Sawaal az : +9192........29
Agha ..... Islam me bach'cha adopt karna kaisa hai
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
Agar is se aap ki moraad bach'cha god (گود) lena hai to islaam me bach'cha god lena mana nahi hai. jaa'aez hai
Albatta is par haqiqi wa sulbi aulaad ke ahkaam jaari wa laagu nahi honge
Masalan ous ko god lene waali aurat ya mard se weraasat nahi mile gi aur god lene waali aurat ke liae ladka aur god lene waale mard ke liae ladki naa'mahram rahe gi
Lekin agar shar'ei tariqe se mahram bana liya to ye mahram ho jaa'aen ge, jaiyse sharaa'aet ke motaabiq god lene waali aurat ka dudh piye to rezaa'ei (رضاعی) bete ka hukm jaari hoga,
bach'che ko sirf bada karna mahramiyat ka sabab nahi hai
(mahram kaise honge? Mahramiyat ke asbaab wa tariqe keya hain? Is ki tafsil fiqhi ketaabon me dekh len ya kisi motabar aalim-e-din se puchh len)
Note:
Bach'cha god lene ke ta'alluq se behtar hai surah ahzaab ki aayaat 4 aur 5 dekh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
3 / ربيع الاول / 1440ھ.ق
No comments:
Comment