اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtarama janaab Saniya Zahra sb
Asslam o alaikum
Masjid al aqsa ke bare me biography chahiye hame please send me.. agr h to
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Sab se pahle ye bataa dun ke " Masjid-e-Aqsa" se maqsud "Baiytul Maqdis" hai "Masjide Aqsa" ka hi dusra naam Baiytul Maqdis hai, Masjide Aqsa aur Baiytul Maqdis aek hi jagah ke do naam hain, do alag alag jagah nahi hai
(Tafsire Al-Mizaan Surah Isra ki Aayat 1 ke zail me)
"Baiytul Maqdis ka qadim tarin naam "iiliya" hai
(Sunni ketaab "Sahih Muslim Be Sharhil Imaam Nawawi - jild 5 - safha 9 / Al-Akhbaarut Tewaal safha 21 - Taalif Abu Hanifa Dinawari)
Waazeh rahe ke aasmaani wa moqaddas ketaabon jaiyse Tauret aur injil waghaiyrah me "iiliya" Amirul Momeni Ali (عليه السلام) ka naam hai
Bauytul Maqdis ki taarikh bahot qadim hai
Masjide Aqsa musalmaanon ka qibla'ae awwal aur sunniyon ke nazdik Khaana'ae Kaaba wa Masjide Nabawi ke baad moqaddas tarin maqaam hai lekin shion ke nazdik Khaana'ae Kaaba wa Masjide Nabawi aur Masjide Kufa ke baad moqaddas tarin masjid hai, keyon ke shia ahaadis ke motaabiq "Masjid-e-Kufa" , Masjide Aqsa se afzal wa bartar hai
Aelaawah az ein Rasule Akram (صلى الله عليه و آله) safare meraaj ke mauqe par awwal Masjide Haraam se Masjide Aqsa tashrif laa'ae, baad az aan Masjide Aqsa se aasmaanon ki jaanib safar ka aaghaaz kiya
(Surah Israa - Aayat 1)
Masjide Aqsa ki fazilat, ahamiyat aur baa'barkat wa moqaddas sarzamin hone ka aek pahlu ye bhi hai
Masjide Aqsa ka sange bunyaad kis ne rakha aur taamir kis ne ki ?
Masjide Aqsa ka baani kaun hai ? Is hawaale se mokhtalif wa munqasim Aaraa paa'ei jaati hain jin me se kuch darj zail hain :
- Hazrat Aadam ne bunyaad rakhi
- Hazrat Yaaqub ne bunyaad rakhi
- Hazrat Daa'oud ne sange bunyaad rakha
- Hazrat Daa'oud ne taamir shuru ki aur aap ke farzand Hazrat Solaiymaan ne mokammal kiya :
Hazrat Abuzar se rewaayat hai :
"Mai ne kaha ay Khoda ke Rasul, is ru'ae zamin par sab se pahle kaun si masjid taamir ki gaei? Aap ne farmaaya : Masjide Haraam. mai ne phir sawaal kiya : Is ke baad kaun si masjid taamir ki gaei? Aap ne jawaab diya : Masjide Aqsa. Mai ne pucha : In donon ki taamir ke darmeyaan ketni mud'dat ka faaselah hai ? Aap ne farmaaya : 40 saal ka waqfa hai"
(Sahih Muslim Besharhe Imaam Navavi - Jild 5 - Safha 2 - Ketaabul masaajid wa mawaaze'ous salaat)
Is hadis ke motaabiq Masjide Aqsa ki taamir Masjide Haraam ki taamir ke 40 saal baad huei aur Kaabah wa Masjide Haraam ki taamir Hazrat Aadam ke daur me huei, natijatan Masjide Aqsa ke baani wa mo'as'sis Hazrat Aadam qaraar paaen ge, is ke peshe nazar Masjide Haraam wa Kaabah aur Masjide Aqsa donon ke baani Hazrat Aadam hain
(Al-Bedaayato Wan'nahaayah - Jild 1 - Safha 224 - Taalif Ibne Kasir)
(Mojamul Buldaan - Jild 5 - Safha 169 - Taalif Yaaqut Hamavi)
Hazrat Daa'oud (علیه السلام) ne Masjide Baitul Maqdis ki taamir shuru ki lekin is ke mokammal hone se pahle hi oun ka inteqaal ho gaya, chunaan'che Solaiymaan ne ouse mokammal kiya aur shahr "iiliya" (shahre quds ka puraana naam) ki taamir mokammal huei
(Al-Akhbaarut Tewaal - Jild 1 - Safha 21 - Taalif Abu Hanifa Dinawari)
"Masjide Aqsa" aur "Qubbatus Sakhrah" Ke mota'alliq aek ghalat fahmi ka aezaalah :
("Qubbah" yaani Gunbad, aur "Sakhrah" yaani Chataan wa sakht pat'thar)
Masjide Sakhrah ya Shakhra'ae Moqaddas aek masjid ka naam hai jo shahr Baitul Maqdis me waaqe hai, Aam taur par log Masjide Aqsa ko hi Qubba'ae Sakhrah kheyaal wa gomaan karte hain aur Qubba'ae Sakhrah wa Masjide Aqsa me ishtebaah karte hain
Sakhra'ae Moqaddas is aemaarat (Qubba'ae Sakhrah) ke gunbad ke niche hai, is Sakhrah ke andar aek ghaar hai, is ghaar me aetni gunjaa'eish hai ke taqriban 10 log namaaz padh sakhte hain, isi wajah se is hodud ko "Masjide Sakhrah" kahte hain
Bela tashbih arz kar dun ke Sakhrah ko Yahudiyon ke nazdik taqriban wahi maqaam haasil hai jo musalmaanon ke darmeyaan Hajare Aswad ko
Malhuze khaatir rahe ke yahudiyon ki nazar me "Haikale Solaiymaani" [ aiysi aebaadat'gaah hai jis ko Hazrat Solaiymaan Nabi ne Khoda ke hukm se banaaei thi, is ki tafsil "Ketaabe Moqaddas (bible) - hissa Ahde Atiq" me hai ] Masjide Aqsa ke niche hai
Inteha pasand Yahudi wa sahyuni Masjide Aqsa ko munhadim wa mismaar kar ke "Haikale Solaiymaani" ki taamir ke liae sargarme amal rahte hain
Afsos naak baat ye hai ke muslim mamaalik ki taadaad 57 se zeyaadah hai, is ke baa'wojud shiddat pasand Yahudiyon ke haathon Masjide Aqsa waghairah ki sangin be'hurmati ... hoti rahti hai aur in ke ghaasebaanah qabze me hai
Beraadaraane Sunni se maazerat ke saath yahaan par ye baat arz karta chalun ke ye zamini haqiqat hai ke aek-do ke aelaawah muslim mamaalik ki saazishon ka ye sab natija hai, is ki eillat waazeh hai, Mohammadi wa Ghadeeri islaam ke ba'jaa'ae Saqifi wa Sufyaani islaam ki paiyrawi hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - Shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
17 / ربیع الاول / 1444 ھ.ق
🌹روز ولادت باسعادت رسول اکرم اور امام صادق (سلام الله علیهم)🌹
No comments:
Comment