Doa qabul keyon nahi hoti ? | maangne se aulaad keyon nahi milti ? | aulaad ke liae motabar namaaz | doa | azkaar aur wazaa'aef - Edaara-e-darul itrat
Janaab Hasan Nasrullah ki shahaadat par taaziyat naamah Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israel apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, November 30, 2022

Doa qabul keyon nahi hoti ? | maangne se aulaad keyon nahi milti ? | aulaad ke liae motabar namaaz | doa | azkaar aur wazaa'aef

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Khaahare geraami


Assalam o alaikum janab Meri ek problem hai ap Meri help kar sakte hain
main Hussain ki zawar hun aur mere husband bhi moula ke zawar hain Lekin mai 2 saal se moula se aulaad Mang rahi hun moula meri sun nai rahe hain aisa q maine mannate uthai diye jalae bohat duae ki moula Meri q nahi sun rahe


Regards,
Mahin zulfiqar ali | Zulfiqarl...Gmail.Com


Jawaab :


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Sab se pahle ye arz kar dun ke khoda aur maasumin (سلام الله علیهم) bandon se maa baap se zeyaadah mohabbat karte hain lehaaza jo kuch aap maangti hain wo aap ki sunte hain


Lekin doaa'aen qabul keyon nahi hotin ? Qabul na hone ki kaei wojuhaat wa asbaab ho sakte hain


Doa ki adame qabuliyat ke asbaab aur wojuhaat me se kuch mandarja zail hain :


  1. Gunaah

  2. Doaa'ae Komail me hai :


    " اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِیَ الذُّنُوبَ الَّتِی تَحْبِسُ الدُّعَاءَ "


    "ay khoda mere wo gunaah moaaf karde jo doa ko rok dete hain"


  3. Loqma'ae Haraam (Haraam ki Aamadani, Haraam ka maal)

  4. Qat'ae Rahim (Rishte daaron se rawaabit tod lena)

  5. Amr Ba Maaruf aur Nahi Az Munkar ko tark karna

  6. Waaledain ki naa'farmaani

  7. Zulm

  8. Setam'gar ki hemaayat wa madad

  9. Sokhan'chini (Choghul karna, eidhar oudhar aag lagaana)

  10. Namaaz ko sobuk (halka) samjhna

  11. Doa qabul na hone ke asbaab aur wojuhaat me se aek aham sabab aur wajah ye hai ke doa qabul hone aur jo maanga ous ke mil jaane me doa karne waale ke liae mumkin hai maslehat wa bhalaaei na ho

Khoda Aalim aur hakim hai aur maasumin (سلام الله علیهم) khoda ke in naamon ke mazhar hain, khoda aur maasumin (علیهم السلام) behtar jaante hain ke hamaare haq me keya ach'cha hai


Hamaara eilm naaqis hai, ham koei chiz maangte hain lekin khoda aur maasumin (سلام الله علیهم) khoda ke eizn (اذن) se wo chiz hame nahi dete, keyon ke wo chiz hamaare haq me noqsaan'deh hoti hai


Is baare me sirf 2 misaal pesh karne par eiktefa karte hain :


Baap maa sard mausam me icecream bach'chon ke maangne par nahi dete hain is liae ke baap maa jaante hain ke ye noqsaan'deh hai lekin bach'cha apni laa'eilmi se maangta hai ya sugar ke marizon (diabetes patients) ke liae mithaaei mamnu hai isi liae maangne par ghar waale mithaaei nahi dete hain, keyon ke ghar waale ouse chaahte hain, ous se mohabbat karte hain, maa baap aur ghar waale qudrati taur par bach'chon ... ki sehat aur behtari ke liae fikr'mand hote hain, bach'che aur mariz ki maslehat dekhte hain


Khoda aur maasumin (سلام الله علیهم) bhi bande ki maslehat dekhte hain


Surah baqara Aayat 216 me hai :


" ... وَعَسَىٰ أَنْ تَكْرَهُوا شَيْئًا وَهُوَ خَيْرٌ لَكُمْ ۖ وَعَسَىٰ أَنْ تُحِبُّوا شَيْئًا وَهُوَ شَرٌّ لَكُمْ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنْتُمْ لَا تَعْلَمُونَ "


" ... momkin hai ke tum kisi chiz ko naa'pasand karo aur wo dar'asl tumhaare liae behtar ho aur (ye bhi) momkin hai ke tum kisi chiz ko pasand karo aur wo (haqiqatan) tumhaare liae buri ho aur khoda khoob jaanta hai aur tum nahi jaante ho "


"Aulaad ka hona bhi badi bakh'shishe rab hai"


Agar aulaad na ho to ghar andhera aur suna maalum hota hai, ye sach hai magar maangne par bhi khoda kisi ko aulaad na de aur doa qabul na kare to is me bhi zarur rab ki koei hikmat, maslehat aur asraar poshidah hain


Hamaara eilm mahdud hai aur aql naaqis, haqiqi eilm khoda hi ko hai, ham mahaz be'khabar hain lehaaza wo jaanta hai kis chiz me hamaare liae behtari hai


Surah Kahf me bayaan hone waale Hazrat Musa aur Hazrat Khizr ka waaqe'ah padhna mofid hai, ous se dars-o-sabaq haasil karen, is liae ke ous me mashiyate aelaahi ke kaamon me poshidah hikmaton ka inkeshaaf huaa hai, ous se hikmat, daanaaei aur sabro zabt ka behtarin dars milta hai


Bahar kaif aap log naa'oummid wa maayus na hon, aulaad ke liae doa karte rahen, baar baar ous se maangte rahen, is par mosir rahen keyon ke khoda baar baar maangne ko zeyaadah pasand farmaata hai


Imaam Saadiq ne Rasule Akram (صلوات الله و سلامه علیهم) ka ye qaul naql kiya hai :


« رَحِمَ اَللَّهُ عَبْداً طَلَبَ مِنَ اَللَّهِ عَزَّ وَ جَلَّ حَاجَةً فَأَلَحَّ فِي اَلدُّعَاءِ اُسْتُجِيبَ لَهُ أَوْ لَمْ يُسْتَجَبْ لَهُ وَ تَلاَ هَذِهِ اَلْآيَةَ: «وَ أَدْعُوا رَبِّي عَسىٰ أَلاّٰ أَكُونَ بِدُعٰاءِ رَبِّي شَقِيًّا »


[ khoda ous bande par rahmat kare jo khoda'ae bozurg wa bartar se koei haajat talab kare aur doa me (ous haajat ke liae) ro ro kar aur gid'gida kar israar karta rahe (yaani israar ke saath maangta rahe) khaah ous ki doa qabul ho ya na ho aur is aayat (Surah Maryam Aayat 48) ki telaawat ki :


" ... sirf apne parwardegaar ko pukaarta hun, mujhe (Hazrat Ibraahim) oummid hai ke mai apne rab se doa maang kar mahrum na rahunga " ]


(Osule Kaafi - jild 2 - safha 475 - baab ilhaah fid'doa)


Ye bunyaadi nokta zehn'nashin rakhna ashad zaruri hai ke doa karne par israar karna chaahiae is liae ke doa karna aebaadat aur baa'aes-e-Ajr o sawaab hai, agar khoda qabul na kare to ous ki talaafi kare ga yaa Aakherat ke liae ous ka ajr zakhira kar dega yaa dunya me pahonchne waali koei taklif aur mosibat wa bala ko dur kar dega ... lekin doa qabul hone par israar nahi karna chaahiae, taqdir aur rezaa'ae aelaahi par raazi rahen


Shuru me arz kiya ke aap log aulaad ke liae doa karte rahen, naa'oummid wa maayus na hon, khoda ki rahmat se naa'oummidi aur maayusi gunaahe kabirah hai


Hazrat Zakariya aur Hazrat Ibraahim ne aulaad talab ki to khoda ne Hazrat Zakariya ko farzand (Yahya) aur Hazrat Ibraahim ko 2 farzand (Ismaa'eil aur Is'haaq) ata farmaa'ae jab ke Hazrat Zakariya aur Hazrat Ibraahim budhaape ko pahonch chuke the aur Hazrat Zakariya ki biwi bhi baanjh thin


(Tafsil ke liae Surah Maryam Aayaat 1 se 6 tak aur Surah Ibraahim Aayat 39 ko molaaheza farma len)


Mazkurah baala baaton aur Omur ko madde nazar rakhte huae islaam hame talqin karta hai ke maad'di aur maanavi wa ruhaani tamaam wasaa'ael, asbaab aur raahon ko zarur istemaal karen


Lehaaza aulaad se mahrum logon ke liae zaruri mashwerah ye hai :


  1. sab se pahle apne yahaan aulaad na hone ki asl wajah maalum karen, is ki wajah samajhne ke liae maahir Doctors se apna aelaaj karaa'aen, daure jadid me technology ki madad se is ka aelaaj mumkin hai

  2. zaaheri asbaab aekhteyaar karne aur tibbi (medical) aelaaj ke saath maanavi wa ruhaani aelaaj bhi karen, lehaaza hosule aulaad ke liae doaa'aen, namaazen, auraad aur wazaa'aef ka aehtemaam karen

Is ke mota'alliq mokhtasar si tahrir me mauzun wa monaasib aagaahi faraaham ki gaei hai jo PDF me dast'yaab hai, download link niche darj hai :



Tabserah :


Qabuliyate Doa aur is ke liae baaz bunyaadi sharaa'aet, Aadaab aur ahkaam hain, aekhtesaar ke peshe nazar oun ko nazar andaaz kiya gaya hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


4 / جمادی الاولی / 1444 ھ.ق

subscribe us on youtube

🌹🌹🌹🌹🌹

shabe welaadat baa sa'aadat Aqila'ae Bani Haashim, Hazrat Zainab (سلام الله علیها)

🌹🌹🌹🌹🌹

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen