Sawaal az : mohtaram janaab Syed Mohammad Zaki Rizvi sb
Kiya surah e tauba sura-e-barat me Bismillah irrahman irraheem ki jagah
Aauzo billah min gazabil jabbar kah sakte hain bhai iski wazahat chahiye
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
mud'daton se baaz moqarrebaan (jinhen Allah ki qurbat haasil ho) ne taalim di hai ke Surah Taubah padhne ke waqt ous ka aaghaaz "Bismil'laahir Rahmaanir Rahim = بسم الله الرحمن الرحيم" ke bajaa'ae darj zail aebaaraton se karen :
اَعُوذُ بِاللّٰهِ مِنَ النَّار، و مِن شَرِّ الکُفَّار، و مِن غَضَبِ الجَبَّار، العِزَّةُ لِلّٰهِ الْوَاحِدِ القَهَّار وَ لِرَسُولِهِ
"Khoda ki panaah maangta hun (ous) aag se (jis me daalne ka waadah mushrekin se kiya hai) aur kuffaar ke shar se, aur jabbaar ke ghazab se, aur eiz'zat Allah ke liae hai jo yakta ghaalib hai aur ous ke Rasul ke liae hai"
baaz sahifon me moshaahadah kiya gaya hai ke surah taubah ke aaghaaz me "Bismil'laahir Ramaanir Rahim" ke bajaa'ae mazkurah aebaaraten likhi huei hain
(Daanish Naameh Bozorge islaami jild 16 p 6148 markaze daa'aeratul ma'aarif bozorge islaami)
bahot talaash karne ke baad bhi mujhe kisi hadis me nahi mila ke mazkurah aebaaraten Surah Taubah ke aaghaaz me "Bismil'laahir Rahmaanir Rahim" ki jagah padhi jaa'aen
Qur'aan aur hadis me jo hai ous ko molaaheza farmaa'aen :
telaawate qur'aan majid ke aadaab aur mustahabbaat me se aek "isteaa'zah = استعاذه" (Allah ki panaah maangna) hai
jo shakhs qur'aan karim padhna chaahta hai khaah kahin se bhi padhe (shoru se ya darmeyaan se ya aakhir se) to telaawat se pahle Allah ki panaah talab kare
Aayaat aur rewaayaat me is baat ka tazkerah hai
Khoda ne farmaaya :
فَإِذَا قَرَأْتَ الْقُرْآنَ فَاسْتَعِذْ بِاللّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
"quraan padhne ke waqt shaiytaan mardud se Allah ki panaah maangen"
(Nahl 98)
Shaiykh Tusi (رضوان الله تعالى عليه) ne likha hai :
"is aayat me khetaab agar'che Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) se hai lekin mokhaatab saare mokal'lafin (jis par shar'ei ahkaam ki paabandi laazim ho) hain yaani mokal'lafin jab bhi qur'aan padhne ka aeraadah karen to Allah ki panaah maangen
is baare me mota'addid ahaadis bhi hain
Isteaa'zah ke liae mokhtalif aebaaraten naql huei hain oun me se aek wahi hai jo hamaare darmeyaan mash'hur-o-maaruf hai yaani :
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّیْطَانِ الرَّجِیمِ
"A'ouzo Billah menash shaiytaanir rajim"
yaani Allah ki panaah maangta hun shaiytaan mardud se bachne ke liae
(Farhang Naameh O'lume qur'aan jild 1 p 851 daftare tablighaat)
Tabserah :
-
A'ouzo Billah menash shaiytaanir rajim
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّیْطَانِ الرَّجِیمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِیمِ
Bismil'laahir Rahmaanir Rahim
se pahle kahen
- Qur'aan padhne se pahle "A'ouzo Billah menash shaiytaanir rajim" keyon padhen ?
- Surah Taubah ko hi Surah Baraa'at kahte hain
- Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
"A'ouzo Billaah menash saiytaanir rajim" , "Bismil'laahir Rahmaanir Rahim" par keyon moqaddam hai ?
ghair az surah tauba "bismil'laahir rahmaanir rahim" surah ka juz hai is liae "A'ouzo billah menash saiytaanir rajim" ke baad "Bismil'laahir Rahmaanir Rahim" padhen
agar kapda waghairah gandah ho jaata hai to pahle ous ko saabun ya sarf waghairah se dhote hain saaf karte hain phir pahente hain
telaawat se pahle momkin hai hamaari zabaan, munh aur qalb gunaah waghairah se Aaluda ho lehaaza pahle "A'ouzo billah menash shaiytaanir rajim" ke zariae zabaan, munh aur qalb ko paak karte hain phir kalaame Khoda zabaan par jaari karte hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / ذی القعدہ / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment