Tang karne waale bhaaei | rishtedaar ke saath keya karen ? keya qat'ae ta'alloqi kar len ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, July 3, 2022

Tang karne waale bhaaei | rishtedaar ke saath keya karen ? keya qat'ae ta'alloqi kar len ?

Sawaal az : Beraadare mohtaram


Salam walikum janab khariyat se hain


Mera sawal yeh hai ke jo bhai dusre bhai ko sirf aur sirf preshan kare zindagi me had se zayda taklif de har mauke par kya aise sage bhai se rishta rakhna sahi hai islam ke hisab se ???


name na show karen shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


majlise dars me bhi is ke baare me baa'raha puchhaa gaya aur aksar puchha jaata hai ke qarib tarin rishtedaar jaiyse bhaaei waghairah ke bure soluk ki bena par oun se qat'ae ta'alloqi kar sakte hain ?


Is ka jawaab ye hai ke :


naata wa rishta na toden buraaei ka badla ach'chhaaei se den ounhen mo'aaf kar den, ghalatiyon se dar guzar karen agar aap oun ki bad soluk ke aewaz acha'chha soluk pesh karte hain to bahot bada faa'aedah haasil hoga انشاءالله


sela'ae rahemi khaire kasir aur dheron (ڈھیروں) fawaa'aed ka haamil amal hai, jab ke arhaam se qatae rahemi khaah kaafir hon haraam bhi hai aur kabirah gunaah wa azaabe aakherat ka sabab bhi


kaafi hai ke salaamo kalaam ka silsila qaa'aem rakhen, jab bhi oun ko dekhen salaam karen ya telephone waghairah par raabeta karen, ahwaal pursi karen, agar mariz ho ga'ae to ayaadat karen, agar madad ki zarurat ho to oun ki madad karen


lekin agar in sab baaton ke baa'wojud oun ki eiza rasaani aetni zeyaadah ho ke aap ki bhalaaei kaar'gar hi na rahe aur agar oun se mel jol rakha to dushwaar guzaar mashaq'qat, zarar aur taklif pahunchaa'aen ge to aiysi surat me tarke sela'ae rahim jaa'aez hai yaani qat'ae ta'alloqi kar sakte hain aur oun ki eizaa rasaaniyon se bach'ne ke liae oun se ta'alluq khatm kar sakte hain


Shaa'aer bhi yahi kahta hai ke :


إذا ما تقضى الوُدَّ إلا تكاشراً
فهجر جميل للفريقين صالح


agar mohabbat se nafrat hi paiyda ho to ach'chhe andaaz se duri donon fariqon ke liae behtar hoti hai


Tabserah :


  1. dusre a'eizza wa aqaarib ke mota'alliq bhi hukm wahi hai jo oupar bayaan kiya gaya

  2. Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko zarur molaaheza farmaa len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad - patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


3 / ذی الحجہ / 1443ھ.ق

subscribe us on youtube

1 comment:

  1. Bht bht Shukriya Allah Salamat rakhe ap ko Aameen

    ReplyDelete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen