Keya "Labbaik Ya Husain" kahna shirk hai ? aur sab se pahle "Labbaik Ya Husain" kis ne kaha ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, September 29, 2022

Keya "Labbaik Ya Husain" kahna shirk hai ? aur sab se pahle "Labbaik Ya Husain" kis ne kaha ?

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحيم

ياصاحب الزمان ادركنا


Keya "Labbaik Ya Husain" kahna shirk hai ? aur sab se pahle "Labbaik Ya Husain" kis ne kaha ?


Muftiyaane deoband ka aek fatwa nazron se guzra to socha ous ka jawaab de dun lekin jawaab dene se pahle sawaal aur ous ke jawaab me jaari hone waala fatwa molaaheza farma len :


Sawaal : Keya Labbaik Ya Husain kahna shirk hai ? aur keya is ko type kar ke message bhejna bhi shirk maana jaa'ae ga ?


Jawaab :


بسم الله الرحمن الرحیم


"Labbaik Yaa Husain" ka matlab ba'zaahir yahi hai ke kahne waala shakhs Hazrat Husain (رضی الله عنہ) ko haazir wa naazir samajh kar oun ke hozur me haazeri de raha hai aur ye aqidah shirkiyah aqidah hai ; lehaaza is jumle ko likhna aur is ko type kar ke message bhejna jaa'aez nahi, is se aehteraaz laazim hai.


Wallah ta'aalah Aalam


Daarul Ifta
Daarul Olum deoband / India


Deobandi muftiyon ke is fatwe ka jawaab ye hai ke "Labbaik" ke maani hain "mai haazir hun" agar bandon masalan Imaam Husain (علیه السلام) ke liae is lafz ka istemaal shirkiyah aqidah hai to aap ke nazdik sahaabah me aek bahot ouncha maqaam rakhne waale sahaabi ne bhi is shirk ka irtekaab kiya hai, ous sahaabi ko aap ke olama aur mohaddesin "Imaamul Foqaha" kahte hain aur oun ke nazdik wo halaal aur haraam ka sab se zeyaadah eilm rakhne waale hain aur aap ki taarikh wa rewaayat ke motaabiq Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke zamaane me fatwa dene ki aham zimme'daari oun ke sopurd thi aur Abu Bakr ke ahde khelaafat me Yemen me qaazi the ...


Aap ke nazdik ous khush'nasib sahaabi ka naam "Mo'aaz Bin Jabal" hai


Is ta'alluq se Sehaahe Sittah (sunni beraadaraan ke nazdik hadis ki 6 mustanad ketaabon) me se sirf 2 ketaab ki chashm'kosha hadis molaaheza farmaa'aen :


Mo'aaz Bin Jabal se rewaayat hai :


" عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : بَيْنَمَا أَنَا رَدِيفُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْسَ بَيْنِي وَبَيْنَهُ إِلَّا آخِرَةُ الرَّحْلِ ، فَقَالَ : يَا مُعَاذُ ، قُلْتُ : لَبَّيْكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَسَعْدَيْكَ


ثُمَّ سَارَ سَاعَةً ، ثُمَّ قَالَ : يَا مُعَاذُ ، قُلْتُ : لَبَّيْكَ يا رَسُولَ اللَّهِ وَسَعْدَيْكَ ثُمَّ سَارَ سَاعَةً


ثُمَّ قَالَ : يَا مُعَاذُ بْنَ جَبَلٍ ، قُلْتُ : لَبَّيْكَ رَسُولَ اللَّهِ وَسَعْدَيْكَ ، قَالَ : هَلْ تَدْرِي مَا حَقُّ اللَّهِ عَلَى عِبَادِهِ ؟ ، قُلْتُ : اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ


قَالَ : حَقُّ اللَّهِ عَلَى عِبَادِهِ : أَنْ يَعْبُدُوهُ ، وَلَا يُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا


ثُمَّ سَارَ سَاعَةً ، ثُمَّ قَالَ : يَا مُعَاذُ بْنَ جَبَلٍ ، قُلْتُ : لَبَّيْكَ رَسُولَ اللَّهِ وَسَعْدَيْكَ


قَالَ : هَلْ تَدْرِي مَا حَقُّ الْعِبَادِ عَلَى اللَّهِ إِذَا فَعَلُوهُ ؟ ، قُلْتُ : اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ


قَالَ : حَقُّ الْعِبَادِ عَلَى اللَّهِ أَنْ لَا يُعَذِّبَهُمْ. "


Tarjomah :


Mo'aaz Bin Jabal (رضی الله عنہ) ne bayaan kiya hai ke : mai Rasule Khoda (صلی الله علیه وسلم) ki sawaari par aap ka radif tha (yaani aap ke pichhe baitha huaa tha) sewa kajaawe ke aakheri hissa ke mere aur Nabiye karim (صلی الله علیه وسلم) ke darmeyaan koei chiz haa'ael nahi thi. Nabiye Karim (صلی الله علیه وسلم) ne farmaaya : ay Mo'aaz ! mai ne arz kiya : Labbaik Wa Saadaik (mai haazir hun aap ki khidmat me aur aap ke taamile irshaad ke liae maujud hun aur apni sa'aadat samjhta hun) Ay Rasule Khoda !


Phir thodi der Nabiye Karim (صلی الله علیه وسلم) chalte rahe phir farmaaya : Ay Mo'aaz ! mai ne arz kiya Labbaik Wa Saadaik Ay Rasule Khoda ! phir thodi der mazid Nabiye Akram (صلی الله علیه وسلم) chalte rahe


Phir farmaaya, Ay Mo'aaz ! mai ne arz kiya Labbaik Wa Saadaik Ya Rasu'lallah ! farmaaya : tumhen maalum hai ke Allah ka apne bandon par keya haq hai ? mai ne arz kiya Allah aur ous ke Rasul ko zeyaadah eilm hai.


Farmaaya : Allah ka bandon par ye haq hai ke wo Allah hi ki aebaadat karen aur ous ke saath kisi ko sharik na thahraa'aen


Phir Nabiye Akram (صلی الله علیه وسلم) thodi der chalte rahe aur farmaaya : Ay Mo'aaz Bin Jabal ! mai ne arz kiya Labbaik Wa Saadaik Ya Rasu'lallah !


Farmaaya : tumhen maalum hai ke jab bande ye kar len to oun ka Allah par keya haq hai ? mai ne arz kiya Allah aur ous ke Rasul ko zeyaadah eilm hai.


Farmaaya ke bandon ka Allah par ye haq hai ke wo ounhen azaab me mubtala na kare


Hawaalah :


  1. Sahih Bokhaari - jild 4 - Safha 482 - ketaabur Reqaaq (dil ko narm karne waali baaton ke bayaan me) - baab 808

  2. Sahih muslim be sharhil imaamin nawawi - jild 1 - az safha 229 taa 233 - Ketaabul Eimaan (eimaan ke ahkaam wa masaa'ael ke bayaan me)

Mazkurah rewaayat me molaaheza farmaaya ke Mo'aaz Bin Jabal ne chaar martabah "Labbaik Yaa Rasu'lallah" kaha aur Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne Mo'aaz ko ye kahne se mana nahi kiya lehaaza is rewaayat se (Allah ke aelaawah) bandon ke liae bhi "Labbaik" ke istemaal ka jawaaz saabit hai


Jab bandon ke liae is lafz ka istemaal jaa'aez hai to jo "Abu Abdullah" (Allah ke bandon ka baap) hai yaani Saiy'yedush Shohada Imaam Husain (علیه السلام) ke liae ba'darja'ae aulaa "Labbaik" kaha jaa sakta hai, na sirf ye ke kahna jaa'aez hai balke kahna chaahiae keyon ke Qur'aan wa hadis aur in ki tashrihaat wa tauzihaat ke motaabiq Rasule Khoda aur Ali, Faatemah, Hasan, Husain [ Panj'tan ] (سلام الله علیهم) wajhe takhliqe aalame maujudaat hain


Saari kaa'aenaat ki takhliq nure Mohammadi ke tawassut se huei aur motabar hadis ke motaabiq "Husain Rasul se hain aur Rasul Husain se" lehaaza dunya aur is ke maujudaat ki takhliq nure Husain se bhi huei, saari kaa'aenaat Imaam Husain (علیه السلام) ke liae banaaei gaei, is lehaaz se "Abu Abdullah" yaani Imaam Husain (علیه السلام) Aalame maujudaat ke baap hain, dusre ye ke deen ki baqa aur har bande ki aebaadat aap ke qeyaam, shahaadat aur qurbaaniyon ki marhune minnat hai


Is ke peshe nazar bhi aap ke liae "Labbaik" kahna chaahiae


keya Nabiye Akram ( صلی الله علیه و آله ) aur aap ke bade sahaabi Mo'aaz Bin Jabal ka eilm muftiyaane deoband ke eilm se kam hai ?


Muftiyaane deoband ko maalum hai ke "Labbaik Yaa Rasu'lallah" ya "Labbaik Yaa Husain" kahna kufriyah kalaam hai lekin Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) aur aap ke Imaamul Foqaha Mo'aaz Bin Jabal ko nahi pata !!!


Muftiyaane deoband ko chaahiae ke sab se pahle apni ketaaben padh len phir fatwa jaari karen


Aur sunni beraadaraan Daarul Ifta Deoband ke ifteraa pardaazi par mabni aur jaahelaana fatwon se aehteraaz karen


Deobandi mufti dusron ko kaafir wa mushrik nahi kah sakte is liae ke deobandi wahaabi apne aqaa'aede kufriyah, khabisah ke sabab ba'hukme olamaa'ae Haramaine Sharifain, Misr, Shaam aur Hind ... kaafir wa murtad aur deen-e-islaam se khaarij hain


"Chalni keya kahe sup ko ke jis me nau sau chhed"


Roze Aashurah zohr ke baad Imaam Husain (علیه السلام)‌ ne apne as'haab ko mokhaatab kar ke farmaaya :


"... يا أُمَّةَ الْقُرآنِ! هذِهِ الْجَنَّةُ فَاطْلُبُوها، وَ هذِهِ النّارُ فَاهْرِبُوا مِنْها فَاَجَابُوا بَاْلتَّلْبِیَة وَ ضَجُّوا بِالْبُکَاء ..."


"... Ay oummate Qur'aan ! (Qur'aan par eimaan laane aur ous ki paiyrawi karne waali jamaa'at) ye jannat hai is ki talab karo aur ye jahannam hai is se bhaago, as'haab ne talbeyah (Labbaik Yaa Husain yaani ay imaam ham haazir hain aap ki khidmat me) se jawaab diya aur Aah-o-zaari kiya ..."


Hawaalah :


Ma'aaleyus Sibtain - Jild 1 - safha 223 - Taalif Aalime Aamil , Mohaddise Kaamil Shaikh Mahdi Maazandaraani


Is ketaab ke motaabiq sab se pahle "Labbaik Yaa Husain" kahne waale aap ke as'haabe baa'wafa hain


Deobandi muftiyon aur wahaabiyon ko is khubsurat kalemah wa naare (Labbaik Yaa Husain) se parishaani hai keyon ke is me zaalim se moqaabalah karne aur zulm ke khelaaf saabit qadam rahne aur maasum imaam ki aetaa'at ke liae aek daa'aemi dars wa sabaq hai


Niche recommend kiae ga'ae article ko padhna mofid hai انشاءالله



Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-Edaara-e-Darul Itrat


2 / ربیع الاول / 1444 ھ.ق


Urdu rasmul'khat se Roman Urdu me tabdil

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen