sawaal az : mohtarama janaab samaanah sb / zangipur up
Salam
kiya jis tarah gher mahram se parda karna wajib hai agar hamare ghar me joint family ho unke samne sar tu chhipa hai kiya kalaye ya per bhi chhupana zaruri hai agar nahi chhupate tu gunah me shareek hoge agar gunah hai tu kitna hai iska gunah
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
pahle ye bata dun ke aek hai be pardagi aur aek hai bad hejaabi, khoda ke nazdik donon ka gunaah aek jaiysa aur baraabar nahi hai lekin donon hi gunaahe kabirah aur jinsi gunaah hain
Surah nur aayat 19 me hai :
"be'shak jo log is baat ko pasand karte hain ke ahle eimaan ke darmeyaan be hayaaei wa buraaei phaiyle, oun ke liae dunya wa aakherat me dard'naak azaab hai ..."
is aayat ke masaadiq me se be pardagi wa bad hejaabi hai yaani aayat ka mafhum wa mazmun be pardagi wa bad hejaabi par bhi muntabiq hai
rewaayaat ke motaabiq bhi be pardagi aur bad hejaabi azaabe jahannam ka sabab hai
aek tulaani hadise qudsi hai jo hadise meraaj ke naam se mash'hur hai, shabe meraaj Khoda aur Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ke darmeyaan baraahe raast hone waali guftogu wa kalaam ka majmu'ah hai, ye hadis bahot aham baaton par mushtamil hai, jawaab se marbut hadis ka kholaasa ye hai :
Amirul Momenin Ali se rewaayat hai ke aek martabah ham aur Faatemah Rasule khoda (سلام الله عليهم) ki khidmat me ga'ae to dekha ke aap ki aankhon se aansu bah rahe hain aur shid'dat se giryah kar rahe hain to mai ne kaha mere baap maa aap par qurbaan hon ay Rasule khoda (صلى الله عليه وآله), kis chiz ne aap ko aetna rolaaya ? kis bena par aap aetna ro rahe hain ?
to aap ne farmaaya :
jab mai shabe meraaj aasmaan par gaya to apni oummat ki auraton ko shadid azaab me dekha aur oun ko jo azaab ho raha tha, wo aetna shadid aur haulnaak tha ke ous azaab ke tasaw'wur se mujhe rona aa raha hai ke meri oummat ki auraton par is tarah ka haulnaak azaab hoga
parde ki re'aayat na karne waali auraton par mota'ad'did tariqon se azaab :
- Baalon ke bal latkaaya jaana :
- Apne badan ka ghosht kaatna :
- Apne badan ka gosht khaana :
- Dozakh me jalna :
رَأَیْتُ امْرَأَةً مُعَلَّقَةً بِشَعْرِهَا یُغْلَی دِمَاغُ رَأْسِهَا
may ne aek aurat ko dekha ke wo apne baalon ke zariae latki huei hai aur ous ka demaagh (handiya = ہنڈیا ki tarah) pak raha hai
ous aurat par azaab ka sabab keya tha ? is ke baare me Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :
أَمَّا الْمُعَلَّقَةُ بِشَعْرِهَا فَإِنَّهَا کَانَتْ لَا تُغَطِّی شَعْرَهَا مِنَ الرِّجَال
jo aurat sar ke baalon ke zariae latki huei thi (aur jis ka demaagh handiya ki tarah pak raha tha) wo aurat hai jo logon (naa mahram mardon) se apne sar ke baal nahi chhupaati thi
(aap ne molaaheza farmaaya ke ous aurat par aiyse haulnaak azaab ka sabab be pardagi hai)
رَأَیْتُ امْرَأَةً تُقَطَّعُ لَحْمُ جَسَدِهَا مِنْ مُقَدَّمِهَا وَ مُؤَخَّرِهَا بِمَقَارِیضَ مِنْ نَار
mai ne aek aurat ko dekha ke wo apne jism ke agle wa pichhle hisse ka gosht aag ki qaiynchi (قینچی) se kaat rahi hai
وَ أَمَّا الَّتِی کَانَتْ تَقْرِضُ لَحْمَهَا بِالْمَقَارِیضِ فَإِنَّهَا کَانَتْ تَعْرِضُ نَفْسَهَا عَلَی الرِّجَال
jo aurat apne jism ke gosht (aateshi) qaiynchi se kaat rahi thi, wo aurat hai jo khud ko logon (naa mahram mardon) ke saamne pesh karti thi (khud ko naa mahramon ke sopurd karti thi)
رَأَیْتُ امْرَأَةً تَأْکُلُ لَحْمَ جَسَدِهَا وَ النَّارُ تُوقَدُ مِنْ تَحْتِهَا
mai ne aek aurat ko dekha jo apne badan ka gosht khaa rahi hai aur ous ke niche aag bhadak rahi hai
وَ أَمَّا الَّتِی کَانَتْ تَأْکُلُ لَحْمَ جَسَدِهَا فَإِنَّهَا کَانَتْ تُزَیِّنُ بَدَنَهَا لِلنَّاس
jo aurat apne jism ka gosht khaa rahi thi wo aurat hai jo logon (naa mahramon) ke liae apne badan ki aaraa'eish wa zinat karti thi
(ba'haarul anwaar jild 103 p 245 / jild 18 p 351 naashir moas'sasah al wafa)
Imaam Jaafar Saadiq ne apne aabaao ajdaad ( سلام الله عليهم ) se naql kiya hai ke :
... نَهَی أَنْ تَتَزَیَّنَ لِغَیْرِ زَوْجِهَا فَإِنْ فَعَلَتْ کَانَ حَقّاً عَلَی اللَّهِ عَزَّ وَ جَلَّ أَنْ یُحْرِقَهَا بِالنَّارِ
... Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne mana farmaaya hai ke biwi apne ghair shauhar ke liae zinat wa makeup kare, agar aiysa kare to khoda ke zimme hai ke ous ko aag me jalaa'ae
(wasaa'aelush shia jild 14 p 115 h 6 naashir islaamiyah)
be'parda aur bad'hejaab auraten / ladkiyaan haulnaak aur dard naak azaab se bachna chaahti hain to naa oummid na hon sach'chi tauba karen is liae ke sach'chi tauba se gunaahe kabirah bhi mo'aaf ho jaata hai, tauba ka darwaaza gunaahon ka kaf'faarah hai
sawaal ke pahle hisse ka jawaab diya jaa chuka hai molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 / شوال / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment