Sawaal az : +96654...
Salamun alaikum wrb
Molana sahab mera ek personal sawal hai aur kisi aur ne bhi mujhse malum kiya tha Lekin me jawab na de saka
Sawal
Jaise har nek kaam me sawab hai waise hi har bure kaam me gunah
agar 2 nek kaam ek waqt par karna hai to ham aise nek kaam ko karenge jisme zayada sawab hai... Sahi...
to kya 2 bure kaam ho aur ek insan majbur ya fors ho kar 2 bure kaam kar raha hai jo nahi karna chahiye fir bhi majbur hai to kya 2 bure kaam me se 1 wo kaam kar sakta hai jisme kam gunah ho...
agar kai haraam kaam zina ke liye irada ho gaya aur dil mana kar raha hai lekin shehwat control me nahi rehti aur dastzani ...
Ye sawal ajeeb hai
lekin aap se sawal karna zaruri tha isliye kiya hai
Maafi chahta hu...
No. wa naam zahir na kare please
jawaab ka muntazir hu
Mazret ke
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
shukriyah puchh liya to ach'chhaa hi kiya
aek gunaah (jaiyse zena ya lewaatat) se bachne ke liae musht zani ka sahaara lena qat'an jaa'aez nahi hai aek gunaah se nejaat ka raasta dusra gunaah nahi hai
aap ko chaahiae ke jetni jald ho sake shaadi kar len ya roze aur warzish waghairah ka aehtemaam kar ke gunaah se khud ko bachaa'aen
jinsi taskin ke liae dusre gunaah se madad na len
zena ya lewaat se bachne ke liae musht zani karna goya aek angaare (انگارے) se bach kar dusre angaare par aa jaana huaa
gunaahon me bhi darajaat hote hain, jaiyse aag ka bada angaara aur chhota angaara lekin jalaa kar raakh karne ke liae har aek kaafi hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko zarur molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoha-e-sawaalaat Qum / iran
28 / محرم / 1444ھ.ق
No comments:
Comment