Roze ki haalat me oulti karne se roze ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, April 7, 2022

Roze ki haalat me oulti karne se roze ka hukm

Sawaal az : mohtarama janaab farha razavi sb / Raebareli


Salamun alaikum
Kya khud se ulti aa jane se roza batil ho jata hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jab bhi roze daar jaan bujh kar amadan wa qasdan qaiy (oulti) kare (masalan apni oungli halq me le jaa'ae), chaahe bimaari se bachaao (بچاؤ) ki wajah se ya kisi bhi qism ke zahr ka asar khatm karne ke liae, ya kisi aur wajah se oulti karne par majbur wa naa chaar ho, to ous ka roza baatil ho jaa'ae ga, lekin agar bhule se, bela aeraadah (khud ba khud) huei to koei haraj nahi hai, roza sahih hai basharte ke apne aekhteyaar se andar na outaare


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


5 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen