keya Hazrat Fizzah, janaabe Maryam se afzal hain ? | Aap Hindustaani thin - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, August 12, 2022

keya Hazrat Fizzah, janaabe Maryam se afzal hain ? | Aap Hindustaani thin

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : .......


Kiya bibi fizza. (S.A) ka rutba bibi Maryam se afzal hai ?


Regards,
Faryal | syeda.....@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم


Hazrate Faatemah Zahra (سلام الله علیها) ki khaademah, hazrate Fizzah (رحمهاالله) bela shubha eimaan, eirfaan, taqwa, zohd, wara, kholus aur maanawiyat ke aalaa darje tak pahonchi huei thin


aap ki balaaghat, fasaahat, maaqul wa mo'as'sir goftogu aur eilm bahot saare logon par poshida nahi hai, aap ko eilme kimiyaa (sona banaane ka eilm) aata tha aur mosalsal 20 saal se zeyaadah arse tak qur'aan ke aelaawah kisi aur chiz ke zari'ae se kalaam nahi kiya


Janaabe Fizzah, Hazrate Zahra (سلام الله علیها) ki sirf khaademah nahi thin balke shaagirdah bhi thin, aap ke o'lum ki tarwij me misaali kirdaar adaa kiya


Khaana'ae Saiyyedah (سلام الله علیها) me jis din se aa'ein thin oun ke saath oun ke ghar ke andar hi rahti thin, ye khud bahot bada sharaf hai


Nabuw'wat, maadenur rahmah, mamba'oul ismah, daarul hikmah aur oummul a'eimmah (سلام الله علیهم) ke ghar ne aap par aiysa asar daala ke Hazrat Fizzah saaleh aur abraar makhluqaat me se ho gaein


aap ke sharaf wa fazl ke liae yahi kaafi hai ke aap Surah Insaan (Dahr / Hal ata / Abraar) ke shaane nozul me Hazrat Ali, Hazrat Faatemah, Hazrat Hasan aur Hazrat Husain (صلوات الله علیهم) ke saath sharik hain aur khoda ki mokhaatab qaraar paaein
is aetebaar se bhi aap ki shakhsiyat ko aek khosusi maqaam, martabah aur fazilat haasil hai


Ahlebaite Rasul (علیهم السلام) se aap ki mohabbat maaruf wa mash'hur hai


Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ke daur, aap ki dukhtar ke ghar ko nazre aatish karne ... aur waaqea'ae karbala se le kar shaam se rehaaei tak aur ous ke baad bhi masaa'ael aur masaa'aeb me sharik rahin aur Imaam wa Ahle Haram ki modaafe
waaqe'aat wa aalaam wa masaa'aeb ki chashm'did shaahid bhi thin


aap ki shaan me ma'aazallah gustaakhi karna maqsud nahi hai, bela tashbih samajh lijiae ke aap black box thin


Is tafsil ke baad ab aap ke saawaal ka jawaab ye hai ke :


oupar jo bayaan kiya gaya oun sab ke baa'wojud aiysa lagta hai goyaa Hazrat Maryam (سلام الله علیها) Hazrat Fizzah (رحمهاالله) se bartar aur afzal hain, keyon ke aap hazrat eisa ki maa hain. Surah Maryam me aap ki zindagi paiydaaeish se le kar aur aap ke batn se aek mojeze ke taur par be'ghair baap ke Hazra Eisa ki welaadat tak ki taraf aeshaarah huaa hai
Kaei baar farishton se ham kalaam bhi huein (Surah Aale Imraan 45)


Shia aur sunni ke nazdik muttafaq alaiyh rewaayat hai ke Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ne irshaad farmaaya :


" يَا عَلِيُّ خَيْرُ نِسَاءِ اَلْعَالَمِينَ أَرْبَعٌ مَرْيَمُ بِنْتُ عِمْرَانَ وَ خَدِيجَةُ بِنْتُ خُوَيْلِدٍ وَ فَاطِمَةُ بِنْتُ مُحَمَّدٍ وَ آسِيَةُ بِنْتُ مُزَاحِمٍ "


Ay Ali, kaa'aenaat ki behtarin khawaatin 4 hain :


  1. Maryam binte Imraan
  2. Khadijah binte Khowaiylid
  3. Faatemah binte Mohammad
  4. Aaseyah binte mozaahim (Firaun ki biwi)

(bahaarul anwaar jild 43 safha 36)


Bahaarul anwaar ke isi safha par aek dusri rewaayat me likha hai "اَفضَلَهُنَّ فاطمه" oun sab aurton me afzal Faatemah (سلام الله علیها) hain


aap ne molaaheza farmaaya ke Hazrat Faatemah (سلام الله علیها) Hazrat Khadijah aur Hazrat Aaseyah (سلام الله علیهم) ke saath Hazrat Maryam (سلام الله علیها) ka ta'aaruf tamaam aalam ki aurton se afzal aur behtar ke taur par karaaya gaya hai, albatta apne zamaane me fazilat rakhti hain


Mazkurah rewaayat ke peshe nazar bhi ba'zaahir aiysa lagta hai ke Hazrat Maryam, Hazrat Fizzah se afzal hain
ba'har kaif agar maan len ke Hazrat Maryam se afzal nahi to "Shabihe Maryam" zarur hain


Tabserah :


  1. Hazrat Fizzah (رحمهاالله) kahan ki rahne waali thin ? Is hawaale se mukhtalif aqwaal wa aaraa hain :

    1. "... و كانت فضة بنت ملك الهند و كان عندها ذخيرة من الإكسير ..."


    2. "... Hazrat Fizzah Hindustaan ke baad'shaah ki beti thin aur aap ke paas ikseer ka zakhirah tha ..."


      [mashaareqo anwaaril yaqin fi asraare Amiril Momenin (علیه السلام) page 126 - taalif Haafiz Rajab Bursi / Bahaarul anwaar jild 41 page 273]


    3. "قد روى الرّواة أنّ امرأة أصلها من الهند تسمّى فضّة ..."


    4. "Raawiyon ne rewaayat ki hai ke aek aurat hai jis ki asl Hindustaan se hai, naam Fizzah rakha gaya ..."
      [is aebaarat ke baad Hazrat Zahra (سلام الله علیها) ki khaademah hone ke aelaawah aap ke dusre fazaa'ael ... bhi likhe hain]


      Hawaalah :


      (Al-Husain wa batalato Karbala page 287 - taalif Shaikh Mohammad Jawaad Mughniyah / Maghniyah)


    5. aap ka ta'alluq "nubiyah" se tha

    6. (Aalaamun nesaa'eil momenaat page 696 - taalif Mohammad Hassun)


      "Nubiyah" Sudan ya Misr (Eqypt) ka aek shahr hai


  2. ham log Hazrat Faatemah (سلام الله علیها) jaiysa nahi ban sakte hain lekin Hazrat Fizzah ki aeqteda karte huae Fizzah jaiysa ban sakte hain, kamaal ka darwaazah khula huaa hai

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


14 / محرم / 1444 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen