Keya ye hadis sahih hai ke "watan se mohabbat eimaan ka juz hai ?" aur watan se keya moraad hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, August 17, 2022

Keya ye hadis sahih hai ke "watan se mohabbat eimaan ka juz hai ?" aur watan se keya moraad hai ?

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحیم
یا صاحب الزمان ادرکنا


Keya ye hadis sahih hai ke "watan se mohabbat, eimaan ka juz hai ?" aur watan se keya moraad hai ?


Rewaayaat ki asl Arabi aebaarat yun hai :


" حُبُّ الْوَطَنِ مِنَ الاْیمانِ "


"watan ki mohabbat eimaan ka juz hai"


Is qism ki baat aam logon ke darmeyaan, Hadise Rasul (صلی الله علیه و آله) ke taur par mash'hur hai, jab ke Shia aur Sunni ke nazdik ahaadis ki motabar ketaabon aur maakhaz wa masaadir me is hadis ka zikr nahi hai albatta baaz ketaabon me sanad ka zikr kiae be'ghair marwi hai


Sirf chand ketaabon ke hawaale molaaheza farmaa len :


  1. Shaikh Hurre Aameli ne apni ketaab ke dibaachah me likha hai :

  2. Ham ne aeraadah kiya hai ke kuchh wojuhaat ki bena par "Jabal Aamil" ke olamaa ka tazkerah apne baad ke baaqi olamaa par
    moqaddam karun, oun me se aek wajah Hubbul Watani ka haq ada karna hai, jaiysa ke manqul hai :


    " حُبُّ الْوَطَنِ مِنَ الاْیمانِ "


    "Watan ki mohabbat eimaan se hai"


    [Amalul Aamaal jild 1 page 11 - Taalif Shaikh Hurre Aameli (Shia ketaab)]

  3. Aayaanush shia jild 1 page 296 - Taalif saiy'yid Mohsin Amin (Shia ketaab)

  4. kashful khafaa wa mozilul eilbaas jild 1 page 345 - Taalif Shaikh Ismaaeil bin Mohammad Ajluni (Sunni ketaab)

Sunni mohaddesin ne is rewaayat ko mauzu yaani man'ghadat (من گهڑت) qaraar diya hai aur shion ke qadimi maakhaz me is rewaayat ka tazkerah nahi hai aur jin ketaabon me hai to sanad ke be'ghair, lehaaza is aebaarat ka rewaayat hona qat'ei nahi hai aur Rasule khoda ya Aeim'mah (سلام الله علیهم) se saabit nahi hai, natijatan ye rewaayat motabar nahi hai


is ke peshe nazar mazkurah aebaarat ki nisbat Rasule akram ya Aeim'mah (صلوات الله علیهم) ki taraf dena dorust wa sahih nahi hai


Watan se keya moraad hai ?


Farz kar len is rewaayat ki sanad sahih hai lekin watan ke mafhum me aekhtelaaf hai ke kaun sa watan moraad hai, is hawaale se chand aqwaal aur aaraa molaaheza farmaa len :


  1. Shaikh Bahaa'ei is rewaayat me joghraafi'ae ko watan ki asaas nahi maante, aap ne is rewaayat ki taawil me farmaaya :

  2. Watan se moraad aakherat hai, yahi asli aur abadi watan hai, ye faani dunya nahi, aakherat wa bahisht ki mohabbat eimaan ki neshaani hai


    Is ke mota'alliq aap ne masnawi bhi likhi hai


    Ous ka aek misra is tarah hai :


    " این وطن ، مصر و عراق و شام نیست "


    "Ein watan, misro iraqo Shaam nist"


    (Naano Halwa - bakhsh 9 Shaikh Bahaa'ei)

  3. Makka'ae mokarramah hai jo qibla'ae aalam aur "Oummul Qoraa" (yaani tamaam shahron ki maa) hai

  4. Islaami sarzamin hai is se mohabbat aur is ka defaa wa hefaazat, eimaan ki neshaani hai

  5. (lekin agar watan, Mo'aanid mushrekin aur Naasebiyon ki sarzamin ho to yaqinan ous ki mohabbat eimaan ka juz nahi hai balke is ke bar'aks, aiysi sarzamin se mohabbat, kufro nefaaq ki alaamat hai, tahrir ki wus'at aejaazat deti to mai is hawaale se kuchh arz karta)


  6. Ourf aur samaaj wa mo'aashare me jis ko watan kahte hain wo moraad hai yaani jahaan insaan paiyda huaa aur aabaaei watan ; ous se mohabbat, eimaan ka hissa hai

Keya rewaayat ka maani dorust hai ?


Mazkurah rewaayat agar'che motabar aur sahih nahi hai aur watan ke mafhum me aekhtelaaf hai lekin ous ka maani dorust wa sahih hai is liae ke is me jo kaha gaya hai (yaani watan ki mohabbat, eimaan ka juz hai) wo Aql, Fitrat, aur Aayaat wa rewaayaat ke motaabiq hai


Aayaat aur ahaadis se hame Hubbul Watani ki dalil milti hai


Watan se mohabbat aek fitri amr hai :


Watan se mohabbat aek fitri amal wa chiz hai, jo jahaan paiyda hota hai, jahaan ous ke ghar waale hote hain ous watan se fitratan aur qudrati taur par mohabbat ka hona fitri amal hai


insaan ko apne watan ke daro diwaar se oulfat wa mohabbat ho jaati hai, ye mohabbat na sirf ye ke insaan me paaei jaati hai balke haiywaanaat, charind, parind, darind hatta chiyunti ke dil me apne maskan, ghonsle aur watan se be panaah ouns hota hai


Baaz falaasefa ka kahna hai :


" فِطرَةُ الرَّجُلِ مَعجُونَةٌ بِحُبِّ الوَطَن "


"Fitrate insaan ko watan ki mohabbat se gundha gaya hai" (yaani watan ki mohabbat, insaani khamir me rakh di gaei hai)


(Mohaazaraatul odabaa wa mohaawaraatish sho'araa wal bolagha - jild 2 page 652 - Taalif Raaghib Isfahaani)


Mohabbate watan, qur'aan ki roshni me :


Misaal ke taur par sirf chand aiysi aayaat ka zikr kiya jaa raha hai jis se "Hubbul Watani" ki taa'eid hoti hai


Surah Momtahenah Aayat 8-9 aur Baqarah Aayat 246


surah baqarah ki is aayat me watan aur aulaad ki judaaei karwaane waalon ke khelaaf jehaad ka hukm diya gaya hai


is se maalum hota hai ke aelaahi qaanun ki hefaazat ke aelaawa naamus aur watan ... ki hefaazat wa nejaat bhi jehaad hai


Mohabbate watan, ahaadis aur sirat ki roshni me :


ahaadis me bhi apne watan se mohabbat ki waazeh nazaa'aer milti hain, zail me ham is hawaale se chand nazaa'aer pesh karte hain :


  1. apne watan se judaaei, Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) par itni shaaq thi ke makke se madine ki jaanib hijrat karte waqt huzno malaal se rote huae ghar mud mud kar dekhte jaate the

  2. (tafsire at'tibyaan jild 9 safha 288 tafsir surah mohammad taalif shaikh tusi / majma'oul bayaan jild 9 safha 123 tafsir surah mohammad taalif shaikh tabrasi)


    Khoda ne is jumle se Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ko tasalli di :


    "yaqinan wo (khoda) aap ko aap ki jagah (makka) waapas kar dega"


    (surah qasas 85)


  3. aap ke farzand, Imaam Husain (علیه السلام) ne bhi maahe rajab 60 hijri me madine se makke ki jaanib hijrat karte waqt girya kiya

  4. lekin dono maasum ki hijrat me farq ye hai ke aap ke jad apne watan waapas aa'ae lekin aap na aa sake


  5. Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ka eirshaade geraami hai :

  6. " مِن كَرَمِ المَرءِ بُكاؤهُ على ما مَضى مِن زَمانِهِ ، و حَنينُهُ إلَى أَوطانِهِ ، و حِفظُهُ قَديمَ إِخوانِهِ "


    "ye insaan ki azmat wa buzurgi me se hai ke wo apne guzre huae waqt (guzri huei oumr me kotaahi) par ro'ae aur apne watan ka eishteyaaq rakhe aur apne puraane wa derina beraadaraan (dosto'n) ko bar'qaraar rakhe"


    (bahaarul anwaar jild 74 safha 264)


  7. Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ne farmaaya :

  8. " عُمِرَتِ الْبُلْدانُ بِحُبِّ الأَوْطانِ "


    "watan ki mohabbat se shahar aabaad hote hain"


    (bahaarul anwaar jild 78 safha 45)


watan ki taamir wa taraqqi ka raaz, watan se mohabbat me poshida hai, hamaare mulk ke hukmoraanon aur baashindo'n ke liae is hadis me bahot bada dars wa sabaq hai


is hadis me Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ne aek meyaar bataaya hai ke agar kisi shahar ya mulk me taamir wa taraqqi na ho to wahaan ke log aur hukkaam mohibbe watan aur mulk ke wafaadaar nahi balke ye mulk se, watan se ghaddaari hai ya oun me eistedaad wa leyaaqat hi nahi paaei jaati


jis qaum aur haakim ke dil me watan ki mohabbat nahi rahti aur apne mazmum maqaasid ke hosul ke liae tamaam haden paar kar len, hubbul watani, seyaasi nazar ban jaa'ae to mulk aur watan ka mustaqbil taarik ho jaata hai, tabaah wa barbaad ho jaata hai, shiraaza bikhar jaata hai aur wiraaniyon ki tasweer ban jaata hai


mazkura hadis se bhi hubbul watani ki ahmiyat ka andaaza lagta hai, is hadis ke motaabiq watan ki mohabbat shahro ke aabaad hone aur khush'haali ka sabab wa baa'aes hai


lehaaza is aetebaar se watan ki mohabbat, eimaan ki neshaani wa alaamat hai, is liae ke khidmate khalq aur apne baal bach'chon wa ahle watan ke waaste aasaa'eish wa refaahe aam faraaham karna eimaan ka taqaaza wa eimaan ki neshaani hai


waazeh rahe ke watan se mohabbat, eimaan ke monaafi nahi lekin ye mohabbat andhi wa majnu'naana na ho, kasbe ma'aash aur tahsile eilm ... ke liae kahin jaana pade to ye mohabbat rokaawat na bane aur agar tumhaare din aur tumhaare watan me dushmani ho jaa'ae to din ki mohabbat par watan ki mohabbat qurbaan kar do


dusre ye ke qaum parasti, hizb parasti aur watan parasti ka naam hubbul watani nahi, qaum parasti (Nationalism) ko islaam se na joda jaa'ae, ye islaami taalimaat aur osulon ke monaafi wa khelaaf hai


والسلام

Syed Shamshad Ali katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat


19 / moharram / 1444 H.Q

subscribe us on youtube


transliterated by "Saiyed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu

1 comment:

  1. Aap ne is hadith ki asaalat aur etebar par acchi tarah roshni daali hai, is lehaz se is men kisi izafe ki zaroorat naheen.

    Mushkil is bayan ki ye hai ke is se hubbe watan aur eemaan ke rishte ka juz aur kul ke rishte ke musaavi hone ka masala roshan naheen hota.

    App ne durust farmaya ke hubbe watan ek fitri cheez hai To is etebar se is amr men, doosri tabiee melanaat ki tarah, momin aur kafir, munafiq aur sadiq, fasiq aur aadil, zalim aur salih sab afrad shareek hain. Isee liye jo cheez insan ki jibillat men daakhil hai is par Shariat ki taraf se koee khaas taakeed ki zaroot naheen, sirf hakeemana ishare kafi hote hain. Is ke alawa hukoomate is jazbe ki ahmiyat to jaan kar is ka poora faida uthati hain, aur afwaj ko paal kar dushman mulkon par yalghar ka waseela banati hain. Yehi jazba difaee maqaasid ke liye istimaal hota hai.

    Allah ne is geraayesh ke zarye shahron aur aabaadiyon ki aabaadi aur difa ka fitri intizam kiya hai, is liye momin aur kaafir, fasiq o salih, sab afraad jo apne watan ki shayesta taur par khidmat karte hon, wo apne ham-wataon ki nazar men izzat ki nigah se dekhe jate hain. Is fitri jazbe se eemaan aur kufr donu mustafeed hote hain. (Balke shayed kaferon ne is ka ziyada istimal kiya hai, aur is ko shahron ki barbadi ka bhi zarya banaya hai)

    Laikin kabhi eemaan ka taqazah ye hota hai ke watan tark kiya jai, aur isee liye Hijrat ko watan dosti par awlawiyat dee gaee hai, aur ye poore yaqeen se kaha ja sakta hai ke hijrat dar raahe Khuda eemaan ka juz hai.

    Watan ki khoobiyan aur mohabbat Mutlaq naheen, balke mashroot hain. Yani kabhi tarke watan falah ka baais hota hai, aur jahan watan men eemaan ko khtra pesh aae ya tarke watan men deen ka faida ho to wahan hijrat wajib hojati hai.

    Zayl ki riwayaton ko bhi mulaheza farmaen:


    وَ قَالَ أَمِيرُ الْمُؤْمِنِينَ ع الْفَقْرُ يُخْرِسُ الْفَطِنَ عَنْ حُجَّتِهِ وَ الْمُقِلُّ غَرِيبٌ فِي بَلَدِهِ ... الْغِنَى فِي الْغُرْبَةِ وَطَنٌ وَ الْفَقْرُ فِي الْوَطَنِ غُرْبة
    بحارالأنوار ج : 69 ص : 46
    ِ يَا عَلِيُّ لَا خَيْرَ فِي الْقَوْلِ إِلَّا مَعَ الْفِعْلِ ... وَ لَا فِي الصَّدَقَةِ إِلَّا مَعَ النِّيَّةِ ... وَ لَا فِي الْحَيَاةِ إِلَّا مَعَ الصِّحَّةِ وَ لَا فِي الْوَطَنِ إِلَّا مَعَ الْأَمْنِ وَ السُّرُورِ
    من‏لايحضره‏الفقيه ج : 4 ص : 37

    - لا نعمة أهنأ من الأمن
    - شر البلاد بلد لا أمن فيه و لا خصب
    - حلاوة الأمن تنكدها مرارة الخوف و الحذر
    - الخائف لا عيش له
    غرر الحکم
    In hakeemana riwayaton se zaahir hai ke wo watan watan naheen Jahan amn, aasayesh aur Khushi ke asbaab na hon. Ye mulahezat bhi insaani tabiyat ke taqazon ke mutabiq hain aur momin aur kafir donu ke liye saadiq hain. Is liye ham dekhte hain ke momin aur ghare momin amn aur aasaayesh ki talash men watan tark karte hain.

    Is lehaaz see watan dosti ya tarke watan karne ka eemaan se koee ba rahe raast ta’alluq nazar naheen aata.

    Jis cheez ka ta’alluq eemaan se hai wo hijrat hai, aur vo bhi raahe khuda men:
    وَ مَنْ يُهاجِرْ في‏ سَبيلِ اللَّهِ يَجِدْ فِي الْأَرْضِ مُراغَماً كَثيراً وَ سَعَةً وَ مَنْ يَخْرُجْ مِنْ بَيْتِهِ مُهاجِراً إِلَى اللَّهِ وَ رَسُولِهِ ثُمَّ يُدْرِكْهُ الْمَوْتُ فَقَدْ وَقَعَ أَجْرُهُ عَلَى اللَّهِ وَ كانَ اللَّهُ غَفُوراً رَحيماً
    Sulhe Hudaibiyah tak jin musalmanon ne hijrat ki aur Madina ponhche, wo kuffaar kee eeza se to bach gaye, laikin Madine me bhi un ki afwaj ki yalghar se khawf ki haalat men rahe, yahan tak ke Allah ne apna wada poora kiya aur khawf se un ko na sirf nejat dee, balke unko Jazeeratul Arab ka hukmran bana diya.

    gharaz, kahna ye tha ke hubbe watan aur tarke watan men dekhna chahye ke ye kis jazbe ke tehet hai, agar jazba sirf insani aur rifahee (for purposes of prosperity) maqaasid ke lliye ho to wo bhi apni jagah theek hai. Uska eeman se koee ta’alluq nahee. Is men saare insaan bila ikhtilafe deen o mazhab shareek hain.
    Jo cheez in donu umoor ko arzish (value) deti hai wo eeman hai. Hubbe watan kee asaas eeman hai, ya agar tarke watan eemaan ke jazbe ke tehet aur deen kee quwwat ke liye horaha hai to donu ba arzish hain.

    Hubbe watan yoonhi eeman ka juz naheen hojata. Was Salam


    ReplyDelete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen