Sawaal az : mohtarama janaab Syeda Fatima Zaidi sb
SaLaaM AlAiYkuM
sawal ye tha ki jo log Quran nahi padhe hai wo sirf Qur'an khul kr Bismillah kahe kahe har aayat par
MaGar surha tauba par aakar kya padha jaye ga
Agar ho sake to thoda jaldi bata de
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بسم الله الرحمن الرحيم = Bismil'laahir rah'maanir raheem
tamaam surah ki ibteda me qur'aan karim ki aayaton me se aek aayat hai, sab surah ko padhte waqt (oun ki telaawat karte waqt) shoru me "Bismil'laahir rah'maanir raheem" kahna chaa'hiae
sirf surah tauba (baraa'at) "Bismil'laahir rah'maanir raheem" ke beghair naazil huaa hai
is ki aek wajah ye hai ke "bismil'laahir rah'maanir raheem" rahmate khoda aur amaan ki alaamat wa neshaani hai jab ke is surah me kuf'faar se baraa'at wa bezaari ka izhaar wa aelaan hai aur oun ke haq me raf'ae amaan mazkur hai, ye ghazabe khoda ki alaamat hai aur ye "bismil'laahir rah'maanir raheem" ke monaasib nahi hai
lehaaza is surah ke aaghaaz me "Bismil'laahir rah'maanir raheem" nahi kahna chaahiae
agar koei is niyat se kahe ke "Bismil'laahir rah'maanir raheem" is surah ka juzw wa his'sa hai to haraam kaam ka irtekaab kiya hai aur bid'at hai
albatta iste'aazah "A'ouzo billah menash shaiytaanir rajeem (اعوذ بالله من الشيطان الرجيم)" se shoru karna behtar hai
Waazeh ho ke har kaam ke pahle "Bismil'laahir rah'maanir raheem" kahne ki taakid ki gaei hai agar is ounwaan se surah tauba ke aaghaaz me "Bismil'laahir rah'maanir raheem" kahe to koei haraj nahi hai
isi tarah telaawat karte waqt surah tauba ki ibteda ke aelaawah kahin aur (masalan darmeyaan se shoru kar raha hai to) "Bismil'laahir rah'maanir raheem" kahne me koei haraj nahi hai albatta na kahna behtar hai
is tamhid ke baad aap ki khidmat me arz kar dun ke jis ko qur'aan hakim padhna nahi aata hai wo "Bismil'laahir rah'masnir raheem" sawaab ki niyat se padhta hai lehaaza surah tauba ki pahli aayat par aa kar "Bismil'laahir rah'maanir raheem" padh sakta hai is me koei haraj nahi hai
dusre ye ke sawaal ke peshe nazar har aayat ke badle "Bismil'laahir rahmaanir raheem" padh raha hai lehaaza surah tauba ki pahli aayat ke bajaa'ae "Bismil'laahir rahmaanir raheem" padhe to is me bhi koei haraj nahi hai
Tabserah :
- "Bismil'laahir rah'maanir raheem" kahne me bahot sawaab hai aur is ke bahot saare faa'aede hain misaal ke taur par sirf aek rewaayat molaaheza farmaa'aen :
- mota'addid rewaayaat me hai ke qur'aan majid aur Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ki taraf negaah karna bhi aebaadat aur baa'aese ajr-o-sawaab hai aur qur'aan karim wa lmaam Ali (عليه السلام) se mohabbat wa aqidat aur ta'alluq ka izhaar hai
- Tape ya mobile waghairah me bhi qur'aan hakim ki telaawat sunne me bhi sawaab hai albatta khud telaawat karne me sawaab ... zeyaadah hai
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se marwi hai :
مَنْ أَرَادَ أَنْ يُنَجِّيَهُ اللَّهُ تَعَالَى مِنَ الزَّبَانِيَةِ التِّسْعَةَ عَشَرَ فَلْيَقْرَأْ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ- فَإِنَّهَا تِسْعَةَ عَشَرَ حَرْفاً لِيَجْعَلَ اللَّهُ كُلَّ حَرْفٍ مِنْهَا جُنَّةً مِنْ وَاحِدٍ مِنْهُم
"jo shakhs chaahta hai ke khodaa'ae ta'aala ous ko dozakh ke azaab par moqar'rar 19 farishton (daarogha wa sepaahiyon) se nejaat de to wo "Bismil'laahir rah'maanir raheem" padhe taake khoda "Bismil'laahir rah'maanir raheem" ke 19 horuf me se har harf ko oun (19) farishton me se har aek ke moqaabil (azaabe jahan'nam se bachaao ke liae) separ qaraar de"
(jaameoul akhbaar p 42 taalif Shaikh Taajud'deen Mohammad Sha'eiri)
eimaani kaiyfiyaat me aezaafa hota hai, dilon ko sokun aur chain milta hai, qalb aur ruh par ach'chhi taasir hoti hai
mokhtasar ye ke aebaadat wa sawaab ke aelaawah dekhne ke bahot saare faa'aede bhi hain jo is ko qabul na kare ous ki aql par sirf afsos hi kiya jaa sakta hai
jadid olum aur eilmi tahqiqaat ke motaabiq ye baat saabit hai ke baaz chizon ki taraf negaah karna sehato salaamti ke liae mofid hai masalan sabza, blue rang, darya, paani aur aasmaan waghiyrah ki taraf dekhna mofid hai
aur baaz chizon ki taraf dekhna mozir hai jaiyse tv aur mobile waghaiyrah ki taraf dekhna
mazkurah chizon ki taasir ko qabul karte hain lekin nure khoda yaani qur'aane saamit aur qur'aane naatiq ki taasir aur khaasiyat se inkaar karte hain !!!
Khulaasa'ae kalaam :
jise qur'aan padhna na aata ho to wo qur'aan karim ki telaawat sune hatta ous ki taraf dekhe is me bhi ajr-o-sawaab aur faa'aede hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment