Sawaal az : mohtaram janaab Syed Ali Zameer Rizvi sb (Lucknow)
Assalam o alaikum wrwb
Mera ek sawal hai uska jawab mil jaye to ilm me izafa hoga
"Azan dete waqt hatho'n ko kaan par kyon rakhte hain"?
Iski koi Rawayat maujood hai ?
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله وبرکاته
Waazeh rahe ke azaan ki 2 qismen hain :
- Azaane aelaam :
- Azaane salaat :
Ye azaan, namaaz ke waqt ka aelaan karne ke liae kahi jaati hai. ba'alfaaze digar is ke zari'ae tamaam logon ko auqaate namaaz ki ittelaa wa khabar dene ke liae di jaati hai (is me qasde qurbat shart nahi hai)
Ye azaan, namaaz ke liae di jaati hai (is me qasde qurbat zaruri hai)
Kaanon ke pahlu me donon haathon ka hona mustahab hai. rewaayaat ke motaabiq ye istehbaab sirf pahli qism (Azaane aelaam) se makhsus hai, azaan ki dusri qism ke liae mustahab nahi hai
Is tamhid ke baad mazkurah sawaal ka jawaab molaaheza kijiae :
Rewaayaat ke maraaje wa masaadir me is mas'ale (Azaan dete waqt haathon ko kaan par rakhne) ki eillat wa hikmat ke baare me hamen nahi mila
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul Itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
14 / ربیع الاول / 1444 ھ.ق
No comments:
Comment