Sawaal az : mohtaram janaab Syed Arsalan Askari sb (Gujrat)
Assalamu Alaykum
Imam Sajjad (AS) ki ek hadees hai jisme aap farmaate hai "Agar qur'aan me ham par dushmani ka hukm hota tab bhi log ham par itna zulm nahi karte jitna hamaari muhabbat ko waajib karne par kiya gaya"
Ye hadees ka kisi bhai ne hawaala daala tha Bihaarul Anwaar Jild 76 Safaa 154 Par Maine Qoum Beirut aur Pdf version waali Bihaarul Anwaar me bhi dhundha magar mili nahi
To aapse guzaarish hai ke aagha se keh kar is hadees ka Arabi Matam mujhe bhej sake to mehrbaani hogi aur meri tehqeeq bhi jaari rahegi
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
talaashe bisyaar ke baa'wojud mujhe aiysa matlab hadis ke maraaje wa masaadire asliyah me nahi mila
aap ne Bahaarul Anwaar ki jis jild aur safhah ka hawaala diya hai asli ketaab me ous jild aur safhah ko bhi dekha mazkurah matlab ke baare me hamen kuchh nahi mila
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
9 / صفر / 1444ھ.ق
No comments:
Comment