اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Syed Mohammad Zaki Rizvi sb.
Sawal 1 : imaam Hussain a.s ki zulfiqar aur zuljanah kahan gaye 10th moharram ke baad
Sawal 2 : imaam Hussain a.s ki shahadat 10th moharram ko hoyi body jism kab dafnai gayi aur kisne dafnaya body jism ko
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم
Imaam Husain (علیه السلام) ke jasade at'har ko kab dafn kiya gaya ?
is ki baabat mowarrekhin ke dar'meyaan aekhtelaafe raa'ae paaya jaata hai, baaz mowarrekhin ka kahna hai ke 11 moharram ko dafn kiya gaya.
lekin baaz qadim daur aur ham'asr mowarrekhin ke darmeyaan mash'hur qaul ke motaabiq 13 moharram ko dafn kiya gaya
Ham'asr maaruf Shia mowarrikh wa aalim "Moqarram" saaheb likhte hain :
Terahwin moharram ko Imaam Zainul Aabedin (علیه السلام) apne shahid waalid-e-mohtaram ko dafn karne ke liae jasad-e-mobaarak ke paas tashrif laa'ae aur ouse gale lagaaya aur baland aawaaz se ro'ae aur qabr ki jagah par aakar thodi si mitti hataa'ei to khudi huei qabr wa shegaafta maqbara zaahir huaa ...
[Maqtalul Husain (علیه السلام) al'maaruf ba Maqtale Moqarram - safha 319 wa 320 - Taalif Saiy'yid Abdur Razzaaq Moqarram]
Qadim daur ke Sunni mowarrikh wa aalim "Dinawari" saheb raqam taraaz hain :
Imaam Husain (علیه السلام) ki shahaadat ke baad Omar Bin Saad 2 roz karbala me raha, ous ke baad wahan se rawaangi ka hukm diya ...
(Al'akhbaarut tewaal - Safha 259 - Taalif Abu Hanifa Dinawari)
Is baat par tamaam mowarrekhin muttafiq hain ke Omar Bin Saad ke jaane ke baad Imaam Husain (علیه السلام) aur dusre shohada'ae Karbala (سلام الله علیهم) ko dafn kiya gaya
Molaaheza farmaaya ke qadim aur maaruf mowarrikh "Dinawari" saaheb ne likha hai ke Imaam Husain (علیه السلام) ki shahaadat ke baad Omar Bin Saad 2 roz tak Karbala me raha phir Kufa ke liae rawaana hone ka hukm diya, is ka matlab ye huaa ke Karbala se Omar Bin Saad ki rawaangi 13 moharram ko huei lehaaza Imaam Husain (علیه السلام) ki tadfin Omar Bin Saad ke jaane ke baad 13 moharram ko huei
(Din me huei ya raat me, ye aek alag mauzu hai)
Mazkurah baala ketaabon ke motaabiq 13 Moharram ko dafn kiya gaya
Kholaasa'ae kalaam :
Bena'bar qaul-e-mash'hur shohada'ae karbala ke taahir ajsaad tin roz tak tamaazat-e-aaftaab aur dhup ki teziyat me zamine karbala par pade rahe ous ke baad dafn hu'ae
Kis ne dafn kiya ?
Shia aqide aur rewaayaat ke motaabiq Imaam (maasum) ko Imaam (maasum) hi dafn karta hai aur namaaze janaaza padhaane wa ghuslo kafan ke faraa'aez anjaam deta hai lehaaza kufe me waaqe Ibne Zeyaad (لعنة الله علیه) ke zindaan se Imaam Sajjaad (علیه السلام) baa aejaaz karbala waapas aa'ae aur khud dafn kiya
Is ta'alluq se tafsili rewaayat mandarja zail ketaabon me padh sakte hain :
- Aekhteyaaro maarefatir rejaal Al'maaruf ba Rejaale Kash'shi - Jild 1 - safha 463 taa 465 - Taalif Shaikh Tusi
- Behaarul anwaar - jild 45 - safha 169 - Taalif Allaamah Majlesi
Tabserah :
Jis sawaal ka jawaab nahi diya gaya hai ous ko alag alag kar ke dobaarah puchne ki zahmat karen
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-Edaara-e-Darul Itrat - Azim Aabaad / Patna - Shoba-e-sawaalaat Qum /Iran
5 / ربیع الاول / 1444 ھ.ق
No comments:
Comment