Sawaal az : mohtaram janaab syed ghaazi hasan sb / katokhari (chapra / saran)
salam alikum
Ek zamin imam husain (a.s) ki azadari ke liye waqf huiy hai is liye ke ous ki aamdani imam husain (a.s) ki azadari me kharch ho ab waqf karne wale ke waris chaahte hain ke ous zamin ko apne istemaal me laaen aur ous ke bajaaye ous se behtar aysi zamin den (waqf karen) jis ki aamdani ous zamin se zeyada hai is ka keya hukm hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
waqf me rad'd-o-badal karna aur ous ko tabdil karna jaa'aez nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
5 / ذی الحجہ / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment