Baal na girne ke liae wazifa | tariqa | aelaaj | kanghi ke mota'alliq zaruri maalumaat - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, May 25, 2022

Baal na girne ke liae wazifa | tariqa | aelaaj | kanghi ke mota'alliq zaruri maalumaat

Sawaal az : mohtarama janaab Aarifa sb (Varanasi)


Assalam o alaikum


Ji mera ek sawal hai ?
Mere baal bahut zyada jhadte hai aur halke bhi ho gaye hai iski wajah se mujhe baal bhi chhote rakhne padte hai.
Aapse se guzarish hai ki aap mujhe koi wazifa bataye ?


Sayyed Ali hussain sistani d.z


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


is ke mota'alliq koei makhsus aur motabar wazifa hamen nahi mila


albatta kanghi karte waqt khosusiyat ke saath doaa'aen waarid huei hain, ous ke maani ke peshe nazar baalon ko girne se bachaane ke liae bhi oun doaa'on ka padhna mofid hai aur kuchh masnun tariqe bhi bataa'ae ga'ae hain jis par amal karna faa'aeda mand hai انشاءالله


  1. Imaam Saadiq (عليه السلام) se marwi hai :

  2. jab tum me se koei kanghi karne ka aeraadah kare to daa'aen haath se kanghi pakde aur baithne ki haalat me kanghi apne sar ke darmeyaani hisse (demaagh ke markaz) par rakhe aur kanghi karne ki ibteda apne sar ke agle hisse se kare aur padhe :


    اَللَّهُمَّ حَسِّنْ شَعْرِی وَبَشَرِی وَطَیِّبْهُما وَاصْرِفْ عَنِّی الْوَبآءَ


    "aiy Allaah mere baal wa khaal donon ko khubsurat aur zeyaadah ach'chha bana aur waba wa bimaari ko mujh se dur kar de"


    phir apne sar ke pichhle hisse par kanghi kare aur padhe :


    اَللَّهُمَّ لا تَرُدَّنِی عَلی عَقَبِی وَاصْرِفْ عَنِّی کَیْدَ الشَّیْطانِ وَلا تُمَکِّنْهُ مِنْ قِیادِی فَیَرُدَّنِی عَلی عَقَبِی


    "aiy Allaah mujhe pichhe na pher aur shaiytaan ke makro fareb ko mujh se dur kar aur ous ko qudrat na de ke wo mujhe apna moti (مطیع) wa farmaan'bardaar banaa'ae aur mujhe pichhe lauta de"


    is ke baad apni donon abru ko kanghi kare aur padhe :


    اَللَّهُمَّ زَیِّنِی بِزِینَهِ الهُدی


    "aiy Khoda mujhe hedaayat ki zinat se mozaiy'yan farma"


    phir sar ke oupar se niche ki taraf kanghi kare ous ke baad apne sine par kanghi phere aur donon haalat (sar ke oupar se niche ki jaanib kanghi karte aur sine par pherte waqt) me padhe :


    اَللَّهُمَّ سَرِّحْ عَنِّی الغُمُومَ وَالهُمُومَ وَ وَحْشَةَ الصُّدُورِ وَ وَسْوَسَةَ الشّیْطانِ


    "aiy Khoda mujhe har ghamo andoh (ranjo alam, dukh dard), wahshate sina aur shaiytaan ke waswase se aazaad kar de"


    phir baa qaa'aedah (ba'taur-e-kaamil) kanghi karne me mash'ghul ho jaa'ae aur sab se nichle hisse se shoru kare aur surah "in'naa anzalnaaho" padhe aur aek dusri rewaayat ke motaabiq surah "aadeyaat" bhi padhe


    Hawaalah :


    1. bahaarul anwaar jild 76 p 114 wa 115 naashir moas'sasah al wafa

    2. makaaremul akhlaaq p 71 wa 72 taalif raziyud'din tabrasi

    aap ne shoru me molaaheza farmaaya ke baal ko khubsurat banaane aur bimaari ko dur karne ke liae doa maangi gaei hai


    baalon ka jhadna aek bimaari hai lehaaza is doa ko padhna baalon ki hefaazat aur oun ko khubsurat banaane ke liae mofid hai


  3. Imaam Ali Naqi (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :

  4. التَّسرِيحُ بِمِشطِ العَاجِ يُنبِتُ الشَّعرَ فِي الرَّأسِ، ويَطرُدُ الدُّودَ مِنَ الدِّمَاغِ، ويُطفِئُ المِرَارَ ، ويُنَقِّي اللِّثَةَ وَالعُمُورَ


    "haathi ke daant se bani huei kanghi ka istemaal sar ke baal ougaata hai, demaagh se kide ko dur karta hai, safra ko khatm karta hai aur masudhon (مسوڑھوں) wa daanton ke darmeyaan gosht ko saaf suthra rakhta hai"


    (makaaremul akhlaaq p 72 taalif raziyud'din tabrasi)

  5. Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :

  6. تَسرِيحُ الرَّأسِ يَقطَعُ البَلغَم ، وَتَسرِيحُ الحَاجِبَينِ أَمَان مِنَ الجُذَام ، وَتَسرِيحُ العَارِضَينِ يَشُدُّ الاَضرَاس


    "sar me kanghi karna balgham ko khatm karta hai aur donon abru par kanghi karna jozaam (kodh) se amaano hefaazat ka baa'aes hai aur donon rokhsaar par (yaani daadhi me) kanghi karna daanton wa daadh (داڑھ) ko mohkam wa mazbut karta hai"


    (makaaremul akhlaaq p 72 taalif raziyud'din tabrasi)

Tabserah :


  1. ye bimaari sirf wazifa aur doa se nahi jaa'ae gi, doa ke saath dawa bhi zaruri hai lehaaza aap kisi maahir aurat doctor ko dekhaa'aen

  2. bahar kaiyf aek nuskha pesh kar rahe hain jis ko atibba ne mofid bataaya hai :


    aek kulli wa bunyaadi osul hai wo ye hai ke wo tamaam chizen jis se maghz qawi hota hai ous se baal, khaal aur naakhun bhi qawi hote hain


    masalan baadaam, shire baadaam, mawiz (badi kish'mish, aek qism ke bade bade sukhe huae angur), anjir, akhrot aur piste waghirah khaa'aen


    ye tamaam chizen baal, khaal aur naakhun ke liae behtar wa mofid hain, baal wa khaal waghairah ko qawi karti hain


    gehun aur chaawal ki sabus (bhusi, chokar), rozaana taqriban aek ya do chamche til aur taaza taaza naya naya sabzah wagairah ko khaana mofid hai


    shire baadaam yaani baadaam ka dudh tay'yaar karne ka tariqa :


    1. masalan 200 grams baadaam ko raat bhar ya 8 se 12 ghante paani me begho den

    2. baadaam ke chhilke outaar den

    3. chhile huae baadaamon ko mixer waghirah me daal kar ous me 4 cup paani daalen aur chand minutes intezaar karne ke baad ach'chhi tarah pis len

    4. phir saaf kapde waghairah me daal kar ach'chhi tarah nichod den, nichodne ke baad nikla huaa paani baadaam ka dudh hai
      ous ko chand roz refrigerator me rakha jaa sakta hai taake hasbe zarurat ous me se pite rahen

    5. shire baadaam ke bahot saare tibbi faa'aede hain


      tabib ke mashware se mofid shampoo, tel aur dawa waghirah ka istemaal karen


      baalon ke girne me qabz ka bahot bada dakhal hota hai keyun ke qabz "oum'mul amraaz" hai lehaaza agar kisi ko qabz ki shekaayat hai to ous ko nazar andaaz na kare


      zeyaadah tension lene se bhi baalon par asar padta hai lehaaza apne demaagh ko har momkin sokun wa itminaan me rakhne ki koshish karen


  3. waazeh ho ke haathi ke daant se bani huei kanghi ya tasbih waghairah namaaz padhte waqt namaazi ke saath na ho

  4. aap ke sawaal ka rabt ahkaam se nahi hai lehaaza jawaab meri taraf se hai

  5. Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


23 / شوال / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen