اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : khaahare geraami Haidrabad (India)
Assalamu alaikum ji mujhe aapse janne ka tha ke marhoomeen ki fatiha nazar kaise dilaa'aen ghar par
mere ko fatiha ka tarika bataiye bhejiye Kaise nazar dete Hain Kaise fatiha dete Hain
guzaarish hai ke mera naam zaahir na kijiae ga
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Jawaab se pahle ba'taure tamhid chand baaten samajhna zaruri hai :
- nazro neyaaz aur eisaale sawaab karne me marhum ya marhumah ka naam lena zaruri nahi hai, mota'aiy'yan wa moshakh'khas marhum ya marhumah ko sawaab bakhshne ki niyat karen yahi kaafi hai, masalan apne baap ya maa ko sawaab eisaal karna chaahti hain to kahen "folaan kaam ka sawaab apne waalid ya waaledah ya donon ko bakhsh diya" yahi kaafi hai, oun ka naam lena zaruri nahi hai
- nazro neyaaz karne aur eisaale sawaab ke liae zaruri nahi hai ke marhumin ke ghar ya inteqaal ki jagah par hi ho, is ke liae kisi khaas jagah ki koei qaid shari'at ne nahi lagaaei hai, jahaan bhi chaahen kisi bhi aebaadat aur nek kaam ka sawaab maiy'yit ko pahuncha sakti hain
- mustahabbaat jaiyse mustahab namaazon aur rozon, mustahab hajjo oumrah, qur'aan ki telaawat, faateha khaani, mustahab qurbaani niz foqara wa masaakin ko khaana khilaane waghairah ke sawaab me mota'addid marhumin ko sharik kar sakti hain, rewaayat ke motaabiq in sab aamaal ka sawaab hazaar marhumin ko pahuncha sakti hain, yaani sawaab me sab ko sharik kar sakti hain, lekin waajebaat me kisi ko sharik nahi kar sakti hain masalan apne baap ki qaza namaazon, chhute huae rozon ki qaza, waajib haj waghairah me kisi ko hatta maa ko bhi sharik nahi kar sakti hain, waajebaat me sirf aek ki naa'aeb ho sakti hain
- marhumin tak na sirf ye ke qur'aan majid ki telaawat, faateha khaani, ghoraba wa masaakin waghairah ko khaana khilaane aur nazro neyaaz karne waghairah ka saawab pahonch'ta hai balke in o'mur ko anjaam dene waalon ko bhi baraabar sawaab milta hai aur kisi ke sawaab me koei kami nahi ki jaati
- murde ki ruh ko sawaab pahunchaane ki gharaz se Surah Hamd, Surah Aekhlaas waghairah ma'aa salawaat telaawat karna mustaqil amal hai aur oun ki taraf se ghoraba wa masaakin waghairah ko khaana khilaana, nazro neyaaz karna mustaqil amal hai lehaaza faateha padhe be'ghair nazro neyaaz aur tamaam nek kaamon ka sawaab marhumin ko pahuncha sakti hain
- maiy'yit ke liae nazro neyaaz ka khaana saamne rakhna zaruri nahi hai, aham ye nahi hai ke nazro neyaaz ka khaana kisi khaas jagah ya saamne rakha jaa'ae, aham sirf ye hai ke ham is ka sawaab maiy'yit ko pahunchaa'aen
- eisaale sawaab ke liae dil me niyat kar lena kaafi hai, zabaan se kahna zaruri nahi hai
Is mokhtasar si tamhid ke baad asl sawaal ka jawaab molaaheza farmaa'aen
Marhumin ke liae eisaale sawaab ki suraten aur tariqe :
Tamaam nek kaam jaiyse qur'aan hakim ki telaawat, faateha padhna, khaana khilaane, sadqah dene, sardiyon me zarurat mandon ko lehaaf ya garm kapde banwaane aur mustahabbi hajjo oumrah karne waghairah ka sawaab chand tariqon se marhumin ko pahoncha sakti hain :
- aap nek kaam ko anjaam den phir ous ka sawaab marhumin ko bakhsh den
- marhumin ki jaanib se yaani oun ki neyaabat me anjaam den, zaahir hai is surat me bhi oun tak sawaab pahonch jaa'ae ga
- nek kaam anjaam dene ke baad ous ka sawaab pahle Maasumin ya oun me se kisi aek Maasum (صلوات الله و سلامه علیهم) ki moqaddas ruh ko hadiya karen phir ous hadiya ka sawaab kisi marhum ya marhumah ko bakhsh den
- nek kaam ko Maasumin ya oun me se kisi aek Maasum (سلام الله علیهم) ki jaanib se yaani oun ki neyaabat me anjaam den phir ous (neyaabat) ka sawaab kisi marhum ya marhumah ko bakhsh den
Eisaale sawaab ka behtarin tariqa tisra aur chautha hai
Is tarah sawaab eisaal karne ka sab se bada aek faa'aedah to ye hoga ke kaei gunaa sawaab hoga
Maasum (علیه السلام) se marwi hai :
" مَنْ جَعَلَ ثَوَابَ صَلَاتِهِ لِرَسُولِ اللَّهِ وَ أَمِيرِ الْمُؤْمِنِينَ وَ الْأَوْصِيَاءِ مِنْ بَعْدِهِ صَلَوَاتُ اللَّهِ عَلَيْهِمْ أَجْمَعِينَ وَ سَلَّمَ أَضْعَفَ اللَّهُ لَهُ ثَوَابَ صَلَاتِهِ أَضْعَافاً مُضَاعَفَةً ... "
" jo shakhs apni namaaz ka sawaab Rasule Khoda aur Amirul Momenin Ali aur aap ke baad ke A'eimmah (صلوات الله علیهم اجمعین و سلم) ko hadiya kare ga, khoda ous ki namaaz ka sawaab kaei gunaa kar dega ... "
(Jamaalul Ous'bu Be Kamaalil Amalil Mashru - Safha 15 - Taalif Saiyed ibne Taawus)
Mazkurah rewaayat ke aakhir me Hazrat Faatemah Zahra (سلام الله علیها) ko bhi hadiya karne ka zikr hai
Waazeh rahe ke rewaayat me namaaz ke sawaab ko hadiya karne ka tazkerah hai lekin dusri rewaayaat me tamaam nek aamaal wa kaam ke sawaab ko number (3) aur (4) ke motaabiq hadiya karna behtarin tariqa hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna wa vedio dekhna mofid hai انشاءالله
- moharram | safar me murdon ke liae eisaale sawaab | is ka waqt | farishte hadiya karne waale ka naam | hadiya murde se bataate hain
zindah insaan ke liae eisaale sawaab | majlis karaana
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
17 / ربیع الثانی / 1444 ھ.ق
No comments:
Comment