Sawaal az : Beraadare mohtaram
Aaga salam... Kya be namazi ya namaz ko halki samjhne wale saiyyad ko hakke sadat diya ja sakta he ??
Nam na bataye hamara... Ham aage sistani sahb ke mulallid he.. Fakat
WASSALAM. JazakaAllah ho khaira
Regards,
**** | sukun......gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aehteyaate waajib ye hai ke jo say'yid namaaz nahi padhta hai ous ko khums (sahme saadaat زادهم الله تعالى شرفا و غيرهم) na den
Tabserah :
Aayatullah sistaani ka ye fatwa nahi hai lehaaza sharaa'aet ke motaabiq is mas'ale me kisi aiyse marja ki taraf roju kar sakte hain jis ke nazdik be namaazi say'yid ko sahme saadaat dena jaa'aez hai
Aehteyaate waajib ke maani wa mazid tafsilaat niche recommend kiae ga'ae jawaab me molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / شوال / 1443ھ.ق
No comments:
Comment