Sawaal az : mohtarama janaab samaana razavi sb / zangi pur up
Salam
kiya jis tarah ghair mahram se parda karna wajib hai agar hamare ghar me joint family ho unke samne sar tu chhipa hai kiya kalaye ya per bhi chhupana zaruri hai agar nahi chhupate tu gunah me shareek hoge agar gunah hai tu kitna hai iska gunah
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
mushtarakah khaandaani nezaam (joint family) me bhi naa mahramon jaiyse cha'chere bhaa'ei, jeth (جیٹھ) aur dewar waghairah se chehre aur haathon ki jod se le kar panje (kalaaei tak ka haath) ka chhupaana waajib nahi hai baqiyah saare jism ko chhupaana waajib hai
waazeh rahe ke aurat ke liae ghair mahram se tamaam paaon (پاؤں) ka chhupaana laazim hai aur sar is tarah chhupaa'ae ke baal nazar na aa'aen
ji haan, jab koei aurat / ladki shar'ei parde ka aehtemaam na kare to wo gunah'gaar hai is liae ke ye gunaahe kabirah hai
Tabserah :
- hejaab wa parde ka inhesaar sirf burqa ya chaadar par nahi hai, jis lebaas ya kapde se shar'ei pardah ho jaa'ae wo kaafi hai albatta hejaab wa parde ki mokhtalif aqsaam me se behtarin qism burqa wa chaadar hai lekin is baat par tawaj'joh rahe ke kapdon wa lebaas ke design aur rang naa mahram mardon ko apni taraf maa'ael wa motawaj'jeh karne waala na ho
- sawaal ke 2 hisse hain aek ka rabt ahkaam se aur dusre yaani "gunaah ketna hai" ka rabt akhlaaq se hai, donon alag mauzu'aat hain lehaaza dusre ka jawaab baad me diya jaa'ae ga انشاءالله
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
11 / شوال / 1443 ھ.ق
Recommended
mard | aurat ki namaaz me farq || aurat | mard ka qarib | baraabar me namaaz padhna
No comments:
Comment