اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : .....
Agha Assalamo alikum
Mera Sawal hai ki Namaze Toba jo 4 rakat hai par do do rakat kar ke padhi jati hai 2 - 2 rakat ki niyat alag alag hi ho gi na ? aur Tashadahu aur Salam bhi 2 - 2 ho ga na ?
From India
Mera Number mat share kijiye ga
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
4 rak'at ki niyat aek saath is tarah karen :
maahe zil'qaadah ke yak'shambah (itwaar / sunday) ke din ki namaaz / namaaze tauba 4 rak'at padhta / padhti hun qur'batan aelallaah
ye namaaz mustaqil tashah'hud aur salaam se manqul hai yaani har 2 rak'at ke baad tashah'hud aur salaam padhen
waazeh rahe ke maahe zil'qaadah ke kisi bhi yak'shambah ke din makhsus tariqe se padhi jaane waali namaaz, namaaze tauba se maaruf hai
Is namaaz ka pura tariqah :
Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ne farmaaya :
jo shakhs bhi zil'qaadah me tauba karne ka aeraadah kare to maahe zil'qaadah ke kisi bhi yak'shambah ke din ghusl kare aur wozu (bhi) kare phir 4 rak'at namaaz (oupar bayaan ki gaei niyat aur tariqe ke motaabiq is tarah) padhe :
har rak'at me 1 martabah surah "Hamd" aur 3 martabah surah "Qul howallaho ahad" aur 1 martabah surah "Falaq" aur "Naas" padhe
is ke baad 70 martabah istighfaar kare (masalan "astagh ferullah wa atubo aelayh = أَسْتَغْفِرُ ٱللَّٰهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ" kahe)
phir "laa haula wala quw'wah eilla billah al ali'yil azeem = لا حَوْلَ وَ لا قُوَّةَ إِلا بِاللَّهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيمِ" kahe
Tarjomah :
khodaa'ae baland martabah wa buzurg ke sewa kisi me zor wa tawaanaaei nahi
Namaaz padhne ke baad ye doa padhe :
"يَا عَزِيزُ يَا غَفَّارُ اِغْفِرْ لِي ذُنُوبِي وَ ذُنُوبَ جَمِيعِ الْمُؤْمِنِينَ وَ الْمُؤْمِنَاتِ فَإِنَّهُ لا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلا أَنْت"
"yaa aziz yaa ghaffaar eighfir li zonubi wa zonuba jami'eil momeneen wal momenaat fa innahu laa yaghferoz zonub eilla ant"
Tarjomah :
"ay saahebe quw'wat wa aekhteyaar, ay mo'aaf karne waale, mere aur tamaam momin mardon aur auraton ke gunaahon ko bakhsh de, keyon ke tere sewa koei gunaahon ko mo'aaf nahi karta
Phir Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne jo farmaaya ous ka khulaasa wa mafhum :
"meri oummat me se jo bhi is ko anjaam de to farishta aawaaz de ga ay banda'ae khoda tumhaari tauba qabul ho ga'ei, tumhaare gunaah mo'aaf ho gaya aur tumhaare waaledain aur nasl ke liae (bhi) maghferat naseeb ho gi, roze qeyaamat tumhaara dushman tum se raazi ho jaa'ae ga, agar tumhaare baap maa naaraaz hain to tum se raazi ho jaa'aen ge, eimaan par tumhaara khaatema ho ga, qabr wasi wa nuraani ho gi, dunya wa aakherat me rizq ki koshaadgi ho gi, Jibraeil, Malakul maut ke saath aa'aen ge taa ke tumhaari ruh aasaani se qabz karen ... "
maahe zil'qaadah ke aelaawah dusre mahinon me bhi ye namaaz padh sakte hain is ki taasir waghairah wahi ho gi jo maahe zil'qaadah me padhne ki hai
(Aeqbaalul Aamaal - jild 1 - page 308 - taalif Syed Bin Taawus)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadimm-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
9 / ذى القغده / 1443ھ.ق
Recommended
- Waaledain ki maghferat ke liae namaaz padhne ka waqt
- Doa ke pahle aur baad salawaat keyon ? | aulaad ki namaaz baraa'ae pedaro maadar | waqt | tariqa
- keya namaaze waaledain maa baap ke liae makhsus hai ?
- keya zindah waaledain ke liae namaaze hadiya baraae waaledin padh sakte hain ? | is ka faa'aeda
- namaaze jaafare tay'yaar ka naam | fazilat | ahamiyat | faa'aede | waqt | tariqah
No comments:
Comment