Maasumin ke liae zaruri hai ke oun ke andar koei aib na ho to keya jange Ohad me Nabi ka daant tutna aib wa naqs nahi hai ? - Edaara-e-darul itrat
Janaab Hasan Nasrullah ki shahaadat par taaziyat naamah Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israel apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, October 23, 2022

Maasumin ke liae zaruri hai ke oun ke andar koei aib na ho to keya jange Ohad me Nabi ka daant tutna aib wa naqs nahi hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Rais Hussain Naqvi sb (Meerut, U.P)


As'salam'o Alaikum Wa'rehmatullahe Wa'barakatuhu Aagha ...


Mera sawal aap ke 70,000 aalimo ko Imam'e Zamana (ajtfs) qatl karenge ke jawab me mentione aap ki Jang'e (Ohad) mei Hazrat Mohammad Mustufa (saww) ka daant toot gaya tha ..... Ke mutalliq kahi baat ke hawale se hai ?


Daat Tutna!
Insani jism ke azu ka kam hona yani ek qism ka jism me nusq ya Aeib hona hoga jabki Allah ne Aaimma'e Masumeen (asws) ko har nusq wa Aeib se paak rakha hai ?


Hazrat Mohammad Mustufa (saww) ka Daant Tootne waali rewayat ke mutalliq islah ki iltemaas hai 🙏?


Jawaab :


باسمه تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Bela shubha Maasumin (سلام الله علیهم) ke liae ye zaruri hai ke zaaheri aur baateni aib wa naqs se paak wa mobarra hon


zaaheri aibon se Maasumin (علیهم السلام) ka paak wa monazzah hone se moraad wo O'yub hain jo logon ki duri par muntaj hote hain yaani oun ke andar koei aiysa aib na ho jis ki wajah se log oun se dur hon


yaa maqsud aiyse O'yub hain jis me agar koei shakhs mubtala ho to o'muman log ous se nafrat karte hain ya ghin karte hain aur ous se milne julne se gorizaan rahte hain jaiyse jozaam waghairah


keyon ke logon ko sab se pahle in mo'az'zazin ki shakl ka saamna karna padta hai, agar in ki zaaheri shakl me khaami ho to yaqinan ibteda me hi aap hazaraat ki zaate geraami ka pur'kashish aur jaazib nazar hona mushkil se do chaar hoga, agar aiysa ho to phir fariza'ae tabligh me rokaawat bane ga, log dur honge aur ye fariza'ae tabligh ke maane hoga


malhuze khaatir rahe ke Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ki o'mumi daawat aur deene haq ki daawat ke baad aur jange Ohad ke dauraan daant tute hain


is haqiqat ko madde nazar rakhte huae aham sawaal ye hai ke keya daanton ke tutne ko aib wa naqs samjha jaata hai ?


jab ke Nabi (صلی الله علیه و آله) ke chehre ki zaaheri shakl me koei tabdili nahi aaei


waazeh hai ke aiysi surat me daanton ka tutna aam taur par makruh wa nafrat dilaane waala aib nahi samjha jaata hai


ye taqriban Hazrat Yaaqub (علیه السلام) ki aankhon ke maanind hai, feraaqe Yusuf me safed ho gaein thin, surah Yusuf Aayat 84 me hai :


" ... وَٱبۡيَضَّتۡ عَيۡنَاهُ مِنَ ٱلۡحُزۡنِ ... "


" ... oun ki aankhen ranjo gham se safed ho gaein ... "


(yaani aankhon ki seyaahi, gham ke maare safedi me badal gaei thi)


shaayad ye kaha jaa sakta hai ke jang ke dauraan daanton ka tutna oun logon ke liae aek darso sabaq tha jinhon ne khelaafe hukme Rasul (صلی الله علیه و آله) maale ghanimat ke laalach me ous jagah se hat ga'ae jahaan se na hatne ki taakid ki thi, is ki wajah se fath (فتح) ki shikast ho gaei


Hazrat Hamzah (علیه السلام) shahid ho ga'ae, sab musalmaan Hazrat ko chhod kar bhaag ga'ae, Abu Bakr, Omar aur Ousmaan tak feraar ho ga'ae jis ke natije me Nabi (صلی الله علیه و آله) ke dandaane mobaarak shahid ho ga'ae aur peshaani majruh ho gaei ...


Amirul Momenin Hazrat Ali (علیه السلام) ki jaan feshaani ki wajah se baat daant tutne wa majruh hone ... par hi khatm huei warna Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) qabl az waqt shahid ho jaate


dusre lafzon me, tute huae daant ko dekh kar logon ko Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ki zindagi ki hefaazat me kotaahi aur aap ki naa'farmaani karne ko yaad karen, ye khud hedaayat dene waali hai


oun logon ke liae bhi darso sabaq hai jo aiyse afraad ki paiyrawi karte hain, jo khalifa'ae Rasul hone ka daawa karte hain lekin wo Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ko nargha'ae Aadaa me chhod kar bhaag ga'ae, is ko yaad rakhna bhi hedaayat konindah hai


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko zarur molaaheza farma len


  1. keya hazrat Ayyub ke jism me kide pade the ? | maasumin aiysi bimaari se paak hote hain jis se log nafrat karen ?

  2. Dunya Aalame asbaab hai | covid-19 aur dusri bimaari ke aelaaj me bhi aetedaal matlub hai | keya imaame zamaana (atfs) ko corona ho sakta hai ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


25 / ربیع الاول / 1444 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen