Sawaal az : mohtaram janaab Syed Aarif Abbas sb
سلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
- Hamaare barr-e-saghir hind wa paak me raayej imaam zaamin ka keya falsafa aur taarikh hai
- dauraane safar baazu par baandhne ka keya raaz hai ?
- shaadi beyaah me rasm imaam zaamin ka is imaam zaamin se keya talluq hai ya dono ka maqsad alag hai
Iske baare me zeyaada se zeyaada wazaahat farmaayen meharbaani hogi
Iltemaase doa
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- buzurgon ke ba'qaul safar waghairah amn-o-hefaazat se pura hota hai
- is ka jawaab wahi hai jo pahle No me guzar chuka yaani buzurgon ke ba'qaul safar par jaate waqt apne baazu par baandh lete hain taake safar ke dauraan khaiyriyat se rahen
- buzurg kahten hain donon ka maqsad aek hai, shaadi beyaah aur safar waghairah ke mawaaqe par imaam zaamin baandhte hain taake Imaam Reza (عليه السلام) Allah ke izn se ous ke aur ous ki khushi ke zaamin yaani mohaafiz rahen is liae ke imaam zaamin aap ki taraf mansub hai
hamen ye nahi maalum ke is ki taarikh keya hai, ham ne bhi apne buzurgon se suna hai
dusre ye ke is ka jaanna zaruri nahi hai har musalmaan ko chaahiae ke apni mokhtasar oumr me eilme mofid aur eilme naafe sikhe
Note :
- motabar aur qadim kotub me is ka koei tazkerah hamen nahi mila, albatta imaam zaamin baandhna islaami mezaaj ke monaafi nahi hai aur mushrekaana amal nahi hai balke aek ach'chi rasm hai
- mazid jaankaari ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farma len
yaqinan hamaara aqidah ye nahi hai ke khodaa'ae rahim ke bajaa'ae khaiyr-o-aafiyat me rakhne waala imaam zaamin yaani Imaame Ra'ouf (عليه السلام) hain balke mohaafize haqiqi yaani asli hefaazat karne waala khoda hai aap Allah ke izn se hi hefaazat farmaate hain
dusre ye ke imaam zaamin baandhna tawas'sul ke liae aek pasandidah kaam hai
takfiri aur wahaabi kahte hain ye shirk hai ke Allah ke hote huae apne qaraabat daaron, azizon aur digar afraad ki rakhwaali (رکهوالی) ham imaam zaamin ko den
farz kar len ye shirk hai to is tarah ke shirk ka irtekaab khud takfiri wa wahaabi subh se shaam tak hazaaron martaba karte hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / ذي القعده / 1443 ھ.ق
🌷🌷🌷🌷🌷
روز ولادت با سعادت کریمئہ اہل بیت حضرت فاطمہ معصومہ (سلام الله عليهم)
🌷🌷🌷🌷🌷
No comments:
Comment