اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Usman Afzal sb / Pakistan
Salam. Mera naam Usman Afzal hai.
Mera sawal ye hai ke RasoolAllah (S.A.W.A) ke khutba-e-Ghadeer-e-Khum me ek jagah par Ashaab-e-sahifa ka zikr hua hai. Ye ashaab-e-sahifa kaun hain aur sahifa ka kya maajra hai.
JazaakAllah
Jawaab :
باسمه جلت اسمائه
یا صاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم
Jawaab se pahle chand baaten ba'taure tamhid samajhna zaruri hai :
- Jis sahife ki taraf aeshaarah kiya hai, ouse "sahifa'ae mal'ounah" aur "sahifa'ae mash'oumah" kahte hain
- Sahifa lafz ka matlab "maktub" aur "dastaawez" hai
- Mal'ounah ke maani "jis par laanat ki gaei ho" ya "laanat ki gaei"
- Mash'oumah ka matlab "manhus" hai
- Khutba'ae Ghadire Khum me sahifa'ae mal'ounah yaa mash'oumah se moraad aiysa maktub ya dastaawez hai jo haasedin aur monaafeqin ke maa'bain ghasbe khelaafat ke mo'aamale me ba'taure sanad likha ya likhi gaei
- Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne oun monaafeqin yaa as'haab-e-sahifa ko khutba'ae ghadir me dozakhi kaha hai aur oun se apni bezaari ka aelaan kiya hai, saaf farma diya ke oun se bezaar hun
- Sawaal se marbut khutba'ae ghadire khum ke matn ka hissa is tarah hai :
Sahifa'ae mal'ounah aur mash'oumah ka matlab huaa "aiysa maktub ya dastaawez jis par laanat ki gaei hai aur manhus hai"
مَعاشِرَ النّاسِ، إنَّهُ سَیَکُونُ مِنْ بَعْدی أَئِمَّةٌ یَدْعُونَ إلَی النّارِ وَیوْمَ الْقِیامَةِ لا یُنْصَرُونَ.
مَعاشِرَ النّاسِ، إنَّ اللّهَ وَأَنَا بَریئانِ مِنْهُمْ.
مَعاشِرَ النّاسِ، إنَّهُمْ وَأَنْصَارَهُمْ وَأَتْبَاعَهُمْ وَأَشْیَاعَهُمْ فِی الدَّرْکِ الْاَسْفَلِ مِنَ النّارِ وَلَبِئْسَ مَثْوَی الْمُتَکَبِّرینَ.
ألَا اِنَّهُـمْ أَصْحـابُ الصَّحیفَـةِ، فَلْیَنْظُـرْ أَحَـدُکُمْ فـِی صَحیفَتِـهِ!!
Tarjomah :
Ay logo, beshak mere baad anqarib aiyse hukmaraan hon ge jo jahannam ki taraf bolaa'aen ge aur qeyaamat ke din (tanha rahenge) oun ki madad nahi ki jaa'ae gi
Ay logo, khoda aur main oun se bezaar hun (oun se nafrat karte hain)
Ay logo, wo (yaani imaame naar) aur oun ke saathi aur oun ke farmaan bardaar aur oun ke paiyro kaar (sab) aag (jahannam) ke sab se nichle tareen darje ki gahraaeiyon me hain aur takabbur karne waalon ka thekaana bahot hi bura hai
Khabar'daar, wo log (yaani jahannami hukmaraan) "as'haabe sahifa" (saahebaane sahifa) hain, pas tum me se koei aek apne sahife me dekhe (ke ous me keya likha hai)
Is tamhid ke baad mazkurah sawaal ka jawaab molaaheza kijiae
waaqea'ae as'haabe sahifah ka kholaasah :
Baaz mohaqqeqin ka kahna hai ke ye waaqe'ah 2 martabah runoma huaa
Pahla Sahifa'ae Mal'ounah :
is sahifa'ae mal'ounah ka waaqe'ah Nabiye Akram (صلی الله علیه و آله) ke aakheri Haj ke baad aur Ghadire Khum ki jaanib rawaangi ke pahle makke hi me runoma huaa
is sahife ke membaraan, khaana'ae kaaba ke paas aekat'tha huae aur ahdo paiymaan baandha ke Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke baad khelaafat aap ke khaandaan me na rahe aur Amirul Momenin Ali (علیه السلام) khalifa na rahen balke ham log khalifa ban baithen
is aeqraar naame (dastaawez wa tahrir) par tamaam shoraka ne dast'khat kiya aur Abu Bakr wa Omar wa dusre monaafeqin aur membaraan ki baa'hami moshaawarat aur manzuri se ye bhi faiysla kiya gaya ke aakheri haj se waapsi ke waqt "Harsha" ya "Harshi" naami khatarnaak pahaadi darre me (jo Johfa wa Ghadire Khum ke nazdik waaqe hai) Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke ount ko bhadka kar ... aap ko halaak kar diya jaa'ae taa ke Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ko apna khalifa na bana saken
Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke qatl ki saazish rachne waale sahaaba wa monaafeqin aur team ki taadaad 14 thi, Jange Tabuk me bhi qatl ki saazish rachi thi magar khoda ne Hazrat Jibraeil ko bhej kar Rasul-e-Khoda (صلی الله علیه و آله) ko oun ke dushmanon ke aeraadah se mut'tale kar diya aur Hazrat (صلی الله علیه و آله) oun ke shar se mahfuz rahe
Pahle Sahifa'ae Mal'ounah ke as'haab aur Rasul-e-Khoda (صلی الله علیه وآله) ko qatl karne ki saazish rachne waalon ke naam darj zail hain :
Abu Bakr, Omar, Ousmaan, Mo'aawiyah Bin Abu Sufyaan, Amr Bin Aas, Talha, Abu Obaiydah Jarraah, Abdur Rahmaan Bin Auf, Saalim Maula Abi Hozaiyfa, Mo'aaz Bin Jabal, Abu Musa Ash'ari, Moghira Bin Shoba, Saad Bin Abi Waq'qaas, Aus Bin Hadasaan Ansaari
(inhen as'haabe aqabah bhi kahte hain, in ki taadaad 14 thi)
Ye hai pahle sahifa'ae mal'ounah ka maajraa aur oun ke naam
Dusra sahifa'ae mal'ounah :
Ye waaqe'ah, waaqea'ae Ghadir ke baad runoma huaa, Rasul-e-Khoda (صلی الله علیه و آله) ko qatl karne ki saazish me apni puri koshish ke baa'wojud kaamyaab nahi ho paa'ae aur aakheri Nabi ka aakheri haj tha, Ghadire Khum me aakheri Nabi ka sab se aham aakheri paiyghaam wa aelaan oum'mat ke naam ye tha ke "jis ka main maula hun ous ke maula Ali bhi hain"
Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ne Ali (علیه السلام) ko imaam wa peshwa moqarrar kar ke aelaan kar diya to haj wa Ghadire Khum se waapsi ke baad 3 kholafa ki sar'ba'raahi me Madine me waaqe Abu Bakr ke ghar me qatl ke khauf se aur ohde wa mansab ki tadap wa laalach me na'ae musalmaan hone waale kuchh log jama huae aur dusra ahdo paiymaan ye baandha ke Ali (علیه السلام) ki imaamat wa khelaafat ko qabul na karen, aap ke haath par bai'at karne ko naqz wa tod den aur bit'tartib 4 log yaani Abu Bakr, Omar, Abu Obaida Jarraah aur Saalim Bin Hozaifa khalifa banen, shoraka ne in 4 logon ki taa'eid ki
is meeting me 34 log sharik huae the oun me se aksar, qabilon ke sardaar the
is sahifa (dastaawez) par haazerin ne dast'khat kiya aur mohr lagaaei phir sahife ko oun ke nazdik qaabile aetemaad shakhs "Abu Obaiyda Jarraah" ke hawaale kar diya aur khaana'ae kaaba ke paas ouse dafn kar diya gaya, Omar ne apne daure khelaafat me ous ko dafn ki jagah se nikaala
Dusre sahifa'ae mal'ounah ke as'haab :
abhi arz kiya ke dusre sahifa'ae mal'ounah me ahdo paiymaan baandhne waalon ki taadaad 34 thi, 14 afraad to wahi hain jin ka zikr pahle "sahifa'ae mal'ounah" me huaa, ye wahi log hain jinhon ne Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke qatl ki saazish rachi thi
Baaqi yaani dusre 20 afraad me se baaz ke naam darj zail hain :
Abu Sufyaan, Eikrema Bin Abu Jahl, Khaalid Bin Walid, Bishr Bin Sa'eid, Sohail Bin Amr, Sohaib Bin Senaan, Abu Aawar Solami, Safwaan Bin Omaiy'yah, Sa'eid Bin Aas, Aiy'yaash Bin Abi Rabi'ah, Hakim Bin Hezaam, Moti Bin Aswad Adawai, Abu Horairah, Abu Talha Ansaari, Hozaifa ka gholaam Saalim ...
Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne eilme ghaib se sahifa'ae mal'ounah aur as'haabe sahifa ki oum'mat ko khabar de di lekin ous waqt kisi ko nahi maalum tha ke as'haabe sahifa kaun hain ? sirf aek qalil taadaad oun se waaqif thi
Ba'zaahir ye mo'aahadah, waaqea'ae Ghadir ke khelaaf aur ghasbe khelaafat ke liae as'haabe sahifa ka pahla aeqdaam tha
is mo'aahade ki dastaawez aur mansubah ko as'haabe Saqifa ne Saqifa me amali jaama pahnaaya aur naafiz kiya
Amirul Momenin Hazrat Ali (علیه السلام) ki welaayat wa imaamat ki nafi karne ke liae as'haabe sahifa ne rewaayat jaal ki wa gadhi aur ous ki nisbat Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ki taraf de di taa ke ba'zome khud kahen ke Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke khaandaan me ba'taure miraas imaamat ki koei jagah aur hissa nahi hai
Rewaayat yun hai :
" نَحنُ مَعَاشِرَ الاَنبیاءِ لَا نُوَرِّثُ، مَا تَرَکنَاهُ صَدَقَةٌ "
"Ham gerohe ambiyaa na waaris hote hain na miraas chhodte hain, ham jo kuchh chhod jaate hain wo sadqah ho jaata hai"
Baad me ghasbe Fadak ke liae bhi is rewaayat ko istemaal kiya gaya
Shia aqide ke motaabiq khelaafat wa imaamat maurusi nahi hai lekin arbaabe saqifa ne is hadis ke zari'ae maanawi miraas yaani khelaafat ghasb ki aur maad'di miraas yaani Fadak bhi ghasb kiya
waazeh rahe ke Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne Fadak apni beti ko hebah kiya tha, jab Abu Bakr ne waapas nahi diya to Dokhtare Rasul Hazrate Faatemah (سلام الله علیها) ne ba'ounwaan-e-miraas apna haq chaaha
Haiyrat ki baat ye hai ke is hadis par aeteraaz ka jawaab dene se bachne ke liae is jaali wa man'ghadat hadis me tahrif bhi kar di, baaz jaghon par "نحن معاشر الانبیاء" (ham ambiyaa) ko hazf kar ke kaha gaya "اَنَّ رسولَ الله قَالَ" (beshak Rasule Khoda ne kaha)
Dusre sahifa'ae mal'ounah ke baad Rasule Khoda (صلوات الله علیه و آله) ne as'haabe sahifa ko ahde jaaheliyat ke qaa'aedin se tashbih di hai aur farmaaya wo aag ke taabut me hain aur aelaan kiya ke agar Khoda apni oum'mat ko sabro tahammul aur imtehaan ka hukm na diae hota to as'haabe sahifa ki gardan ouda deta
Afsos ki baat ye hai ke musalmaanon ki aksariyat Nabiye Karim (صلی الله علیه و اله) ke bahot zeyaadah ahamiyat ka haamil "khutba-e-Hajjatul wada" (Khutba'ae Ghadir) ke ba'jaae sahifa'ae mal'ounah wa mash'oumah par amal karti hai
Mazid jaan kaari aur tahqiq ke liae arbaabe eilmo daanish darj zail ketaaben padh sakte hain :
- Solaim Bin Qais Helaali - Safhaat 154, 269, 203, 161, 18 aur 204 - Taalif Solaim Bin Qais Helaali
- Behaarul Anwaar - jild 28 - az safha 102 taa 106 - taalif Allaamah Majlesi
- Mir'aatul Oqul Fi Sharhe Akhbaare Aalir Rasul - jild 5 - az safha 53 taa 55 - taalif Allaamah Majlesi
- Safinatul Behaar - jild 5 - safha 56 - taalif Shaikh Abbaas Qomi
- Torafo Menal Ambaa'ae Wal Manaaqib - az safha 561 taa 567 - taalif Saiy'yid Bin Taawus
- Irshaadul Qolub Daiylami - jild 2 - az safha 200 taa 204 - taalif Hasan Bin Mohammad Daiylami
- Al-burhaan Fi Tafsiril Qur'aan - jild 5 - safha 317 - Taalif Saiy'yid Haashim Bahraani
aekhtetaam par ye arz kar dun ke mazkurah baala bayaan aur Khutba'ae Ghadir ka tazkerah Sunni bhaaeiyon ke masaadir wa maraaje me hai ya nahi ? sawaal aur aekhtesaar ke peshe nazar is ko nazar andaaz karta hun, is ke hawaale se agar koei sawaal ya shub'haat hain to puchhen insha'allah Sunni beraadaraan ki ketaabon se ham jawaab den ge
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-Edaara-e-Darul Itrat Azim Aabaad / Patna - Shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
28 / صفر / 1444 ھ.ق
◾روز شہادت رسول اکرم اور امام حسن ( سلام الله علیهم )◾
No comments:
Comment