اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab sadiq Raushan Ali sb (Congo, South Africa)
Salam Alaikum,
Aapki ek video maine dekhi jisme janab e Roqayya (s.a) ke bare me bataya gaya hai ke unki umr karbala me 3 ya 4 saal ki thi
Mera sawal ye hai ke janab sakina (s.a) ki karbala me kya umr thi aur janab e sakina kahan madfoon hain ?
aur kyon log jab bhi masyab bayan karte hain to 4 saal ki umr janab e sakina (s.a) ki batate hain janab e Roqayya (s.a) ka name q nahi lete
Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Ji, wo video taqriban 6 saal puraani hai
Hazrat Sakina (سلام الله علیها) ki taarikhe welaadat mokammal taur par waazeh aur raushan nahi hai
Mash'hur qaul ke motaabiq aur aksar mowarrekhin ke nazdik aap ki welaadat baa sa'aadat 47 Hijri Qamari me huei
Hawaalah :
As'saiy'yedah Sakina ibnatoul Imaamish'shahid Abi'Abdillahil Husain - page 141 - taalif Saiy'yid Abdur'razzaaq moqarram
Ba'zaahir saal aur taarikhe wafaat me aekhtelaaf nahi hai, taqriban tamaam mowarrekhin ne likha hai ke ba'roz jomeraat 5 Rabi'oul awwal 117 Hijri Qamari me aap ka inteqaal huaa
Hawaalah :
- Safinatul bahaar jild 4 - safha 213 - taalif Shaikh Abbaas Qumi (Shia ketaab)
- Taarikh-e-Madina wa Demashq - jild 69 - safha 218 - taalif Ibne Asaakir (Sunni ketaab)
Natijah :
Mash'hur qaul ke motaabiq welaadat ka saal 47 Hijri Qamari hai aur Karbala ka waaqe'ah 61 Hijri Qamari me ru'nomaa huaa, is aetebaar se san 61 Hijri Qamari karbala me aap ki oumr taqriban 14 saal thi, 47 H.Q se le kar 61 H.Q tak taqriban 14 saal huae
Waazeh rahe ke 47 H.Q se 117 H.Q tak joden to wafaat ke waqt aap ki oumr taqriban 70 saal thi
Dusre ye ke aap ki wafaat 117 Hijri Qamari me huei aur 70 saal ki oumr me inteqaal farmaaya, is lehaaz se bhi aap ki welaadat 47 H.Q me huei, natijatan Karbala me aap ki oumr 14 saal thi
Qaraa'aen aur shawaahid is baat ke ghammaaz hain ke Hazrat Sakina (سلام الله علیها) Karbala me kam sin bach'chi nahi thin balke baaleghah aur rashidah thin, misaal ke taur par sirf 2 shawaahid pesh kar rahe hain :
- Motabar taarikhi maraaje wa masaadir me hai ke Imaam Husain (علیه السلام) ne aap ki shaadi apne bhatije yaani Abdullah Bin Hasan (علیه السلام) se ki thi
- Karbala me jab Imaam Husain (علیه السلام) rokhsate aakhir ke liae aa'ae to sab ka naam le kar kaha "Tum par mera salaam ho"
- Yanaabi'oul Mawaddah - jild 2 - safha 171 wa 172 - baab 61 - taalif Solaiymaan Bin Ibraahim Qunduzi (Sunni ketaab)
- Manaaqebe Aale Abi Taalib - jild 4 - safha 109 wa 110 - taalif Abu Jaafar Mohammad Bin Ali al-maaruf ba Ibne Shahar Aashub (Shia ketaab)
Hawaalah :
Aelaamul wara be Aalaamil Hoda - jild 1 page 418 - taalif Shaikh Tabrasi
Yaad rahe ke Imaame Hasan (علیه السلام) ke aek farzand ka naam Abdullah Akbar aur dusre ka naam Abdullah Asghar (سلام الله علیهما) tha, donon Karbala me shahid huae, Hazrat Sakina (علیها السلام) ki shaadi Abdullah Akbar se huei thi, ye Abdullah Asghar se bade the
Albatta aap doshizah hi thin ke shauhar shahid ho ga'ae
Hawaalah :
Al-mohabbar - safha 438 - taalif Mohammad Bin Habib Baghdadi
Waaqea'ae Karbala ke pahle baaleghah aur rashidah thin tab hi to Imaam Husain (علیه السلام) ne shaadi kar di thi
Khawaatin aur bach'chiyon ne jab Imaam (علیه السلام) ki aawaaz suni to oun ki girya-o-zaari ki aawaazen baland ho gaein, Hazrat Sakina (سلام الله علیها) bhi feraaqe pedar me girya kar rahi thin, Sakina se Imaam (علیه السلام) ko bahot mohabbat thi, sine se lagaaya aur donon aankhon ke darmeyaani hisse ka bosa liya aur aansu saaf kar ke ye ash'aar kahe :
سَيَطُولُ بَعْدِي يَا سَکِيْنَةُ فَاعْلَمِي
مِنْكِ اَلْبُكَاءُ إِذَا اَلْحِمَامُ دِهَانِي
لاَ تُحْرِقِي قَلْبِي بِدَمْعِكِ حَسْرَةً
مَا دَامَ مِنِّي اَلرُّوحُ فِي جُثْمَانِي
وَ إِذَا قُتِلْتُ فَأَنْتِ أَوْلَى بِالَّذِي
تَأْتِينَهُ يَا خَيْرَةَ اَلنِّسْوَانِ
Tarjomah wa mafhum :
Ay Sakina jaan lo ke mere baad
Tumhaara girya tawil arse tak hoga
Jab mujhe maut aa jaa'ae to rona
Jab tak mere jism me jaan hai
Apne ashke hasrat wa afsos se mera dil wa jigar kabaab na karo
Ay auraton me behtarin khaatun, jab me shahid ho jaaunga to tum sab se zeyaadah sazawaar aur monaasib rahogi ke mere sarhaane aa'ao (aur mere sog me baitho)
Hawaalah :
Molaaheza farmaaya ke Imaam Husain (علیه السلام) ne Hazrat Sakina (سلام الله علیها) ko "خَیرَةُ النِّسوَان / Khairatun Niswaan" (Aurton me behtarin khaatun) kah kar khetaab kiya. arabi zabaan ki loghat me aam taur par lafz "نِسَاء / نِسوَان - Nesaa / Niswaan" baaleghah aurton ke liae istemaal hota hai, kam oumr ladkiyon ke liae ye lafz raa'aej nahi hai
Ye bhi aek shaahid hai ke Hazrat Sakina (سلام الله علیها) karbala me baaleghah wa rashidah thin
Hamaare darmeyaan mash'hur hai ke aap Karbala me kam sin bach'chi thin, mazkurah baala bayaan ke peshe nazar mere liae ye qabul karna bahot mushkil wa dushwaar hai
Jo bach'chi kam sin thi wo Hazrat Roqaiy'yah (سلام الله علیها) thin (video me tafsil bata di gaei hai)
Janaabe Sakina (سلام الله علیها) kahan madfun hain ?
Mahalle dafn me bhi aekhtelaaf hai, baaz kahte hain Misr me madfun hain aur baaz kahte hain Syria / Demishq me dafn hain
Lekin mash'hur wa maaruf Shia Aalime deen "Allaamah Saiy'yid Mohsin Amin" ne apni mash'hur wa maaruf ketaab "Aayaanush Shia" ki jild 3, safha 492 par likha hai :
Demashq me waaqe maqbarah "Baabus Saghir" me jo qabr Hazrat Sakina (سلام الله علیها) ki taraf mansub hai wo sahih nahi hai is liae ke ahle taarikh ka is baat par ijmaa wa ittefaaq hai ke Hazrat Sakina (سلام الله علیها) madina (jannatul baqi) me madfun hain
Demishq me jo jagah qabre Sakina ke naam se hai wahan shaam ke kisi baad'shaah ki beti madfun hai, is liae ke qabr par jo sanduq hai ous par khatte kufi me likha hai "سکینة بنت الملك / Sakina bintul malik" (Sakina baad'shaah ki beti) ...
Baaz dusre olamaa wa mohaqqeqin jaiyse Shaikh Abbaas Qumi ne isi nazariy'yeh ki taa'eid ki hai ke Demashq me jo qabr hai wo baad'shaahon ki ladkiyon me se kisi aek ladki ki qabr hai. Hazrat Sakina (سلام الله علیها) ka inteqaal madine me huaa aur wahin (Jannatul Baqi me) madfun hain
Hawaalah :
- Aayaanush Shia - jild 3 - safha 492
- Safinatul Bahaar - jild 4 - safha 213 - taalif Shaikh Abbaas Qumi (Saahebe Mafaatihul Jenaan)
Keyon log Janaabe Sakina (سلام الله علیها) ki oumr 4 saal bataate hain aur Janaabe Roqaiy'yah (سلام الله علیها) ka naam nahi lete hain ?
Ye sawaal aap oun zaakerah aur zaakerin se karen jo 4 saal oumr bataate hain aur Janaabe Roqaiy'yah ka naam nahi lete
Tabserah :
Shuru me arz kiya ke Hazrat Sakina (سلام الله علیها) ki shaadi aap ke chachere bhaaei Janaab Abdullah Bin Hasan (سلام الله علیهم) se huei
Karbala me aap ki shahaadat ke baad Hazrat Sakina (سلام الله علیها) ne taa hayaat dusri shaadi nahi ki
Shia mowarrekhin aur olamaa'ae rejaal ka yahi maan'na hai, lekin baaz Sunni mowarrekhin aur mohaddesin kahte hain Abdullah Bin Hasan ki shahaadat ke baad mota'addid shaadiyaan kin, hatta "Mus'ab Bin Zobair" (لعنة الله عليه) se bhi ki (jin logon ne Mokhtaar Naamah Serial dekhi hogi is palid shakhs ke baare me eijmaalan jaante honge)
Afsos ka maqaam ye hai ke kasrate eizdewaaj ka afsaanah baaz Shia ketaabon ke safhaat me bhi pahonche
Baaz Shia olama, Banu Omaiy'yah ke hukm par darbaari olamaa, mohaddesin aur banaame musalmaan, ghair muslim se likhwaaei gaei hadis aur taarikh ki ketaabon se mota'assir ho kar "Mus'ab Bin Zobair" (لعنة الله عليه) se shaadi ki be'jaa taawil wa taujih bhi karte hain (jo zinda hain khoda ounhen hedaayat de aur jin ka inteqaal ho gaya hai oun ki maghferat kare)
Mus'ab Bin Zobair (لعنة الله عليه) waghairah se Hazrat Sakina (سلام الله علیها) ke aqd ka afsaanah bilkul ousi tarah hai jis tarah Janaabe Oumme Kulsum Binte Faatemah (علیهما السلام) ka aqd Omar Bin Khattaab se
Niche di ga'ei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadime Edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
13 / صفر / 1444 ھ.ق
No comments:
Comment