Sawaal az : mohtarama janaab Nikhat Fatma sb
Moulana sb sw
Kya roze ke kaffare ki raqum ghair Shia ko di ja sakti hai ?
Regards,
Nikhat Fatma | nikhat...@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
sirf 12 imaami shia faqir ya miskin ko taqriban 750gr ta'aam den lekin aap ke shahr ya basti me jab shion me se koei faqir ya miskin na ho to kisi dusre musalmaan faqir / miskin ko de sakte hain albatta har surat me naasebi [yaani Ahlebaite Rasule khoda (سلام الله عليهم) ke dushman] ko nahi dena chaa'hiae, jaa'aez nahi hai
Note :
- kaffaara me raqam (paise) dena kaafi nahi hai balke har roze ke badle taqriban 750gr ta'aam den
- ta'aam se moraad chaawal, gandum, aata, roti, jaw, makaei, daal, lobiyaa ke daane ya daal, chane, khurma aur is ke maanind jaiyse macaroni waghairah hain
aek surat me raqam de sakte hain wo ye hai ke aap ko eitminaan wa yaqin ho ke faqir ya miskin aap ki neyaabat (wakaalat) me taqriban 750gr ta'aam kharide phir usko kaffaara ke taur par qabul kare
waazeh rahe ke tel, ghee ya iske maanind chizen nahi de sakte hain
Aayatullah Sistani ke nazdik taqriban 750gr gosht aur aalu (آلو) bhi de sakte hain
faqir aur miskin se moraad kaun hai ? niche recommend kiae ga'ae jawaab me molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / شوال / 1443ھ.ق
No comments:
Comment