ISIS ke baare me Imaam Ali (a.s) ki peshin'goei aur in ki tabaahi - Edaara-e-darul itrat
Janaab Hasan Nasrullah ki shahaadat par taaziyat naamah Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israel apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, October 27, 2022

ISIS ke baare me Imaam Ali (a.s) ki peshin'goei aur in ki tabaahi

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Ammaar sb (Germany)


Shamshad bhai


Kiya hum logo ko Mola A.S ke koi aysi rewayat milti hai jis me Mola A.S ne kaha ho ke is geroh (ISIS) ka daur kitne saal hoga ya is fitney ko kyun aa ker khatm kare ga
Jazaak Allah


Jawaab :


باسمه تعالی
سلام علیکم


Kam bezaa'at haqir ko filhaal is baat ka ilm nahi ke gerohe daa'eish ke manhus wojud se kab nejaat milegi lekin in ki tabaahi wa naabudi yaqini hai is liae ke ye khoda ka waada hai zaalim ka anjaam bahot bura hoga


In ki tabaahi ka aek sabab aapas ki phut aur baahami naa'eittefaaqi hai is hawaale se shia wa sunni dono ki ketaabon me Amirul Momenin Ali (علیه السلام) se hadis naql huei hai ye hadis is waqt ba'taure kaamil gerohe daa'eish se motaabaqat rakhti hai rewaayat ka tarjoma mokhtasar wazaahat ke saath peshe khidmat hai


Aap ne farmaaya :


Jab bhi kaale parcham dekhna to apni jagah se na hilna yaani ous geroh se mulhaq na hona oun ki madad na karna za'eiful aeteqaad qaum zaahir hogi oun ke qalb lohe ki tarah sakht honge (sang dil) saahebud daula yaani saahebe hokumat ka ounwaan khud ko denge (daa'eish ka matlab bhi daulate islaamiya iraq wa shaam hai) kisi bhi ahdo paiymaan ke paaband nahi honge (daa'eish ko molaaheza farmaa'aen dunyaawi wa islaami qaanun ki re'aayat nahi karte) haq ki taraf daawat denge lekin khud haq se koson dur honge oun ki kunniyat hogi (geroh daa'eish me Abu Mus'ab, Abul Baraa, Abu khaalid, Abu Daa'oud, waghairah bahot milenge) shahron ki taraf mansub honge (jaiyse Abu Bakr Baghdaadi, Abu Khaalid phlistini, Abu Daa'oud Misri) oun ke baal auraton ki tarah lambe honge yahaan tak ke aapas me naa'eittefaaqi wa aekhtelaaf hoga (is ke aasaar bhi nomaayaan hain chand maah qabl is geroh ne 10,000 se zeyaadah apne hi afraad ko qatl kiya) phir khoda jis ko chaahega haq dega (yaani, haq haqdaar tak pahonch jaa'aega)


Hadis ki arabi aebaarat ka asl matn :


عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : " إِذَا رَأَيْتُمُ الرَّايَاتِ السُّودَ فَالْزَمُوا الأَرْضَ فَلا تُحَرِّكُوا أَيْدِيَكُمْ ، وَلا أَرْجُلَكُمْ ، ثُمَّ يَظْهَرُ قَوْمٌ ضُعَفَاءُ لا يُؤْبَهُ لَهُمْ ، قُلُوبُهُمْ كَزُبَرِ الْحَدِيدِ ، هُمْ أَصْحَابُ الدَّوْلَةِ ، لا يَفُونَ بِعَهْدٍ وَلا مِيثَاقٍ ، يَدْعُونَ إِلَى الْحَقِّ وَلَيْسُوا مِنْ أَهْلِهِ ، أَسْمَاؤُهُمُ الْكُنَى ، وَنِسْبَتُهُمُ الْقُرَى ، وَشُعُورُهُمْ مُرْخَاةٌ كَشُعُورِ النِّسَاءِ ، حَتَّى يَخْتَلِفُوا فِيمَا بَيْنَهُمْ ، ثُمَّ يُؤْتِي اللَّهُ الْحَقَّ مَنْ يَشَاءُ "


  1. Sunni ketaab : ketaabul fetan safha 120, mo'allif no'aim bin hammaad marwazi

  2. Shia ketaab : aehqaaqul haq jild 29 safha 410. ye ketaab taqriban chaar sau saal qabl likhi gaei hai mo'allif ki qabre mobaarak hindustan me hai

Aakhire kalaam me aek baat ka zikr zaruri samajhta hun baaz mota'assib kath'mulla kahte hain ye hadis za'eif hai oun ke jawaab me bas etna hi kahna kaafi hai ke kaei sadi pahle maula ki kahi huei ye baat waaqe ho gaei, ye khud hadis ke sahih hone par behtarin dalil hai za'eif kahne ki sab se badi wajah ye hai ke baabul ilm Amirul Momenin (علیه السلام) ne ghaib ki khabar di hai is se aap ki haq'qaaniyat saabit hoti hai ye baat kath mullaa'on ke halaq se nahi outar ti


والسلام علیکم و رحمة اللہ


Syed Shamshad Ali Katokhari
daarul itrat shoba'ae sawaalaat Azim Aabaad Patna moqim Qum / iran


5 / shauw'waal / 1436

subscribe us on youtube


this article translitrated from urdu to roman urdu by syed mohammad taabish

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen