Sawaal az : Beraadare mohtaram (Ranchi)
Salamun Alaikum,
Janab Mera Ek Sawal hai Namaz e Radde Mazalim, Please Tafsil bataye
Marja - Ayt Sistani Sb.
Plz Naam Mention Nahi Kare
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
is naam se to hamen koei namaaz nahi mili, albatta rad'de mazaalim hai
Rad'de mazaalim :
Rad'de mazaalim yaani jaa'aez ya naa jaa'aez tariqe se liae ga'ae maal ko maalik tak pahunchaana aur lautaana wa waapas karna
Fiqhi aetebaar se qadre wazaahat :
wo amwaal jis ko logon se jaa'aez tariqe se liae hon, masalan aek shakhs se qarz liya tha ya kisi ka maal wa saamaan rah gaya ho masalan sonaar ya darzi ki dokaan par kisi ka sona ya kapda rah gaya ho ya kisi dokaan se oudhaar liya tha lekin wo dokaan band kar ke kahin chala gaya ...
ya logon se naa'jaa'aez wa naa haq tariqe se maal liae hon masalan chori ki ho, dost ki jeb se paiyse nikaal liae hon, ghasb kar liya ho ya maal ko zaa'ae wa talaf kar diya ho ya ous ko noqsaan pahunchaaya ho ...
aur saahebe maal ko na diya ho to is ka shar'ei hukm ye hai ke agar maalik maalum wa zindah hai to ous ko waapas kare warnah ous ke shar'ei warasa ko pahunchaa'ae lekin agar asl maalik maalum na ho aur na hi shar'ei warasa maalum hon ya maalik wa warasa ke milne se maayus ho gaya to aiysi surat me oun ke maal ko asl maalik ki niyat se deen'daar faqir ko sadqah dena waajib hai
waazeh ho ke benaabar aehteyaate waajib sadqah dene me ye zaruri hai ke marja se aejaazat le
Tabserah :
Aek budhe shakhs ne Imaam Baaqir (عليه السلام) se arz kiya :
" إِنِّي لَمْ أَزَلْ وَالِياً مُنْذُ زَمَنِ اَلْحَجَّاجِ إِلَى يَوْمِي هَذَا فَهَلْ لِي مِنْ تَوْبَةٍ قَالَ فَسَكَتَ ثُمَّ أَعَدْتُ عَلَيْهِ فَقَالَ لاَ حَتَّى تُؤَدِّيَ إِلَى كُلِّ ذِي حَقٍّ حَقَّهُ "ُ
" me Haj'jaaj ke zamaane se is waqt tak hokumat ka governor tha, keya mere liae taubah hai ? (yaani keya meri tauba qabul ho sakti hai ?) Imaam (عليه السلام) khaamosh rahe (jawaab nahi diya) jab me ne dobaarah puchha to farmaaya :
nahi (yaani taubah qabul nahi ho sakti) yahaan tak ke har saahebe haq ka haq ada karo (yaani jis ka bhi haq paa'aemaal kiya hai ous ka haq ous ko pahunchaao wa waapas karo)
(osule kaafi jild 2 p 331 h 3 - ketaabul eimaan wal kufr - baabuz zulm)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad - patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / ذی الحجہ / 1443 ھ.ق
روز شہادت امام محمد باقر عليه السلام (بعض روایت کے مطابق)
No comments:
Comment