بسم الله الرحمن الرحيم
یاصاحب الزمان ادرکنا
Dunya Aalame asbaab hai | covid-19 aur dusri bimaari ke aelaaj me bhi aetedaal matlub hai | keya imaame zamaana ko corona ho sakta hai ?
is me koei shak nahi hai ke dunya aalame asbaab wa mosabbabaat (مسببات) hai, agar aag hai to haraarat hogi, har maalul ke liae koei khaas wajah ya sabab (eillat) zarur hai, jahaan kahin sabab maujud ho jaata hai to mosabbab saath saath wojud me aa jaata hai
agar virus wa bimaari hai to log mariz hon ge, dunya ka nezaam hi aiysa hai khoda ne jis chiz ko jis chiz ka sabab banaana chaaha ous ka sabab bana diya
lekin keyon huaa ? kaiyse huaa ? kis liae huaa ? is ki haqiqi eillaton wa hikmaton se aam banda waaqif nahi hai
is waqt coronavirus bahot tezi se phail raha hai, aalami wabaaei shakl aekhteyaar kar gaya hai
koei bhi is ke asli asbaab wa hikmaton se aagaah nahi hai
lekin ye yaqini hai ke khoda ne dunya ko daarul imtehaan banaaya hai, yahaan jo kuchh wojud wa zohur me aata hai wo asbaab ke pardon me aata hai
agar koei insaan bimaar hota hai to ous ki koei eillat wa hikmat zarur hoti hai
lekin is ka matlab hargiz ye nahi hai ke mariz haath par haath dhare, baiytha rahe aur maayus ho jaa'ae
balke apna aelaaj karwaa'ae, bimaari ki dawa daaru khaa'ae lekin mo'aalaja me ifraat na ho yaani hadde aetedaal se badh na jaa'ae
baaz logon ko maamuli khaansi zokaam ki shekaayat huei fauran doctor ke paas chale jaate hain ya dawaaeiyaan khaane lagte hain jab ke maasumin (سلام الله عليهم) ne farmaaya hai jab tak jism ko dawa ki zarurat na ho na khaao
Amirul Momenin Ali (عليه السلام) se mansub ye qaul hai :
" شُربُ الدَّوَاءِ لِلجَسَدِ كَا الصَّابُونِ لِلثَّوبِ ، يُنَقِّيهِ وَ لَكِن يُخلِقُهُ "
"dawa pina badan ke liae misle saabun (dhone ka powder) hai lebaas ke liae, ous ko saaf karta hai lekin farsuda wa puraana (bhi) kar deta hai"
(sharh-e-nahjul balaagha ibn-e-abil hadid jild 20 p 300 - hikmat 422 - baabul hekam al-mansuba aela amiril momenin ali ibn-e-abi taalib)
aur baaz log sakht mariz hone ke baad bhi aelaaj nahi karaate hain aur dawa nahi khaate hain, ifraato tafrit (kami, beshi, ghair motadil haalat) sahih nahi hai, is se eijtenaab karna zaruri hai
coronavirus ke ta'alluq se bhi baaz log ifraato tafrit ka shekaar hain, koei kahta hai sirf dawa ... kaafi hai aur koei kahta hai sirf doa ... kaafi hai
bela tashbih arz kardun ke ye aiysa hi hai jaiyse koei kahe mere liae sirf ketaabe khoda kaafi hai aur koei kahe mere liae sirf Ahlebaite Rasul (صلوات الله علیهم) kaafi hain
zaahir hai ye dono raaste wa nazariae sahih nahi hain, baatil hain, aetedaal aur meyaana'rawi ka raasta sahih hai
yaani dono zaruri hain, qur'aan aur Ahlebaite Rasule khoda (صلوات الله علیهم) aur dawa ... wa doa ..., yahi raasta baa'aese nejaat hai
coronavirus ke ta'alluq se aek nehaayat ghalat paighaam bheja jaa raha hai jo khud ifraat hai, wo ye hai ke dunya aalame asbaab hai (shuru me is ki mokhtasar wazaahat kar di) lehaaza agar koei zahar piae ga to zarur masmum hoga, sabab hai to mosabbab bhi hoga, Maasumin (سلام الله علیهم) ko zahar pilaaya gaya lehaaza shahid huae, zahar ka moqaa'aesa coronavirus se kiya jaa raha hai ...
agar is waqt hamaare darmeyaan maasumin (صلوات الله علیهم) bhi hon to ma'aazallah wo bhi coronavirus se mota'assir honge, is liae ke jahan sabab hoga wahan mosabbab bhi hoga
is hawaale se arz kardun ke Maasumin (سلام الله علیهم) ko aiysa maraz nahi ho sakta hai jis se log nafrat karen aur bhaagen ... coronavirus se log nafrat kar rahe hain, is se bhaag rahe hain lehaaza aiysi bimaari Maasumin (صلوات الله علیهم) ko nahi ho sakti hai
bena'bar'in coronavirus jaiysi mohlik bimaari se bachne ke liae aehteyaati tadaabir ke saath saath behtarin panaah ghaah Masumin wa Imaame Waqt (سلام الله علیهم) hain
mazid tafsil ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edara-e-daarul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
24 / رجب / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment