Sawaal az : mohtarama janaab Nak'hat sb (Azim Aabaad / patna)
Moulana sb asw
Agar kisi ke walid ki death ho gai ho aur unho ne koi bhi wajebaat na ki ho to is ke liye kya hukm hai
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aap ka sawaal omumi nau'eiyat ka hai waajebaat ada na karne ke tamaam masaa'ael ka likhna yahaan momkin nahi hai is ke mota'alliq aap ko jo sawaal karna ho ous ko mokhtasaran aur mota'ay'yan wa moshakh'khas kar ke bhej den, aap ko jawaab de diya jaa'ae ga انشاءالله
bahar kaif kulli taur par aap ke sawaal ka jawaab ye hai ke wo waajebaat jo waalid ki hayaat me faut ho ga'ae jaiyse namaaz, roza aur haj ... oun ko khud aulaad ada kare ya kisi ko oujrat de kar ya oujrat ke beghair ada karwaa'ae
agar waalid maqruz the ya oun ke paas kisi ki amaanat thi to adaa'ae dain aur amaanat bhi zaruri hai
Tabserah :
ye wo zimmedaariyaan hain jis par aulaad aur waaresin sab se kam tawajjoh dete hain sirf qur'aan padhaane, padhne ya majlise eisaale sawaab aur khaana khilaane ... se waajebaat ke mota'alliq zimmedaariyan puri nahi ho jaatin
Niche di gaei video ka dekhna mofid hai انشاءالله
Baap, maa ki qaza namaazon aur roze rakhne ka hukm | bade bete se moraad
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
16 / ذى القعده / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment