Azaan ke waqt kutton ka bhunkna | mo'azzin wa azaan ke sharaa'aet | aadaab - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, August 19, 2022

Azaan ke waqt kutton ka bhunkna | mo'azzin wa azaan ke sharaa'aet | aadaab

Sawaal az : mohtaram janaab Gulzar Ahmad sb


Asalaam alaikum


Sawal :


Janab hamare ilaqe ki masjid me bohat arse se azaan ke waqt kute bhoonkne lagte hain, janab char paanch muzin hain taqreban har ek ki azaan ke waqt kute bhoonkte hain, log bhi is baat par koi tawajah nahin dete the lekin do teen din pehle ek aalime din ne kaha agar koi muzin azaan dene lage aur kute bhoonkne lage to us shakhs ko azaan nahin deni chahiye.
Janab aap farmayen kya yeh sahi hai ki aise shakhs ko azaan nahin deni chahiye ?


is sawaal ke jawab ki hamain jaldi hai kyun ki elaqe main koi muzin do teen din se loud speakar par azaan nahin deta hai.


Aap ka mamnoon
Gulzar ahmad


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


Mo'azzin ke liae kuchh sharaa'aet hain oun me se baaz ye hain :


  1. azaan dene me niyat khaalis ho yaani khoda se qurbat haasil karne ke liae ho, reya wa logon ko dekhaane ke liae na ho

  2. aaqil ho, lehaaza diwaane wa mast ki azaan sahi nahi hai

  3. musalmaan ho

  4. mard ho magar ye ke jamaa'at auraton se makh'sus ho to khawaatin azaan de sakti hain

  5. baa sho'our (samajhdaar) ho, lehaaza aiyse bach'che ki azaan kaafi nahi jo sho'our nahi rakhta

  6. arabi me azaan kahe, jis tarah namaaz me zikr ... sahi arabi me padhna zaruri hai ousi tarah azaan me shart hai (yaani mo'azzin kalemaate azaan ko sahi taur par adaa karne par qudrat rakhta ho)

  7. auqaate namaaz aur azaan se waaqif ho (namaaz ka waqt daakhil hone ke baad azaan de)

  8. azaan ke kalemaat tartib se kahe

  9. mowaalaat yaani kalemaat kahne me faasela zeyaadah na ho

waazeh rahe ke khade hone ki haalat me aeqaamat kahna aur baa'tahaarat hona (yaani wozu ya ghusl ya ta'yam'mum ke saath hona) aeqaamat ke sahi hone ki sharaa'aet hain lekin azaan me khade hona aur ba'tahaarat hona shart nahi hai


agar in sharaa'aet ki reyaa'at na ki jaa'ae to azaan aur aeqaamat baatil hai


lekin kuchh aadaab wa mustahab'baat hain, agar oun par amal karen to sawaab zeyaadah hai aur azaan wa aeqaamah (اذان - اقامه) ke kamaal ka baa'aes hai. misaal ke taur par :


  1. qibla rukh azaan dena

  2. khade ho kar azaan dena

  3. azaan dete waqt badan ka saakin rahna (yaani na hilna)

  4. tahaarat wa baa'wozu hona

  5. azaan wa aeqaamat ke darmeyaan baaten na karna (baat karna makruh hai)

  6. azaan ke waqt kaanon par dono haathon ka rakhna

  7. baland jagah par azaan dena

  8. mo'azzin ka aadil hona

  9. fasih aur aawaaz (آواز) ach'chhi wa baland hona (yaani khush'bayaan wa khush'guftaar hona)

azaan dete waqt kut'ton ka na bhaunkna (نہ بھونکنا), sharaa'aet wa aadaabe azaan wa mo'azzin me se nahi hai


lehaaza sirf is wajah se mo'azzin ko hataana sahi nahi hai balke masjid ke atraaf se kut'ton ko bhagaa'aen, is me mo'azzin ki keya khata hai ?


jo log mo'azzin ko hataane ki baat kar rahe hain behtar hai chand roz wo khud azaan den aur dekhen oun ki aawaaz par kut'te bhaunkte hain ya nahi ?


yahaan aek hadis ki taraf aeshaarah karna monaasib maalum hota hai :


" رُوِىَ أَنَّ الْحُسَیْنَ عليه السلام سُئِلَ فِی حَالِ صِغَرِهِ عَنْ أَصْوَاتِ الْحَیَوَانَاتِ لِأَنَّ مِنْ شَرْطِ الْإِمَامِ أَنْ یَکُونَ عَالِماً بِجَمِیعِ اللُّغَاتِ حَتَّی أَصْوَاتِ الْحَیَوَانَاتِ فَقَالَ "


Rewaayat kiya gaya hai ke Imaam Husain (عليه السلام) ka bachpana tha ous waqt aap se haiywaanaat ki zabaanon ke baare me puchha gaya ke wo keya kahte hain keyon ke Imaam ki sharaa'aet me se aek ye hai ke wo tamaam zabaanen jaanta ho hatta haiywaanaat (charind, parind, hasharaat aur chaupaa'ae ...) ki zabaanon wa boli se waaqif ho to aap ne is tawil rewaayat me mokhtalif jaanwaron ki zabaan ke baare me bataaya ke wo keya kahte hain ?


kutte ki zabaan ke baare me farmaaya :


" وَ إِذَا صَاحَ الْکَلْبُ یَقُولُ کَفَی بِالْمَعَاصِی ذُلًّا ... "


" jab kutta chikhta (bhaunkta) hai to kahta hai "zillat wa khaari ke liae gunaah hi kaafi hain ... "


(Al-kharaa'aej wal jaraa'aeh jild 1 p 248 - 252 - Taalif Qutbud deen Raawandi / Bahaarul anwaar jild 64 p 27 - 64)


agar mo'azzin saheb ke mota'alliq kutton ke bhaunkne waali baat is hadis ke peshe nazar kahi hai to is hawaale se batla dun ke donon ka aek dusre se koei ta'alluq aur waasta nahi hai


Tabserah :


aadaab aur mustahabbaat ke No. - 9 par tabserah


Rumi (maulaana) ne aek bhad'di wa bad aawaaz waale mo'azzin ki tafsili daastaan ka zikr apni masnawi me kiya hai jis ka mokhtasar kholaasa kuchh yun hai :


aek shahr me muslim aur eisaaei donon rahte the, wahaan aek aiysa mo'azzin aaya jis ki aawaaz buri thi, aek din aek eisaaei phul, halwa aur kapde waghairah le kar mo'azzin ke paas aaya aur kaha main aap ke liae ye hadiyah laaya hun aur mo'azzin ka shukriyah ada karne ke baad kaha mujh par aap ka bahot bada aehsaan hai ...


ye sun kar sab haiyraan rah ga'ae ke ye masihi aiysi bhad'di wa buri aawaaz par mast wa qurbaan ho gaya !


mo'azzin ne puchha mere liae ye hadaaya keyon laa'ae ho ? aur shukriya kis baat ka ?


to eisaaei ne kaha meri aek jawaan aur khubsurat ladki hai, ous ke dil me islaam ki mohabbat baith gaei thi aur musalmaan hona chaahti thi lekin jab aap ne azaan dena shuru kiya to main ne apni beti se kaha "ye hai musalmaanon ki azaan, ye hai musalmaanon ka naarah aur pahchaan"


aap ki azaan sun kar ab meri beti islaam se nafrat karne lagi hai aur islaam se bezaar ho gaei hai


aap ne meri bahot badi khidmat wa madad ki hai, aap ki sadaa'ae azaan sun kar meri beti musalmaan nahi huei, shukriya aur hadiyah is khidmat ki paadaash me hai


[masnawi'ae maanawi, Daftar-e-panjom - bakhsh 143 Rumi (Maulaana)]

Intehaaei afsos ke saath kahna pad raha hai ke aaj kal masjidon me ba'taure mo'azzin ke intekhaab oun logon ka kiya jaata hai jo naa azaan ke kalemaat ka talaf'fuz sahih kar sakte hain aur na azaan ka mokammal haq ada kar sakte hain ...


" ره گئی رسمِ اذاں روحِ بِلالی نہ رہی "


"Rah gaei rasme azaan Ruhe belaali na rahi"


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat - katokhar dist. chapra (saran)


8 / صفر / 1440 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen