Aiy'yaame azaa ke dauraan khun ka atiyah lamha'ae fikriyah - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, August 27, 2022

Aiy'yaame azaa ke dauraan khun ka atiyah lamha'ae fikriyah

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


Aiy'yaame azaa ke dauraan khun ka atiyah lamha'ae fikriyah


kaei baaten aaj kal kaafi sunne me aa rahi hain oun me se aek aiy'yaame azaa ke dauraan khun ka atiyah hai
is baat ko nazar andaaz karte huae ke ye khun kis ke badan ka juz bane ga ? dushmane islaam ya naasebi ? aur is se eistefaadah keya hai ?
is me shak nahi ke khun ka atiyah yaani dusre ki zindagi bachaana ye aebaadat aur ach'chhi rasm hai


maahe moharram makhsusan nawin aur daswin (9th and 10th) moharramul haraam khun atiyah karne ki tahrik chalaaei jaa rahi hai is ko puri dunya me aam karne ki koshish ki jaa rahi hai, khun ke atiyah camp ka eiftetaah ho raha hai, jagah jagah camp qaa'aem kiae jaa rahe hain, Husaini blood bank khole jaa rahe hain, khun atiyah karne ke liae azaadaari ki raunaq yaani jawaano ko targheeb dilaa'ei jaa rahi hai, is ke fawaa'aed bataa'ae jaa rahe hain


sochne waali baat ye hai ke khun atiyah karne ki tahrik chalaane waale hazaraat saal bhar khaabe khargosh ke maze lut'te hain lekin moharram aate hi bedaar keyon ho jaate hain ? azaadaaron ke liae lamha'ae fikriyah hai


ba'zaahir aiysa lagta hai ke baaz log azaadaari aur mazlume karbala ke paak khun ki taraf se tawajjoh hataane ke liae khun dene ki tahrik chala rahe hain
agar is tahrik se azaadaari mota'assir ho rahi hai ya is ka khatra hai to is se dur bhaagna chaahiae
agar jadid rasmo rewaaj aur sunnat se qadimi rasmo rewaaj aur sunnat ko khatra hai to is se bachna chaahiae is liae ke ye sunnat shekani hai


Amirul Momeneen Ali (علیه السلام) ne is se mana kiya hai, aap ne jab janaab Maalike Ashtar ko Misr ka haakim moqarrar kiya to aek tafsili khat likha ous me hai :


" ... لَا تَنْقُضْ سُنَّةً صَالِحَةً عَمِلَ بِهَا صُدُورُ هَذِهِ الاُْمَّةِ، وَاجْتَمَعَتْ بِهَا الاُْلْفَةُ، وَصَلَحَتْ عَلَيْهَا الرَّعِيَّةُ. وَلَا تُحْدِثَنَّ سُنَّةً تَضُرُّ بِشَيْء مِنْ مَاضِي تِلْکَ السُّنَنِ، فَيَکُونَ الْاَجْرُ لِمَنْ سَنَّهَا، وَالْوِزْرُ عَلَيْکَ بِمَا نَقَضْتَ مِنْهَا ... "


Tarjoma wa mafhum : ... aise ach'chhe rasmo rewaaj aur sunnat ko naqz na karo jis par is oummat ke buzurgon ne amal kiya aur millate islaamiyah jis se maanus ho gaei aur jis se logon ki eislaah huei aur aiyse na'ae rasmo rewaaj wa sunnat ko paida na karo (eijaad na karo) jis se maazi ke ach'chhe rasmo rewaaj wa sunnat ko noqsaan pahonche
ajro paadaash ach'chhe rasmo rewaaj wa sunnat ko wojud me laane waale ke liae hai aur sunnat shekani (todne) ki saza tumhaare liae hai...


(nahjul balaagha naama 53)


ye naa qaabile einkaar haqiqat hai ke azaadaari sunnate Rasul (صلی الله علیه و آله) hai, azim aebaadat hai, is se sirf shia nahi balke islaam aur insaaniyat baaqi hai


is me ach'chhi rasmen hain jo aql aur shari'at ke bar'khelaaf nahi hain, agar koei na'ae rasmo rewaaj aur sunnat ke zariae is ko naqz kare to yaqinan mustahaqqe saza hai
baaz aelaaqon me momeneen ki aabaadi kam hai, joluse azaa se chand afraad bhi khun dene chale jaate hain to maatami jolus par asar padta hai


al'mokhtasar ye ke khun ka atiyah karna azaadaari ka hissa nahi hai aur sha'aa'aere Husaini me se bhi nahi hai


dusre ye ke agar is ka silsila jaari raha to jis tarah baaz ghalat rosumaat azaadaari ka hissa ban chuki hain ousi tarah khun ka atiyah bhi aa'eindah barson me aur aa'eindah naslon ke liae azaadaari ka Juz-e-Laa-Yanfak (aiysa hissa yaa juz jo apne kul se alag na kiya jaa sake) ban jaa'ae ga


madina me masjide qoba ke moqaabil noqsaan pahonchaane ke liae masjide zeraar banaaei gaei, masjid hone ke baa'wojud Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne ous ko wiraan aur mismaar karne ka hukm diya


in baaton ko madde nazar rakhte huae aiy'yaame azaa khosusan roze aashurah khun atiyah karne ki tahrik lamha'ae fikriya hai


" وَمَا عَلَيْنَا إِلَّا الْبَلَاغُ الْمُبِينُ "


"aur waazeh taur par paiyghaam pahoncha dene ke sewa ham par kuchh laazim nahi"


والسلام عليكم و رحمة الله وبركاته

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat Azim aabaad patna
Moqim qomul moqaddasah iran


6 / moharramul haraam / 1439 H.Q

subscribe us on youtube


translitrated by "Saiyed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu

2 comments:

  1. Mashaallah
    Beshak
    Ye paigam har har qaumo millat tak pahonchna chahiye

    ReplyDelete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen