Sawaal az : mohtaram janaab Mirza Muhammad Aabid Alig sb (up / Aligarh)
Assalamualaikum Agah
Mera Sawal Hai..
Biwi apna ghar khud kharcha chalati hai Maslan Biwi Doctor hai Wo khud Job wagerah karti hain Lekin uska Shohar mana karta ho ki tum bahar na jaao aur bahut si cheezon ke liye mana karta ho to kya Biwi par lazmi hai ki Shohar ki Baat mane ?? Jaha Shohar kuch nahi karta hai.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
shauhar ki aejaazat ke be'ghair molaazemat karna ya ghar se baahar nikalna haraam hai
albatta baaz makhsus haalaat me biwi ko ye aekhteyaar haasil hota hai ke wo shauhar ki aejaazat ke be'ghair naukari kare ya ghar se baahar nikle, oun me se baaz mandarja zail hain :
- Nekaah ke waqt aur nekaah ke zimn me (yaani nekaah me) aurat / ladki ne shart rakhi ho ke molaazemat karne jaa'ae ya ghar se baahar nikle aur hone waala shauhar is tarah ki shart qabul kare to is surat me shauhar ki aejaazat ke be'ghair molaazemat ke liae jaane ya ghar se baahar nikalne me haraj nahi hai lekin agar ba'waqte nekaah is tarah ki shart na lagaa'ei ho to biwi, shauhar ki aejaazat ke be'ghair molaazemat ke liae nahi jaa sakti hai ya ghar se baahar nahi nikal sakti hai
- Naan-o-nafqah ki zimmedaari ous ke shauhar par hai biwi par nahi hai lekin agar shauhar biwi ka naan-o-nafqah ada na kare to molaazemat ke zariae apna kharch chalaa'ae is surat me auraton ko ma'aashi masaa'ael ke liae molaazemat ki aejaazat hai, jis waqt aekhraajaat pura karne me mash'ghul hai, ous par shauhar ki aetaa'at waajib nahi hai
- Shadid majburi ki surat me shauhar ki aejaazat ke ba'ghair ghar se baahar nikal sakti hai masalan ghar monaasib na ho, ous ki feza aaludah ho mustaqil rahna mokhtalif bimaariyon ka sabab ban sakta hai ya sakht mushkelaat ka saamna ho to aejaazat ke be'ghair ghar se nikal sakti hai
- Sakht bimaar ho to aelaaj ke liae shauhar ki aejaazat ke be'ghair ghar se baahar jaa sakti hai
- Baap ya Maa sakht mushkil me hon oun ke saath neki wa aehsaan karna waajib ho to phir shari'at ne aurat ko ye haq diya hai ke shauhar ki aejaazat ke be'ghair apne may'ke jaa sakti hai
Tabserah :
- Malhuze khaatir rahe ke miyaan biwi ka rishta qaanun se zeyaadah akhlaaq se chalta hai aur paa'aedaar rahta hai
- Niche recommend ki gaei video ko dekhna mofid hai انشاءالله
- Asr-e-haazir aur family masaa'ael ki puri series dekhna mofid hai انشاءالله
Aurat ka jehaad | bach'chon ki 5 aadaton ki bena par nabi ka peyaar
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad - patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
23 / ذى القعده / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment