keya raat ke waqt kanghi nahi karna chaa'hiae - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, May 19, 2022

keya raat ke waqt kanghi nahi karna chaa'hiae

Sawaal az : mohtarama janaab Aarifa sb (Varanasi)


Assalam o alaikum


Kya ladies ko raat me baal nahi jhaadna chahiye ? aur Jumerat ke din ladies ko nahana nahi chahiye ?
Kuch log mana karte hai
Plz suggest me.


Sayyed Ali Hussaini sistaani d.m


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Ahaadise mobaarakah waghairah me baalon me kanghi karne ke mota'alliq jo baat milti hai wo ye hai :


  1. " ... كَانَ لِأَبِی عَبْدِ اَللَّهِ مَشْطٌ فِی اَلْمَسْجِدِ يَتَمَشَّطُ بِهِ إِذَا فَرَغَ مِنْ صَلاَتِهِ "


  2. (motabar hadis me hai ke) "... Imaam Saadiq (عليه السلام) ki jaa'namaaz me kanghi thi jab aap namaaz se faarigh ho jaate the to ous se kanghi karte the"


    (foruae kaafi jild 6 p 488 h 2)


  3. " سَأَلْتُ أَبَا عَبْدِ اللَّهِ عليه السلام عَنْ قَوْلِهِ تَعَالَى‌ خُذُوا زِينَتَكُمْ عِنْدَ كُلِّ مَسْجِدٍ قَالَ هُوَ التَّمَشُّطُ عِنْدَ كُلِّ صَلَاةٍ فَرِيضَةٍ وَ نَافِلَةٍ "


  4. Tarjamah wa mafhum :


    "[Abu Basir ne Imaam Saadiq ( عليه السلام) se surah aaraaf aayat 31 : {har masjid (aebaadat, namaaz) ke waqt apni zinat kar liya karo} ki tafsir puchhi to aap ne farmaaya : (aayat me zinat se moraad) har waajib aur mustahabbi namaaz ke waqt kanghi karna hai]"


    (tafsire ay'yaashi jild 2 p 13 h 25)

pahli rewaayat me hai ke Imaam Saadiq (عليه السلام) namaaz ke baad kanghi karte the aur dusri rewaayat me hai ke har waajib aur mustahabbi namaaz ke waqt yaani namaaz padhne se pahle kanghi karo


aur tauzihul masaa'ael waghairah me bhi likha hai ke : ous kaam ko anjaam do jo namaaz ka sawaab badhaate hain jaiyse kanghi karna


waajib aur mustahabbi namaazen din aur raat donon me padhi jaati hain masalan namaaze maghrib, aesha aur iske naafele aur namaaze shab raat me padhi jaati hai lehaaza mazkurah aur is ke moshaabeh ahaadis waghairah se istefaadah hota hai ke mard aur aurat dono ke liae raat ke waqt bhi kanghi karna jaa'aez hai


raat ke waqt baalon me kanghi karne ki momaana'at ke baare me mujhe kahin nahi mila


Tabserah :


  1. Aayatullah Sistaani ka nazariyah mujhe nahi mila lehaaza jawaab haqir ne diya hai

  2. dusra sawaal mustaqil hai lehaaza ous ka jawaab baad me diya jaa'ae ga انشاءالله

  3. Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


17 / شوال / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen