Aayat ya doa ya khoda ya maasumin ka naam ya khaake shefa baiytul khala (toilet) me gir jaa'ae to keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, July 28, 2022

Aayat ya doa ya khoda ya maasumin ka naam ya khaake shefa baiytul khala (toilet) me gir jaa'ae to keya hukm hai ?

Sawaal az :+91941538....


swkm,
sarkar mai ek miiti me gaya tha waha par bathroom karney gaya mere pairo me athritis ki seivier problem hai kamode nahi tha indian system ka bathraoom tha mai kisi tarah us per baitha to meri shirt ke jeb se ek pen bathroom ke system me gir gaya us pen me ek dua print thi arbi me bahut koshis kiya lekin nikaal nahi paya aise me main kya karu.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Mokhtasar jawaab :


jis ko is baat ka eilm hai aur aap ke liae ous baiytul khala (toilet) ka istemaal karna ja'aez nahi hai


Qadre tafsili jawaab :


agar aiysi chiz jis ka aehteraam laazim hai jaiyse aiysa kaaghaz ya aiysi chiz jis par Aayaate Qur'aan ya doa ya Khoda ya Rasul ya Maasumin (صلوات الله عليهم) ke naam likhe ya kandah hon ya Khaake Shefa [turbate Siy'yedush Shohada Imaam Husain (عليه السلام)] baiytul khala me gir jaa'ae to baiytul khala se ous mohtaram chiz ko baahar nikaalna aur paak karna waajib hai


agar baahar nikaalna momkin na ho to ous baiytul khala ko istemaal nahi kar sakte hain (jaa'aez nahi hai) albatta ous mohtaram chiz ke mahw (محو = zaa'ael / maadum aur mit jaane) ka yaqin ho jaa'ae to istemaal kar sakte hain


waazeh ho ke agar mohtaram chiz baiytul khala me gir gaei to is baare me dusron ko bataana zaruri nahi hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


28 / ذی الحجہ / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen