Safar me mustahabbi namaazon | namaaze aaraabi wa shabe eide ghadir padhne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, June 22, 2022

Safar me mustahabbi namaazon | namaaze aaraabi wa shabe eide ghadir padhne ka hukm

Sawaal az :+911092.....


Assalmun alikum


Agar wajib namaz qasr ho to mustahab namaz padh sakte hain jaise tahajud, nafla ya jafar e tayyar is me 4 rikat h to puri 4 rikat padhe ge.


Mai sistani sb. ki taqled me hu


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jo shakhs mosaafir hai, wo saare naafele (mustahabbi namaazen) jaiyse namaaze shab ya maghrib ka naafela ya subh ka naafela ya namaaze jaafare taiy'yaar ... padh sakta hai sirf zohr aur asr ke naafele ko nahi padh sakta hai aur aesha ke naafele (namaaze wotaiyrah = وُتَيرَه) ko rajaa'an yaani ajro sawaab ki oummid se padh sakta hai
naafele qasr nahi hote agar chaar rak'at hain to oun ko chaar rak'at hi padhen


lekin waazeh rahe ke namaaze watr ke aelaawah baqiyah mustahabbi namaazen wa naafele 2 rak'at kar ke padhe jaate hain yaani har 2 rak'at ke baad tashah'hud aur salaam padhen


albatta 4 rak'at namaaze "Aaraabi" aur 12 rak'at namaaze "Shabe eide ghadir" aek salaam ke saath padhi jaati hai, ye raja ki niyat se padhi jaa'ae (is ka mustahab hona saabit nahi hai lekin shaayad matlube khoda ho lehaaza ajro sawaab ki aummid se padh sakte hain)


Niche recommend ki gaei video ka dekhna mofid hai انشاءالله


mustahab namaaz aur roze ki jagah qaza namaaz aur roze ka hukm


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad - patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


22 / ذى القعده / 1443ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen