Takht aur gad'de waghairah par namaaz padhne wa sajda karne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, August 4, 2022

Takht aur gad'de waghairah par namaaz padhne wa sajda karne ka hukm

Sawaal az : mohtaram janaab Syed Mohammad Bazmi sb / Lucknow


Salaam Alaikum


Lucknow se mai
Syed Mohd Bazmi


Aagha
Masla ka hal bataye.


Kya takht pe biche hue sakht foam k gaddey pe (jo paak hai) namaz jaayez hai ?


Shukriya
Wassalam
Ba Khair.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


namaaz padhte waqt agar takht zeyaadah hile nahi aur ous par surah wa zikr padhte waqt badan sokun se ho (hile nahi) to namaaz sahih hai (namaaz padhna jaa'aez hai)


waazeh rahe ke gad'de, foam aur payaal waghairah par sajdah karne ki surat me peshaani aur saj'degaah ous par tik wa thahar jaa'ae khaah thoda dabaao aur andar jaane ke zariae tike wa thahare to aiyse gad'de, foam aur payaal wagairah par sajdah karna sahih hai lekin agar gad'da, foam aur payaal waghairah aetna dabiz aur mota ho ke sajdah karne ki surat me dhansta hi chala jaa'ae (andar dabta rahe) aur ous par peshaani wa saj'degaah tike nahi to aiyse gad'de waghirah par sajdah dorust wa sahih na hoga


Tabserah :


sajdah kapde par dorust wa sahih nahi hai lehaaza aiysi chiz par sajdah karen jis par sajdah karna sahih ho


Niche recommend ki gaei video dekhna mofid hai انشاءالله


Sajdegaah par imaam (a.s) ke naam | ous ko palat kar sajda karna | be-aehteraami


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran


6 / محرم / 1444ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen