetebaar se insaan mosaawi nahi - Edaara-e-darul itrat
Janaab Hasan Nasrullah ki shahaadat par taaziyat naamah Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israel apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, November 8, 2022

Kaafir ke haath ka khaana haraam hai is par dalil keya hai ? | shakhsiyat ke aetebaar se insaan mosaawi nahi

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Syed Rizwaan sb / Ahmedabad ( Gujarat )


mere dost ka sawaal ye hai ke kaafir ke haath ka khana haraam hai ye baat usko Quran ya kisi Imam ya Masoomeen (as) ke qaul se saboot chahiye kitaab ke hawale ke saath...


Jawaab :


باسمه تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم


Sab se pahle ye arz kar dun ke najis chiz ka khaana pina haraam hai, is ke haraam hone par dalil mota'addid rewaayaat hain


"Wasaa'aelush Shia - jild 16 az safha 309 - Abwaabul at'aematil moharramah" dekh len


aekhtesaar ke peshe nazar ham oun rewaayaat ko yahaan bayaan nahi kar rahe hain, arbaabe eilmo tahqiq khud wo rewaayaat padh len


aur ye bhi saabit hai ke kuffaaro mushrekin najis hain, in ki najaasat par dalil aayat wa rewaayat hai


ham sirf aek Aayat par aektefa karte hain


Surah Taubah aayat 28 me hai :


" يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّمَا الْمُشْرِكُونَ نَجَسٌ ... "


"ay eimaan waalo ! beshak mushrekin najis wa naa'paak hain ..."


Mazkurah Aayat ke motaabiq kuffaaro mushrekin najis hain lehaaza agar in ka haath ya badan khaane pine ki chiz par is tarah lag jaa'ae ke najaasat ka asar andar saraayat kiya ho to wo chiz najis hai aur najis chiz ka khaana pina haraam hai


Kuffaaro mushrekin ke haath ka khaana haraam hai, is par dalil wa sobut yahi hai


Tabserah :


Ye baat jur'at ke saath kahi jaa sakti hai ke islaami noqta'ae nazar se insaani shakhsiyat ki hurmat aur qadr mosaawi nahi hai, yaani shakhsiyat aur insaani karaamat ke aetebaar se sab insaan baraabar nahi hain agar aiysa hota to qur'aan na kahta :


" ... أُولَٰئِكَ كَالْأَنْعَامِ بَلْ هُمْ أَضَلُّ ... "


" ... wo log chaupaayon ki tarah hain balke wo (oun se bhi) zeyaadah gumraah hain ... "


(Aaraaf 179)


Jis tarah aalim aur jaahil baraabar nahi hain isi tarah momin aur kaafir baraabar nahi, aur mowah'hid wa mushrik baraabar nahi


agar koei is ke bar'khelaaf kahe to ye khelaafe aqlo naql hai


Kuffaaro mushrekin ke aqaa'aed ... sahih nahi hain lehaaza wo najis hain, is aetebaar se bhi wo momin aur mowah'hid ke baraabar wa mosaawi nahi ho sakte


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko zarur molaaheza farmaa len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


12 / ربیع الثانی / 1444 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen